Assalamu Alaikum Dosto!
Shooting Star Candlestick
Shooting star jo k dekhne k main same inverted hammer candle jaisi hai, prices k top par ya bullish trend main paye jati hai, jo k "Umbarella" candles k family se taluq rakhti hai. Ye candle taqreeban shap main inverted hammer jaisa hi hai, lekin faraq ye hai k shooting star candle prices k top trend ya bullish trend main bantti hai. Shooting star candle ki aik small real body hotti hai, jis ka upward side par aik long tail ya wick hotti hai. Jab k ziadda tar candle k lower side par koi wick ya shadow nahi bantta hai. Aggar down side par aik small wick ban bhi jayye to bhi acceptable hai, lekin ziada long ya real body se size main bara na ho. Ye candle top trend par honne ki waja se hanging man candle ki opposite hotti hai, q k wo bhi top trend par bantti hai, lekin us ka shadow ya wick downside par hotta hai. Shooting star candle ko analyst generally bearish candle tasawar karte hen.
Candle Formation
Shooting star candle aik single candlestick pattern honne k bawajood bhi ye top trend par bearish trend reversal ka kaam to kartti hai, lekin zarrori nahi hai, k ye candle bearish hi ho. Candle k leye top position ziadda aham hai. Candle ki formate darjazzel tarrah se honna chaheye ;
Shooting StarCandle: Shooting Star candle bullish ya bearish dono formate main ho saktti hai. Ye candle kisi bhi color main yanni black or red main ho kaam is ka bearish trend reversal ka hotta hai. Candle ki real body small aur upper side par aik long wick zarorr hona chaheye.
Explanation
Shooting star candle "Umbarella" family se taluq rakhne wali candle hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai, jab k candle ki real body shadow k muqabele main adha ya uss se bhi kam hota hai. Shooting star candlestick pattern k banne k pechay ki psychology ye hai k top trend par prices bullish trend k rules ko follow kartte howe pehle upward jatti hai, lekin baad main selling pressure ki waja se qeematen wappis gerr jatti hai, aur candle ki top prices k leye resistance ka role play kartti hai. Shooting star candle main prices upward janne k baad wapis open price k pass close ho jatti hai, jis par candle ki aik small real body banntti hai, aur upper side par aik long shadow ya wick hotti hai.
Trading
Shooting star candlestick k leye prices ka top honna zarori hai, jab hi ye candle "Shooting star" candle kehlayegi, warna downtrend main to ye candle "inverted hammer candle" main badal jati hai. Shooting star candle aggar long timeframe pa ho to bearish trend reversal ziadda mazzbot hogga. Pattern k upper sidebpar long wick prices ka resistance level show kartti hai, jiss se prices ka downward fall ziadda mustahkem hotta hai.
Shooting star candlestick pattern par trading karne se pehle chart pattern ka longer timeframes ka intekhab zaror karen, candle par entry karne se pehle prices ka top area honna zarrori hai, dossra pattern k baad confirmation candle ya koi relaible indicator se help bhi zarror lenni chaheye. Aggar shooting star candle k baad aik long real body wali bearish candle bannti hai to ye aik strong trend reversal aur market main sell ki entry ki position hoggi. Stop Loss ki position pattern k top par ya shooting star candle k top se ek ya do pips upper set karen. Shooting star candle par akele main trading riski hai, iss waja se hamesha se dosre indicators ka sath istemal kia karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим