Bearish Engulfing Pattern ko istimal karty hoy profitable trade kaisy ly sakty hain

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Engulfing Pattern ko istimal karty hoy profitable trade kaisy ly sakty hain
    Bearish engulfing pattern aik takneeki chart pattern hai jo anay wali kam qeematon ka ishara deta hai. pattern aik oopar ( safaid ya sabz ) candlestick par mushtamil hota hai jis ke baad aik barri neechay ( siyah ya surkh ) candlestick hoti hai jo choti oopar wali mom batii ko girhan ya" engulf" karti hai. pattern ahem ho sakta hai kyunkay yeh zahir karta hai ke baichnay walay kharidaron ko peechay chor chuke hain aur qeemat ko ziyada jarehana tareeqay se neechay ( candle neechay ) kar rahay hain jitna ke khredar usay oopar ( oopar candle ) dhakelnay ke qabil thay.
    Click image for larger version

Name:	images.jpg
Views:	1
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12523003
    How to Use a Bearish Engulfing Pattern:

    Chart ki misaal teen bearish engulfing pattern ko dikhati hai jo forex market mein paish aaye. pehla bearish engulfing pattern barray neechay ke rujhan mein oopar ki taraf pull back ke douran hota hai. pattern ke baad qeemat kam hoti hai .Majmoi tasweer ko dekhte hue aglay do engulfing pattern kam ahem hain. ghair mulki currency ke jore ki qeemat ki had tang hona shuru ho rahi hai, jo ke katay hue trading ki nishandahi karti hai, aur pattern ban'nay se pehlay qeemat mein bohat kam izafah hota hai. agar ulatnay ke liye bohat kam hai to ulat pattern ka bohat kam istemaal hota hai. hudood aur katay hue baazaaron ke andar ghairay hue pattern aksar hotay rahen ge lekin aam tor par achay tijarti signal nahi hotay hain.
    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	5
Size:	8.9 کلوبائٹ
ID:	12523004

    What Does the Bearish
    Engulfing Pattern Tell Us?

    Qeematon mein kuch oopar ki harkat ke ekhtataam par bearish engulfing pattern nazar aata hai. is ko oopar ki raftaar ki pehli mom batii ke overtake honay, ya aik barri doosri mom batii ki lapait mein le kar nishaan zad kya jata hai jo kam qeematon ki taraf tabdeeli ki nishandahi karta hai. pattern mein ziyada qabil aetmaad hota hai jab engulfing candle ki khuli qeemat pehli mom batii ke band honay se kaafi oopar hoti hai, aur jab engulfing candle ka band hona pehli
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	35
Size:	9.5 کلوبائٹ
ID:	12523005
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Engulfing Pattern ko istimal karty hoy profitable trade kaisy ly sakty ha

    Explanation.

    Friends bearish engulfing pattern Jab Bhi Banega aap Dekhenge ki yah pattern use Waqt Banta Hai Jab market ka dear pattern Jab Bhi Banega aap Dekhenge ki yah pattern use Waqt Banta Hai Jab market ka musalsal uptrend hota hai aur Market Jab dear ya pattern Jab Bhi Banega aap Dekhenge ki yah pattern use Waqt Banta Hai Jab market ka musalsal uptrend hota hai aur Market Jab ab trend Mein movement kar rahi Hoti Hai To proper Ek kar rahi Hoti Hai To proper Ek resistance per ja ke market Mein yah trend Banta Hai Jiski kar rahi Hoti Hai To proper 1 resistance per jaake market Mein yah friend Banta Hai Jiski yah Nishani hoti hai hai ki aapke pass Ek Chhoti hai ki aapke pass Ek bullish candle hoti hai aur Ek bullish candle hoti hai aur uske bad market Mein Ek wrong bearish candle banti Ek bullish candle hoti hai aur uske bad market Mein Ek wrong bearish candle banti hai uski Nishani Je hoti hai ki varg App se Ek bullish candle hoti hai aur uske bad market Mein Ek wrong bearish candle banti hai uski Nishani Je hoti hai ki varg App se open hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (17).jpeg
Views:	40
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12387017
    Trading with Bearish Engulfing Pattern

    Friends bearish Engulfing candlestick banti hai tu apko us time main forun sell ki trade lagani cheye kunk usk bad hamesha markit neechy ati hai is situation main apko understand krna chaye ka ab markit kuch pips lazmi neechy aye ge ya candlestick scalping kay liye bbi bahut useful hoti hea.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	44
Size:	31.5 کلوبائٹ
ID:	12387018

    Important points

    • Bearish engulfing pattern jahan per b bana, ye hamasha pullback k bara man batata ha.
    • Ager engulfing candle ka size chota ha to in ka market reversal ka effect b kam hoga.
    • Bearish candle ka bullish candle ko engulf kerna lazmi ha.
    • Ye pattern kam importance rukhta h ager market chopy ho.


    Click image for larger version

Name:	images (23).png
Views:	57
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12387019
    Note

    Friends bearish trend may buying ki trade nai lagani chahiye Kyu Kay iss trend may market ki movement nay downward move karna hota hay tou iss situations may traders ko selling ki trade laga dayni chahiye takay iss Wakat say zayada faida hasal Kar sakay.
    • #3 Collapse

      Re: Bearish Engulfing Pattern ko istimal karty hoy profitable trade kaisy ly sakty ha

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Bearish Engulfing Candlestick Pattern


      Bearish engulfing candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish engulfing pattern bhi shamil hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2763).png
Views:	57
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12387028

      Candles Formation


      Bearish engulfing candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

      Click image for larger version

Name:	unnamed (69).jpg
Views:	13
Size:	19.6 کلوبائٹ
ID:	12387029

      1. First Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

      2. Second Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se size main bari hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, jab k close ussi candle k bottom par hoti hai. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.

      Explanation

      Bearish engulfing candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye candle aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya upward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur ye candle pehli candle ki nisbat real body main bohut bari bhi hoti hai aur ye candle pehli candle ko apne andar mukamal lapait main le leti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise ruk jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se top par gap main hota hai, jab k close pehli candle k open se nechay hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2764).png
Views:	8
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12387030

      Trading

      Bearish engulfing candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya pehli candle k close price se two pips above par set karen.

      Click image for larger version

Name:	download (136).png
Views:	5
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12387027
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Bearish Engulfing Pattern ko istimal karty hoy profitable trade kaisy ly sakty ha

        [CENTER ]Bearish Engulfing Candlestick Pattern [/CENTER]

        Introduction:

        Bearish Engulfing candlestick pattern do camdles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jis me dono candles opposite direction me bhi aur mukhtalif colour (black and white) ki hoti hai. Is pattern me 2nd banne wali black candle 1st white candle ko mukamal apne andar dhanp (cover) kar leti hai, is waja se is pattern ko Bearish Engulfing candlestick pattern kaha hai.

        Click image for larger version

Name:	images (2766).png
Views:	4
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12387032

        Pattern ki Pehchan k Rules
        1. Bearish trend reversal hone ki waja se Bearish Engulfing Candlestick Pattern k leye qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona zarori hai.
        2. Pattern ki 1st candle aik real body wali white candle honi chaheye.
        3. Pattern ki 2nd black candle 1st white candle se uper gap me open hoti hai, lekin close white candle k nechay gap me hoti hai, yani ye candle white candle ko mukamal apne andar dhaanp (engulf) leti hai.
        4. Pattern me candle ki shadow ki koi ahmeyat nahi hai, bas 2nd candle black honi chaheye aur dosra us ki real body 1st candle se bari bhi honi chaheye aur open close point bhi 1st candle se ziada hona chaheye.


        Click image for larger version

Name:	images (1079).jpeg
Views:	1
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12387033

        Pattern ki Tafseel:

        Bearish Engulfing candlestick pattern aksar market me ziada price area me bante hen, jahan se qeematon ne reversal bearish trend me jana hota hai. Pattern ki 1st candle aik white real body wali banti hai, jo k market k mojooda bullish trend ko zahir kar rahi hoti hai. Pattern ki 2nd candle 1st candle se upper gap me open hoti hai, lekin close white candle k nechay ja k hoti hai. Ye candle qeeamton ka trend change hona dekhtati hai. Black candle white candle ko mukamal apne andar samet leti hai. Pattern me candles ki real body aur colour zarori hai, jab k shadow ki koi ahmeyat nahi hai.

        Click image for larger version

Name:	images (1078).jpeg
Views:	1
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12387034

        Pattern pe Trading:

        Sell signal. Bearish Engulfing candlestick pattern pe hum instant trading bhi kar sakte hen aur pending orders bhi laga sakte hen. Kuch traders black candle k close hone pe market me entry karte hen, jab k kuch traders 2nd black candle k baad 3rd candle ka intezar karte hen, agar wo bhi black candle banti hai, to yahan se bearish pattern confirm ho jayega. Pending order bhi 3rd black candle k leye hi put kia jata hai. Stop loss pattern k sab se top point ya 2nd black candle k open position pe hoga.

        Click image for larger version

Name:	images (2765).png
Views:	19
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12387031

        اب آن لائن

        Working...
        X