GDP (Gross Domestic Products) Reports sy economical measure ki Calculation.....

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    GDP (Gross Domestic Products) Reports sy economical measure ki Calculation.....
    Aslam o alaikum,

    Dear friend umeed hain ap sab kehriyat sy hon gay, or market main acha profit ban rahy hon gy. agr ap market main successful Hasil karna chahty hain to ap ko Hamesha experience k sath kam karna hota hai. Tab hi ap successful ho sakte hain. Market main agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different tareeky sy study karty hain to ap ko bhot zyda fayda milta hai. Aj main ap sy Gross Domestic Product k related information share karna chahti hun jis main ap ko bhot zayda experience hasil ho sakhta hai...

    GROSS DOMESTIC PRODUCT:

    Dear GDP 3 lafaz Gross Domestic Product kay ly istemaal hoty hain jis ka urdu main matlab hay Majmoei Mullki Paidawar. Jesa kay lafzon se zahir hay kay GDP mulk main jitne mulkk ke Paidawaar Goods and services hote hain un ko jamma kar kay bnayaa jaata hay aur ye salanaa calculate kiya jaata hay. Gdp main saari wo cheezin shamill hoti hain jo us saal main kise bhe mulk main produce hoti hain. Maslan agar aik saal main 1 lakh new gaariyan bani hain to unn ke keemay ko GDP main shamil kiyaa jaata hai esi tarha aur bhe jo cheezin banti hain unn sb ko shamil kiya jaata hai.



    IDENTIFICATION OF GROSS DOMESTIC PRODUCT

    Dear Gross Domestic Product harr mulkk main saalana calculation kay baad zahir kiya jaata hay aur Gross Domestic Product country main jitne bhe new cheezin banaai jaati hain ya bikti hain unke keemat ko jama kar kay bnayaa jata hay. Ye baat zehan main rakhi jaay kay gross domestic product main sirf wohii cheezin shamil hoti hain jo sirf pehli baar sale hoti hain. Agr ap successful trading karna chahte hain to ap ko bhot Soch samjh kar trading karna hoti hai. Or apni trading activities ko complete karna hota hai. Agar koi cheez dobara ya phir repair ho kay sale ho to wo gross domestic product main shamil nahi hoti. Han jo cheez repair hoti ha maslan agar gaari hay to uska tire to wo gross domestic product ma shamil ho ga na kay dobara se poori gari ke keemat. GDP mulk ke taraki ko show karta hay aur ye taraki ke nishani hay.

    DETAILS :

    Dear GDP mulk ke mae'eshat ke pehchaan hay agar GDP zayda hota hay to us mulk main companies zayda bandy hire karti hain aur zayda salaries de jaati hain. Jis se mulk ke taraki zahir hoti hay. Es kay barakas agar mulk ka GDP down ho raha ho to inflation bharti hay aur berozgarri ya unemployment bharti hay. Jo kay mulk ke tanazli ke nishaani hota hay.

    EFFECT ON FOREX MARKET:

    Dear GDP mulk ke mae'eshat ke pehchaan hay agar GDP
    ko forex traders bahut zaida Importance detty hain kun kay GDP say aany waly maheenon yaa saalon main Economy par asraat zahir karty hain. Agar kise mulk ke economy ko positive momentum chahey ho yo uss kay GDP par sab zaida foucas kiya jaata hai. Forex traders jabb bhe analysis karte hain aur specially fundamental analysis main sab sy zaida esy ehmiyat dee jaati hai. Technical analysts bhe GDP par lazmi nazar rakh kar technical analysis karte hain.

    ......Forum is a great place for traders talk.......
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: GDP (Gross Domestic Products) Reports sy economical measure ki Calculation.....

    G dear friend, GDP basically (Gross Domestic Product) ka short form hy is Ka purpose ye Hy Kay kisi mulki ki Muashi tarqi ya tanzli ka inhisaar us mulk ki GDP pe hota hy jitna GDP growth zada ho gi utna mulk taraki kary GA aur economy barhy gi.

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2022-04-14T161722.899.jpeg
Views:	1
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12386960

    GDP Explanation?

    Dear members simple words me GDP us keemat ko kehty hen jo kisi b mulk ki goods and services ki khareedari pe kharch hoti hy.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-14T161737.864.png
Views:	1
Size:	24.3 کلوبائٹ
ID:	12386961

    Example

    Let suppose agar koi sarif agr new car purchase krta hy 5 lakh rupy men to wo 5 lakh rupy mulk ki GDP men shamil ho jain gy lekin agr koi costmer used car khareed leta hy aur price us ki half hoti hy to us ki price GDP men shamil ni hogi kyun k already wo 5 lakh rupy pehly costmer ki trf se country ki GDP men shamil hogaye hen is liye jo b un used products ho gi un ki jo b keemat hogi wo GDP men shamil hungi.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-14T161715.844.png
Views:	1
Size:	27.7 کلوبائٹ
ID:	12386962

    GDP ka Mulki economy py effect

    Gross domestic products kisi bhi country ki economical condition ko strong kerny main bahot helpful hota hai ky agar GDP kisi bhi country ki decrease ho rehi hoti hai tou uska matlab hota hai ky country ki economical condition weak hoti ja rehi hai jabky agar GDP ki ratio increase hona shoru ho jaey tou same country ki economy bhi strong hona shoru ho jati hai kyun ky gross domestic products ko jab ham other countries ko export kerty hain tou us sy hamari country ky financial assets main increase ati hai aur jab hamary financial assets increase hona shoru ho jaey ga tou hamari country ki economical condition automatically strong hona shoru ho jaey gi ap

    Click image for larger version

Name:	images (6) - 2022-04-14T161706.242.jpeg
Views:	1
Size:	44.2 کلوبائٹ
ID:	12386963

    Role of GDP in Economy

    Gross Domestic Product hamesha wide role play kerti hain kisi bhi country ki economy ko strong kerny main so country ki governance per depend kerta hai ky inter countries aur intra country trading main GDP ki ratio Kia chal rehi hai aur isko kis terha increase Kia ja sakta hai jabky agar good governance ho tou country ki economy GDP ki growth ky sath increase hona shoru ho jati hai jis sy citizens ko facilities milna shoru ho jati hai yehi effect hota hai good governance ka ky agar citizens ko facilitate kerna hai tou apni economy ko strong kerna hoga jis ky liay zaruri hai ky GDP ki ratio ko increase Kia jaey taky other countries sy achi earning ker ky apny financial resources ko increase Kia ja saky jis sy country ki real economical strength increase kerny sy prosperity produce hoti hai aur her koi apny fun ky mutabiq domestic products ky standard ko isterha sy increase kerna chahta hai ky jab uski product ko international market main achi income milna shoru ho jaey tou product ka standard bhi phir increase hona shoru ho jata hai.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: GDP (Gross Domestic Products) Reports sy economical measure ki Calculation.....

      GDP (Gross Domestic Product) dar asal aik economic indicator hy. Gdp ka matlab hota hai k grosa domestic product es ma economy ki health ko different indicators k zaraye calculate kiya jata hai. Gdp growth sy per capita income ko find kiya ja sakta hai. Secondly gdp sy he country ki total imports or exports ko calculate kiya ja sakta hai. Gdp ki value ko previous year ki value k sath compare kiya jata hai or es sy investors ko pata chal jata hai k country ny es sal ketny percent taraki ki hai or unko es country ki economy ma invest karna chahe k ni.

      Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-14T162222.219.jpeg
Views:	1
Size:	39.7 کلوبائٹ
ID:	12386964

      GDP Role in Country's Health.

      Ik country ki gdp ki ratio jb up ho jae gi to uski currency strong ho jae gi or es strong currency ko trader baki currencies k sath compare karty hain or es information ko trades ko open karny ma use karty hain. Different currencies ko ham correlation ki help sy predict kar sakty hain.

      Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-14T162226.498.jpeg
Views:	1
Size:	65.0 کلوبائٹ
ID:	12386965

      Gdp and Currency Rates

      Forex trading ma jb ik currency increase hoti hai or esk sath dosri currency b increase ho jae to ham esko positive correlation kehty hain. Ese tarha jb ik currency increase ho jae or eski base par dosri currency down fall kar jae to ham esko negative correlation kahyn gy. Forex trading ma es correlation ki trader ko jb knowledge ho to wo acha profit hasil karny k lae bhot achy signal gain kar sakty hain.

      Click image for larger version

Name:	Gross-domestic-product-GDP-gross-domestic-product-minus-general-government-gross-debt.png
Views:	1
Size:	29.4 کلوبائٹ
ID:	12386966

      Correlation GDP and formula

      GDP Formula

      GDP = private consumption + gross private investment + government investment + government spending + (exports – imports)

      Jo trader correlation ko samaj ni paty wo forex ma achy points ko hasil karny ma b kamyab ni ho paty. Forex trading ma jo knowledge ko prefer karta hai or economy ko better understand karta hai wo he acha perform karny ma kamyab ho sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (1) - 2022-04-14T162251.952.png
Views:	2
Size:	37.1 کلوبائٹ
ID:	12386967
      There is always light. If only we're brave enough to see it. If only we're brave enough to be it.

      اب آن لائن

      Working...
      X