Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Doji-star Candlestick Pattern
Morning doji-star candlestick pattern price chart par maojood current trend ko up-trend badalne ka aik strong signal deta hai, jiss se prices k main maojood current bearish trend ka khatma ho jata hai. Forex trading market main jab bhi prices aik khas trend k mutabiq movement kar rahi hoti hai, to trader k leye ye janna bohut zyada mushkil hota hai k kis time prices main trend reversal hone wala hai, lekin jab bhi kuch pattern jaise morning doji-star candlestick pattern prices k bottom ya bearish trend main bante hen, to yahan par traders ko aik signal mel jata hai, k ab yahan se trend reversal hone wala hai. Morning doji-star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai.
Candles Formation
Morning doji-star candlestick pattern ka shumar bhi bullish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k bottom ya bearish trend k baad banta hai. Morning doji-star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.
2. Second Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo ziada tar doji-star candle hoti hai. Ye candle bagher real body k sath small upper aur lower shadow k sath hoti hai. Ye candle bagher real body na hone ki waja se aik neutral candle hoti hai.
3. Third Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye Doji-Star candle se above side par gap main banna chaheye.
Explanation
Morning doji-star candlestick pattern prices k bottom main bearish trend ka khatma karta hai, jo teen mukhtalif patterns k candles par mushtamil aik strong bullish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle market main maojod sabeqa bearish trend k mutabiq aik bearish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki janib push karne ki koshash karti hai. Ye candle aik strong bearish candle hoti hai, jo market ki maojoda bearish trend ki mazboti dekhati hai. Pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo k umoman aik doji-star candle hoti hai. Ye candle prices ko mazeed nechay jane se rokne ka kaam karti hai. Pattern ki akhari candle aik bullish candle hoti hai, jo k doji candle k top par banti hai. Ye candle trend reversal aur prices ko upward push karti hai, jiss se market ka current trend bullish ho jata hai. Pattern ki pehli aur akhari candle taqreeban parallel hoti hai, jab k center wali candle dono k darmeyan main nechay gap ya gap k bagher ho sakti hai.
Trading
Morning doji-star candlestick pattern main dosri doji candle prices ko mazeed nechay jane se rok kar market ki current trend k change hone ka aik signal deta hai, jab k pattern ki last bullish candle current prices ko bullish trend main divert karwati hai. Pattern market main aik strong bullish signal deta hai, jiss par buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern k baad aik bullish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish bhi honi chaheye aur teesri candle k top par bhi close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle pattern k asarat ko khatam kar dete hen. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss sab lower point ya pattern k dosri candle k bottom se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим