Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern
Bearish counter attack line candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri bearish candle k open price pehli candle se oopar gap main honi chahiye. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k same closing price par hona chahiye, lekin iss k close price k ooper ya nechay nahi hona chaheye. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai. Dono candles k darmeyan banne wala gap dosri candle ki real body se cover hota hai, jiss ka normal chart par sahi andaza nahi hota hai.
Candles Formation
Bearish counter attack line pattern market main prices par bullish ka asarat ko khatam karne ki koshash karte hen, jo k do candles ka aik trend reversal pattern hai. Pattern main candles k opening prices aik dosre k opposite hona aur closing price same hone se ye aik qisam ka unique pattern ban jata hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish counter attack line pattern main shamil pehli candle bullish hoti hai, q k ye pattern aik bullish trend k akher main banta hai, to ye candle color main white ya green hoti hai. Ye candle aik strong real body main honi chaheye.
2. Second Candle: Bearish counter attack line pattern ki dosri candle bearish candle banti hai. Ye candle pehli candle se above gap main open ho kar ussi k closing price par close ho jati hai. Pattern ki ye candle aik black ya red color main hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Bearish counter attack line candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend aur buying pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top gap main open ho kar pehli candle k exact closing price k in-line close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, jo prices k sabeqa trend k khatemay par banta hai. Ye pattern dekhne aur candles ki formation same bearish belt-hold line candlestick pattern ki tarah hota hai, aur dono same bearish trend reversal k leye istemal hote hen, lekin dosri candle ki thori si tabdeeli ki waja se dono aik dosre se mukhtalef bante hen.
Trading
Bearish counter attack line candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers ziada active ho jate hen. Pattern ki dosri candle prices ko bullish trend k leye resistance zone banati hai, jiss k baad prices teezi k sath downfall karti hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho kayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi overbought zone main honi chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka high price banta hai, se two pips above set karen.