Important information about four price doji candlestick....
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about four price doji candlestick....
    Forex trading market mein jyada se jyada profitable trading karna chahte hain, to aapko hamesha fundamental analysis Kay sath sath technical analysis ko perfect banana hota hai. Technical analysis ko complete krny Kay liye different important candlestick ko carefully study karna hota hai. Ajj main appko aik important candlestick jisko aap Four Price Doji Candlestick ka name sa janty Hain, us ki kuch valuable information share karna chahta hun.

    Four Price Doji Candlestick:

    Four Price Doji Candlestick basically aik eisi candlestick hoti hai, jiski opening, closing, highest or lower value same hoti hain. Is candlestick main aapko market volatility bilkul zero milti hai.



    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	18
Size:	33.1 کلوبائٹ
ID:	12520836

    What is the four price doji candelstick pattern

    Dear forex member four price doji candelstick pattern eik bohat hi acha candelstick pattern ha is mn opening closing highest ur lower ki price same hoti ba ur market volatility bilkal zeri rehti ha sab se important hota ha k hum is mn chart ko fallow krein chart mn hum candelstick pattern ki move ko achi tra read kr sakte hein ur ise samj sakte hein agr hum is candelstick pattern ka use krna chahte hein tu is k liye important ha k hum is ko achi tra read krein jaisa k hume pta ha k volatility zero rehti ha hum is ko find out kr k bohat hi asani se anadaza laga sakte hein k market sellelr habya buyer hume is mn samj k kam krte rehna important hota ha .


    Trading in four price doji candelstick pattern

    Dear forex member agr hum is candelstick pattern mn kam krna chahte hein tu is k liye important ha k hum ise phaly chart mn achi tra fallow krein is ki price ko sanja asan ni ha sell mn be ho sakti ha ur buy mn be jab market volatility kam show krti ha tu is time mn hum entry le sakte hein kew k is time market ki move sideway hoti ha ur hum is ko asani se samj sakte hein is mn hume support ur resistance level ko check kr k kam krte rehna hota ha indicator ko be find out kr lena chaiye .


    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	7
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12520837
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about four price doji candlestick....

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Foure Price Doji Candle


    Four price candle doji family se taluq rakhne wali ek candle hai, jiss main candle ki na to real body hotti hai aur na hi uss ki koi up down shadow hotta hai. Four price doji candle main prices up dawn harkat karnne ki bajaye matlobba timeframe aik hi position par jammi rehti hai. Short timeframe main ye ziadda banti hai lekin long timeframes main ye kam hi nazzar atti hai. Four price doji candle k banne ki psychology kuch is tarrah se hotti hai, k market k buyers aur sellers matlobba stock ya currency jore main koi khas dilchspi nahi lette hen, jiss se uss item ki vlaue main na to izzafa hotta hai, aur na hi wo kam ho rahi hotti hai. Ye candle prices k kisi bhi position par banne par neutral candle ka kirrdar adda kartti hai, lekin high aur low prices main ye market ki up down movement rok letti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (879).png
Views:	30
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12419427

    Candle Formation


    Four Price Doji Candle : Four price doji candle main prices k high, low open aur close aik hi point ya position par hotte hen. Four Price Doji Candle traders ki market main adam dilchaspi ki waja se bantti hai, jo aik neutral candle tasawar hotti hai. Four Price Doji Candle baqqi doji candles se bohut mukhtalif hai, q k baqqi doji candles main prices kam az kam candle k up down par shadow zarror bannati hai, jab k four price doji candle main aisa nahi hotta hai, ye maths k "Minus (-)" nishan shap ki hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (880).png
Views:	9
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12419428

    Explanation

    Four price doji candle ek chotti line shap ki doji candle hotti hai, jiss ki na to real body hotti hai, bullke sath sath up down par koi shadow bhi nahi bantta hai, yanni ye candle real body main bhi zerro hotti hai, aur shadow main bhi zerro hotti hai. Yanni kisi matlobba timeframe main jab prices aik hi position par munjamed ho jaye tab ye candle wajood main atti hai. Four price doji candle ya to prices k bohut kam timeframe main bantti hai aur ya ye un currencies pairs main bantti hai, jiss par trading bohut kam hotti hai, q k traders ka un currency pairs main trade karne ka koi dilchaspi ka mode nahi hotta hai. Four price candle se market aisi behaviour de rahi hotti hai, jaise market main hollyday ya weekend par close hon. Major currency pairs k short term ki timeframe jaise S5 (five second), M1 (one minute) aur M5 (five minute) ki timeframe main ye candle kaffi taddad main bantte hen, jahan par qeematen kuch waqqat k leye sans le rahi hotti hai. Lekin long timeframe jaise; H4 (four hourly), D1 (daily) aur W1 (weekly) main in ka banna taqrreeban bohut kam hotta hai ya hotta hi nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (878).png
Views:	34
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12419426

    Trading

    Four Price Doji Candle candle ki real body na honne ki waja se ye candle na to bearish candle count hotti hai aur na hi bullish candle, bulkeh aik neutral candle tasawar hotti hai. Ye candle market k trend k darmeyan main trend continuation ka kaam kartti hai, jab k top trend ya down trend main candle ki behaviour badal jatti hai. Four Price Doji Candle aggar top trend par bantti hai to ye aik bearish trend reversal ki indication detti hai, jab k prices k bottom main banne ki waja se candle ki behaviour bullish trend reversal main badal jatta hai. Candle par trading k leye trend confirmation indicator ya price action ki zarrorat hotti hai. Aggar four price doji candle prices k top trend par banne k baad chart par aik bearish real body wali candle bantti hai, to ye aik bearish trend reversal ka isharra hogga, yahan par market main sell se entry ki ja saktti hai. Jab k down trend main banne k baad aggar aik bullish candle bantti hai to ye aik bullish trend reversal ka signal hogga. Yahan par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Four Price Doji Candle ka Stop Loss bearish trend reversal main doji candle k top se two pips above set hogga jab k bullish trend reversal main two pips doji candle k down par set hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (395).jpeg
Views:	16
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12419425

    اب آن لائن

    Working...
    X