Bollinger bands indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger bands indicator
    Introduction.

    Dear friends Bollinger bands indicator price envelope ki type jis man upper aur lower price levels define hota hain aur Bollinger bands price envelope hota hai jisko Standard deviation levels sa plote kia jata ha aur jo ak simple moving average line k oper aur nicha hoti han.

    Click image for larger version

Name:	trading-forex-with-bollinger-bands_body_Mainimage.png.full.png
Views:	18
Size:	21.5 کلوبائٹ
ID:	12520805

    Trade Entry In Bollinger bands.

    Dear friends Bollinger Bands indicator Bollinger band upper band ko touch kare to hum ko sell laga dena chahiye aur jab market center band ko touch kare to aap ko ya to trade close kar deni chahiye ya phir aap ko trade ka stop loss entry point par laga dena chaye ais se ye ho ga k ap ki trade secure ho jaye gi ais se apka account slow slow growth hota jayega agar hum ais mai entry lety hai to hum ko ais mai sath to aor sl lagana chahiye kyunki ais mai ye hai k hum ko ais mai tp or sl lazmi lagana chahiye kyunki ais mai agar market ais ko break kar deti hai aur aapki trade loss mai jana start ho jati hai to aus mai aapko trade time k sath close ho jaye to faida hota hai. ais mai agar ap ne sell wali trade lagai hai.

    Click image for larger version

Name:	Bollinger band forex strateg (1).png
Views:	9
Size:	289.0 کلوبائٹ
ID:	12520806

    Shape of bollinger Bands indicator.

    Dear friends Bollinger band indicator Nehar Ke two kinaron Ki Tarah hota hai jo price ke sath sath chalta hai tu price Upar Se niche band ke andar move karti hai London American Fashion Ke open hone se pahle hota hai ya koi news Jari hone se pahle Hota Hai Jab session open ho jata hai yah news Jari Ho Jaati Hai To price Upar ya niche Ki Jaane banaa start Ho Jaati Hai Isko break-out Kahate Hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bollinger bands indicator

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bollinger Band Indicator


    Forex market main currencies ki trading karna aasaan kaam nahi hai, khaas tor par new afraad ke liye kyunkay currencies ki markets barri movements aur waqeat par bohat taizi se radd e amal zahir karti hain. Yahi wajah hai ke Bollinger bands jaisa indicator, ( jo pehlay hi utaar charhao samjhta hai ), prices ke amal ka analysis karne aur majmoi trading karkardagi ko behtar bananay mein aap ki madad kar sakta hai. Bollinger band indicator ka istemaal aap ko trend ki semat ki nishan-dahi karne mein madad kar sakta hai, aur agar trend khatam ho gaya hai, to yeh entry points ka pata lagatay waqt risk ko kam kar sakta hai, aur aap ko stop karne ke liye munasib waqt ya break out ki tawaqqa karne ke liye signals faraham kar sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (396).jpeg
Views:	22
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12419431

    Bollinger Band Kam kese Karta hai?


    Bollinger band indicator is baat ki nishandahi karta hain ke aaya market mein utaar charhao (volitilety) ziyada hai ya kam, aur is k sath sath overbought aur over-sold ki sorat e haal se bhi agao karta hai. Yeh indicator aik oopri band, aik darmiyani band, aur aik lower band par mushtamil hota hai. darmiyani band aik simple moving average hai, jiss ko aam tor par 20-periods par set ki jati hai.

    Middle line: 20-day simple moving average (SMA)
    Upper band: 20-day SMA + (20-day standard deviation x2)
    Lower band: 20-day SMA – (20-day standard deviation x2)

    Jabb volitilety (utaar charhao) ziyada hota hai to do bairooni band phailtay (expand) hen ( darmiyani lakeer se hatt jatay hain ). Jab bands close (narrow) ho jatay hen ( darmiyani line ke qareeb jate hen ), utaar charhao (volitilety) kam hota hai. Aam tor par, kisi asasay ko overbought samjha jata hai, jab qeemat oopar Bollinger band tak pahunchti hai ( touch ) aur jab qeemat neechay walay band tak pahunchti hai to ye oversold soratehal hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (397).jpeg
Views:	8
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12419432

    Explanation

    Bollinger band indicator aik maqbool aur bohat mufeed indicator hai. Ye indicator trend ki simat ki behtar tasweer haasil karne aur mustaqbil ki market ki harkat ya movement ke baray mein signals haasil karne ke liye iss ko istemaal karne ke kayi tareeqay hen, lekin bohat se dosray tools ki terhan yeh mustaqbil ki predictions nahi karta. Hamesha ki terhan, time frame jitna lamba hoga, signals itnay hi ziyada qabil aetmaad hon gey, behtar aur ziyada durust nataij haasil karne ke liye, mukhtalif timeframes ka istemaal karte hue market ke trends ki analysis karne ki koshish karen aur Bollinger band ko dosray technical indicators ke sath mila kar istemaal karen.
    Bollinger band indicator mashhoor technical indicators mein se aik hain, jiss ko bohat sare traders istemaal karte hain. Iss indicator ko 1980 ki dahai mein jaan "Bollinger" ne tayyar kya tha aur is ka maqsad stock ke analysis ke liye istemaal kya jana tha. Bohut sara arsa guzarne k bawajood yeh ab bhi expert traders ke darmiyan pasandeeda indicator hai. Bollinger band indicator ko utaar charhao (volitilety) ke signals ke taayun karne ke liye istemal kia jata hai, jo pichlle bands ki nisbat qeemat kitni ziyada ya kam hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (399).jpeg
Views:	1
Size:	41.6 کلوبائٹ
ID:	12419433

    Trading

    Aam tor par jab kam volitilety (utaar charhao) ke douran Bollinger band tang ho jatay hen, aur linen aik dosray ke qareeb aa rahi hoti hain, to yeh samajh mein aata hai ke kisi bhi srmat mein break out ke liye tayyari kar raha hai.

    Bollinger Squeeze: Prices k kam utaar charhao ke douran istemaal karne ki hikmat e amli ye hai, k jab Bollinger band ziyada se ziyada" aik sath kam hote hen" to aap ko break out ke liye tayari karni chahiye. Agar qeemat oopar walay band ke oopar break karna shuru ho jati hai, to is baat ka imkaan hai ke qeemat bullish rahay gi aur yeh market main buy ka aik acha waqat hai. Issi terhan agar qeemat bottom band se neechay break ho jati hai to imkaan hai ke yeh bearish jati rahay gi. Jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai.

    Bollinger Bounce: Bollinger bounce aik trend k tabdeel karne ki hikmat e amli hai, jis ka bunyadi psychology yeh hai ke jab bhi band mein se kisi aik ko chothi hai to qeemat darmiyan mein reversal ho jati hai. Lehaza jab price Bollinger band ki oopri line ko chothi hai, to trader aam tor par sell ki entry karte hen, jab k nechay wale line ko prices touch karne par buy ki entry hoti hai.
    Bollinger band indicator currencies trading main aik bohat mufeed tool ho sakta hai, yeh aik qabil aetmaad indicator hai aur kayi dahaiyo se chart ke analysis k leye istemal kia jata hai. Kuch tehqeeq karne ke baad, tajurbah haasil karne aur Bollinger band ko –apne trading andaaz ke mutabiq karne ke baad aap ko Bollinger band ko samajhney aur is ke signals ko parhnay ka aik behtar mauqa miley ga. Yeh baat zehen mein rakhen ke Bollinger band akela akk standard system nahi hain. Yeh traders ko prices mein utaar charhao ke baray mein maloomat faraham karne ke liye design kya gaya hai aur dosray indicators signals ke sath mil kar behtareen kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (398).jpeg
Views:	7
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12419430

    اب آن لائن

    Working...
    X