trade with shooting star candle stick pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trade with shooting star candle stick pattern
    what is shooting star candle stick pattern



    shooting star pattern ke tashkeel aik bearish reversal pattern say hote hey jo keh serf aik candle stick par moshtamell hote hey es mein just single candle stick hote hey jo keh pattern ke humen identification ko batate hey jab price ko zyada dahka dayta hey to price fore tor par reject ho jate hey or down ana start ho jate hey takeh yeh serf long candle stick ko opar ke taraf chor day or kam say kam half part layna chihay nechay de gai tasweer ko daikh saktay hein
    Click image for larger version

Name:	shooting-star-candlestick-pattern_body_2019_05_02_13_06_48_Window.png
Views:	16
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12520723
    close honay wale price candle stick ke low price hone chihay jaisa keh aap daikh saktay hein keh yeh overall bearish ka trend hota hey kun keh prices apni high price ko barkarar rakhnay kay kabell nahe then
    reversal hammer kay sath es tarah ke identification ka analysis kea jata hey jaisa keh bearish reversal signal kay against hey yeh candle stick pattern zyada tar down trend support level ya pull back kay nechay say hota hey


    advantage of shooting star candle stick pattern in technical analysis;



    shooting star candle stick pattern apni sadgee ke wajah say new technical trader kay ley aik behtareen tool hey mumkana shooting star candle stick ka pata lagana sedha agay hey ager pattern kabhi kabhi khod nakes ho jay ge tahum ager pattern resistance level ya trend line kay kareeb say zahair hota hey to shooting star new bearish trend ke confirmation dayta hey es ke wajah yeh hey keh aik single candle stick over all trend ya market ke movement mein zyada important nahe hote hey
    es candle stick pattern ko estamal kartay wakt risk management ko follow karna zaroore hey yeh trader ko hefazate jal frahm karta hey ager market negative andaz mein chalte hey


    trade with shooting star candle stick pattern


    Click image for larger version

Name:	shooting-star-candlestick-pattern_body_2019_05_02_14_04_05_IG_Trading_Platform_Spread_Betting.png
Views:	19
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12520724
    forex market mein es reversal pattern ko trade karna kafe zyada asan hota hey es ka matlab low prices ka hota hey chokeh prices ko pehlay onchai par shooting star par reject kar deya geya tha hum recently swing high par stop loss ko kaim karnay ke koshesh karen gay aik trader asane say agle candle stick kay enter honay he tasdeeq kar sakta hey trader risk o reward ratio ko kaim karna chihay to retest of the wick trade karne chihay wick ka dobara test os wakt hota ey jab wick bohut zyada long hona chihay
    zyada tar prices wapes aa jate hein or long wick kay aik hesay ko opar ke traf lay jate hein trader wick kay darmean mein enter honay ke bejay wick ka kay center mein enter honay wait karay strict stop loss kay sath risk low kar raha hey
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trade with shooting star candle stick pattern

    Shooting Star Candle Kia Hai?

    Shooting star candle prices k top main bullish trend main banti hai, jiss k baad bearish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bearish ban jaye to ye bearish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai. Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Shooting star candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banti hai. Shooting star candle k aik small real body hoti hai, jiss ka upper side par aik lon shadow banti hai. Ye shadow Shooting star candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Shooting star candle ki real body k lower side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka lower aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye. Shooting star single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Shooting star candle bullish trend main ya high price main banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2646).png
Views:	2
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12384751

    Shooting Star Kaam Kese Karta Hai?


    Shooting star candle jo k prices k top aur bullish trend k baad banne par brearish trend reversal pattern ka kaam karta hai, inverted umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath upper side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k lower side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher lower shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Shooting star candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2645).png
Views:	16
Size:	14.3 کلوبائٹ
ID:	12384752

    Shooting Star Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Shooting star candle jo dekhne main aik inverted T jaise lagti hai, prices k top ya bullish trend main banne par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bearish trend ya low prices par banne wali Inverted hammer candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Shooting star candle ki inverse Hanging Man candle hoti hai, jo k same bullish trend main bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Shooting star candle par trade entry se pehle iss ki bullish trend ya top prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bearish candle par market main sell ki entry kar sakte hen. Stop loss candle ki sab se upper position ya candle ki shadow k top se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2644).png
Views:	74
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12384753

    اب آن لائن

    Working...
    X