Explain Relative Vigor Index In Forex Market..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explain Relative Vigor Index In Forex Market..
    Introduction:

    Assalamu Alaikum ummid hai aap sab theek Honge aur forex market ko acche se enjoy kar rahe Honge aaj main aapke sath Apna knowledge aur experience share karne ja rahi hun jo Ek bahut important topic hai jo ke relative vigor index ke bare mein hai relative vigor index trading player ki closing hair ki price ko compare karta hai aur unke range se simple moving average ko istemal karta hai aur istemal Karke unko result deta hai Ek Tara important topic hai jo ke Hamare trading mein bahut jyada help karta hai Is Tarah grahan isko Samajh Kar kam Karen is per To Ham ismein bahut jyada Kamyab ho sakte hain Jitna aaj main aapke sath Iske bare mein detail se share karte hain Iske bare mein experience Nahin Hai vah bhi apna knowledge increase kar le..


    Relative Vigor Index:

    Forex trading Mein relative index a technical tool hai job consider strength ko mayur krta hai aur yah price ko hi kartaaur yah price ko hi karta hai relative vigor Intex use Hota Hai ab trade Main Market Jaipur vice super close aur down train mein apna profile slow se niche loss ho to tab market trend tab market trend Mein relative index mein aa jata hai aur train mein change a jata hai ab train mein relative vigor index Upar a jata hai is baat ki indication hai k ab train continue rakhte hain aap Hamen isab train continue rakhte hain aap Hamen is per buy trade opening chahiye..







    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220410-223953.png
Views:	1
Size:	115.7 کلوبائٹ
ID:	12520690








    Formula And Calculation RVI:

    RVI hot comedy show hota hai ais k formule k liye simple steps ko istemal Kiya Jata Hai first trader and provide ko cash karta hai jo draft 14 value hoti hai 10 value ko bhi perfect Kiya jata hai to main aapke sath formula share Karte Hain..


    Formula:

    Relative vigor index =(close-open)/(high-low)n period.


    Calculation:

    Kisi calculation k liye humy phely specific periperiod ko dkhna hota hai us k pass 10 provide Hote Hain lekin traders isko lekin traders isko Apne strategy kya mutabi he select kar sakte hain okay bad Hamen practical ki Tara open close hi all value ko identity karna Hota Tara open close hi all value ko identity karna Hota Hai Uske bad previous provide ko single line question Mein play karna Hota Hai tab yah index calculation confirm Hogi Is Tarah ko calculate Kiya jata hai..








    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220410-223938.png
Views:	1
Size:	136.9 کلوبائٹ
ID:	12520689







    How To Trade With RVI:

    Indus trading Mein Hamari Kafi help karta hai agar Ham isko Samajh Ke istemal Karen To isase Hamen Kafi Jyada help Samajh Ke istemal Karen To isase Hamen Kafi Jyada help mil sakti hai Is Tarah Jab market down train mein ho aur ismein acchi entry leni Ho To Hamen inset relative index se help leni chahie Jab market Mein down train Mein Hogi to volatility lo ho ge aur relative index movement nahi karega Sab Hamen Lo volatility main main entry Nahin Leni AC market high volatility main Hogi To Hamen tab Teji remove Karenge tab Hamen iski confirmation ke bad market Mein entry leni chahie tab bhi Hamen ismein Achcha profit ho sakta hai isiliye Hamen is Mein Soch Samajh Ke hi market Mein inter Hona chahie..









    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220410-223920.png
Views:	1
Size:	48.0 کلوبائٹ
ID:	12520688
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explain Relative Vigor Index In Forex Market..

    Relative Volatility Index (RVI)


    Introduction:

    Relative Volatility Index (RVI) indicator ko Donald G. Dorsey ne 1993 me banaya tha, jis me baad me 1995 me thori si tabdeeli ki gaye. Waqat k sath sath jab qeematen badalti hen to Relative Volatility Index (RVI) indicator is ka mayari inheraf (standard deviation) ki pemayesh karke us ko chart pe 0 se 100 ki range me zahir (display) karwata hai. Jab bhi RVI ki value 50 se uper (above) jayegi, to qeematon ki volitilety uper ki taraf hogi aur yahan pe "Buy" ka signal genrate hoga. Lekin jaise hi value 50 se nechay geregi to qeematon ki volitilety nechay ki taraf hogi aur "Sell" ka signal ko confirm karega.

    Click image for larger version

Name:	images (1004).jpeg
Views:	19
Size:	31.7 کلوبائٹ
ID:	12384679

    Relative Volatility Index (RVI) Procedure:

    RVI indicator ka istemal same RSI indicator jaisa hi hai, aur taqreeban dono kaam bhi same hi karte hen, lekin RVI indicator qeematon me rozana tabdeeli ki aam variation (standard deviation) ki pemayesh karta hai, jab k RSI indicator qeematon me total tabdeeli ki pemayesh karta hai. RSI indicator har din k ikhtetam pe net changes ko musbat tabdeelion (positive changes) aur manfi tabdeelion (negative changes) me alag karta hai, pher RSI indicator tanasub (ratio) ka istemal karte howe in tabdeelion ko smoth aur normal kar deta hai jo 0 se 100 tak ka aik standard pemana bana deta hai. RVI indicator bhi same formule ka istemal karta hai, lekin 10-day mayari inhiraf (standard deviation) ko qeematon k closing price k net changes se badal deta hai.
    RVI indicator ko volitilety ki semat (direction) ki pemayesh k leye design kia gaya tha. Dorsey ka khayal tha k trading system ko behtar banaya ja sakta hai, agar confirming indicator ko as a filter price movement indicator k sath akhata istemal kia jaye. RVI filter ki bajaye volitilety ki pemayesh karke qeematon k taqaat (strongness) ki calculation karta hai. Is se RVI indicator kafi behtar hota hai, q k dosre indicators me ye khobi nahi thi.
    RVI ko aik aise indicator k tawar par design kia gaya tha jis ka istemal trend-momentum indicator (jaisa keh; RSI, MACD, Stochastics, Rate of Change, Price Oscillators) se naqal (duplicate) keye bagher tasdeeq k leye istemal kia ja sakta hai. Jaisa k Dorsey ka dawa hai; "chonkeh RVI dosre indicators k muqabele me market ki harkeyat (dynamics) ki mukhtalif set ki pemayesh karta hai, is waja se ye confirming indicator k tawar par ziada behtar sabit hota hai. RVI confirming indicator k tawar par is waja se behtar hai, q k ye RSI me paye jane wali kami ko pora karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2626).png
Views:	9
Size:	22.0 کلوبائٹ
ID:	12384680

    Trading on RVI Indicator:

    RVI indicator bhi trading hum hum RSI jaisa hi istemal kar sakte hen. Is me bhi same hi levels hote hen, top side pe 100 aur bottom side pe 0 hota hai. Is indicator me bhi 30 se kam level oversold zone aur 70 se ziada ka zone overbought hota hai. Market me qeematen 50 se uper trade karne pe bullish tasawar hoti hai, jab k 50 se nechay bearish trend me shumar hoti hai. Oversold area me hamesha trend reversal k chances hote hen, aur jab bhi qeematen uper ki taraf move hona shoro hoti hai, to yahan pe buy ki entry ho sakti hai, jab k over-bought area me qeematen bearish side pe move hone ki koshash me hoti hai, is waja se indicator ka ye area sell signal genrate karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2625).png
Views:	1
Size:	30.4 کلوبائٹ
ID:	12384681
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Explain Relative Vigor Index In Forex Market..

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Relative Vigor Index (RVI) Indicator


      Relative Vigor Index ( RVI ) kisi assets ki close honay wali price ka uss ki trading range se mawazna karkay aur result ko smooth karkay trend ki mazbooti ki pemayesh karta hai. Relative Vigor Index (RVI) indicator is khayaal par mabni hai ke bulls market mein ikhtitami price, aam tor par, ibtidayi price se ziyada hoti hai. RVI indicator stochastic oscillator se mushabihat rakhta hai. Dono indicators main faraq ye hai k RVI indicator close price ko low price se compare karnw ki bajaye open price se compare karta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (1005).jpeg
Views:	2
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12384704

      RVI Indicator ka Implementation


      Relative Vigor Index (RVI) Indicator ko price chart par set karne k leye bohut asaan tareeqa hai. Ye indicator hamare mt4, aur mt5bmain by-default maojodd hota hai, iss waja se iss ko download karne ki zarorat nahi parti hai. Mt4 ya mt5 trading plateform open karne k baad pehle insert main jana parega, uss k baad indicators main aur last par oscillator par click karna hoga. Oscillator main RVI indicator hota hai, jiss par click karne se iss indicator ka setting window open hota hai.
      Relative Vigor Index (RVI) indicator ki 10 reading sab se behtar aur trading se mutabeqat rakhne wali indication hoti hai. Indicator do lines ka istemal karta hai, aik iss ka khud ka RVI line aur dosra signal line hota hai, jo k moving averages ksath move kar rahe hote hen.

      Click image for larger version

Name:	resizedimage600450-meta4oo.png
Views:	3
Size:	58.4 کلوبائٹ
ID:	12384705

      Explanation

      Relative Vigor Index (RVI) indicator " oscillator" khandan ka aik maqbool rukan hai. Agarchay Relative Vigor Index (RVI) ka khaaliq namaloom hai, lekin is ka design stochastics se bohat milta jalta hai, siwaye is ke ke close price ka mawazna is peroid ke liye low price ke bajaye open se kya jaye. Traders aam tor par tawaqqa karte hen keh RVI indicator simat ki tabdeelion ka ishara dey ga aur jab valu increase ho rahi hoti hai aur close honay wali prices ibtedaye value se ziyada hon gi to woh bullish market mein izafah kere ga. Volitilety is terhan smooth hotay hen, keh index aur price ke value ke darmiyan farq ziyada aham hai.
      Relative Vigor Index (RVI) indicator ko "oscillator" ke tor par darja bandi kya jata hai kyunkay value shumaar shuda positive aur negative value k darmiyan utaar charhao aati hain. Indicator k chart mein aam tor par "0.00" par aik center line hoti hai, jis mein RVI line aur signal line moving average k mutabiq move karte hen.

      Click image for larger version

Name:	images (2627).png
Views:	1
Size:	30.0 کلوبائٹ
ID:	12384706

      Trading

      Relative Vigor Index (RVI) indicator aik center point mein ghoomta hai. RVI indicator ko iss tarah se explain kia jata hai, keh jaisay bohat se dosray oscillator, misaal ke tor par, MACD aur RSI. Khas tor par, RVI indicator zahir karta hai, k market kab overbought ya oversold hoti hai aur signal send karti hai jab yeh qeemat ke chart se mukhtalif ya divergence hoti hai .
      RVI indicator k mutabiq overbought/oversold condition kuch iss tarah se hoti hai, jab market flat hoti hai, to sell/buy ke signal ke leye overbought (high) ya oversold (low) k area se exit ke liye RVI indicator k divergence main value ko dekhen. Yahan par ye baat note karen, keh indicator overbought aur oversold honay walay areas k liye durust peshangoy nahi karta, is liye traders ko khud is ka pata lagana chahiye, iss ke ilawa, yeh yaad rakhna zaroori hai k oscillators aik taweel arsay tak intehai satah par barqarar reh satke hen.
      Signal line cross over ki sorat main RVI line aur Signal line k darmiyan cross over ka baghawar mutalea karen. jab indicator signal line se oopar move karta hai, to yeh bullish signal ki alamat hai, aur jab indicator signal line se neechay jata hai to yeh bearish ki nishani hoti hai. Lekin agar koi nai qeemat high hai to pichli qeemat se ziyada hai, jab ke nai RVI high pichle se kam hai ( bearish divergence ), RVI ko talaash karen ke signal line ko neechay ki taraf cross karen aur phir sell karen. Agar aik nai qeemat kam hai jo pichle se low hai, jabkay nai RVI low pichle wali se ziyada hai ( bullish divergence ), signal line ko neechay se oopar karne ke liye RVI line ko talaash karen aur phir buy karen. Relative Vigor Index (RVI) indicator trading ke liye mufeed hai lekin yeh ghalat signal bhi dey sakta hai, is liye usay dosray indicators aur trading tools ke sath mil kar istemaal karna hoga.

      Click image for larger version

Name:	images (1006).jpeg
Views:	6
Size:	56.9 کلوبائٹ
ID:	12384703

      اب آن لائن

      Working...
      X