Doji Candles
Doji candle single candles me sab khas aur dischasp noyeyat par mushtamil candle hoti hai. Doji candles markek me us waqat banti hai, jab qeematon ka open aur close aik hi point pe hota hai. Is candlestick me qeematen apne aghaz ki position se shoro ho kar up aur down move karne k baad wapis apni open wali position pe band ho jati hai.
Aam tawar par doji candle aik neutral candle hoti hai, q k is ki real body bulkul hoti hi nahi hai. Isi tarah se Doji candles me aam bullish aur bearish candles ki nisbat shadow hi bohut zyada ahmeyat ki hoti hai. Candles ka shadow jis side pe ziada hota hai, to umoman qeematen us semat ki ulat (reversal) side pe jati hai, q k qeematen us side ko reject kar chuki hoti hai. Doji candles aam tawar par chaar (5) mukhtalif qismen hen; Four Price Doji Candle, Dragonfly doji candle, Gravestone Doji candle, Long-legged Doji candle aur Standard Doji (jisbko star doji bhi kaha jata hai).
Four Price Doji Candle
Introduction:
Four Price Doji Candle aik aisi candle hoti hai, k jis ka open, close, high aur low same point ye price pe hota hai. Doji candle me real body na hone ki waja se is candle ki wick ya shadow ki ahmeyat ziada ho jati hai, lekin doji candle me four price doji candle aisi candle hai, k jis ka shadow bhi nahi hota. Is candle me qeematen jis position pe open hoti hai, to candle ka duration pora hone k baad bhi qeematen same usi position pe hi rehti hai.
Four Price Doji Candle k Osool:
- Four price doji candle chart pe line jaisi dekhaye deti hai, q k candle me qeematon ka open-close aur high-low same point pe hota hai.
- Candle ki na to real body hoti hai, aur na hi is candle ki kisi side pe shadow hoti hai.
- Ye aik neutral candle hoti hai, q k qeematen apni jagah se halki bhi kisi aik side pe move nahi hoti.
- Is candle k banne ka maylab hota hai, k market me investors ki adam dilchaspi hai.
Pattern ki Tafseel:
Four price candle aik neutral doji candle hoti hai, jo na to real body rakhti hai aur na hi is candle ki kisi aik side (up and down) shadow hota hai. Is candle market me tab banti hai, jab investors ki market me mukamal dilchaspi khatam ho jati hai. Baaz dafa umoman investors kisi news ya bare event k intezar ki waja se market se be-rukhi ikhteyar karte hen, jis ki waja se market me qeematen aik hi point pe rukh jati hai. Market me aksar trend is candle k banne ki waja se reversal trend pe chale jate hen.
Four Price Doji pe Trading:
Four price doji candle pe trading hum us waqat kar sakte hen, jab bhi qeematen ya to high prices area yani bullish trend me hoti hai, aur ya low prices area yani bearish trend me ho. Ye candle high price area me banne se trend ko reversal bearish trend me convert kar deti hai, jab k low price area me banne se ye trend ko bullish reversal me convert kar deti hai. Candle ki position agar chart k darmeyan me a jaye to us waqat ye neutral tasawar hoti hai, jis pe trading se ikhtiat karna chaheye. Wese bhi ye candle neutral hoti hai, q k traders kisi bare news ya event k intezar me hote hen.
Trade lagane se pehle pattern k baad banni wali candle se confirmation zarori hai, agar wo candle reversal trend pe banti hai, to us waqat humen trend k side pe trade open karni chaheye, stop loss candle ki sab se up position sell trade k leye aur sab se down position buy trade k leye hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим