How to make successful trade with support and resistance
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to make successful trade with support and resistance
    Introduction to Support and Resistance:
    Assalam alaykum dear forum memebrs!
    umeed karta hun aap sb khair khairiat se hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge.
    dear members trading ho ya koe bhi kaam agar esko seekh kr kia jy to kamyabi milti ha.
    demand and supply k sath trading main hmara candlesticks se rozana taluq hota ha or agar hum inko read kr k sahi se trading karen to hamen kamyabi mil jati ha.
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	3
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12520585
    How to identify support & resistance

    1. Support aur resistance istimall karnay ky liay basic trading ka treka yeh hey keh up trend range or chart pattern mein hota hey wahay par support ko buy karen or down trend
    range or chart pattern kay hesay mein jahan prices increase ho rehe hon wahan say sell karen yeh aik long period trend ko alag karnay mein madad karta hey or jahan tak rang

    2. Japanese candle stick financial markets ki language hy .jis samjhny k liay forex market ki study boht zarori hy.candlestick pattern hi hamen btata hy kh market ka trend kia ban
    raha hy aur future m kis taraf market ja skti hy. Yahan kuch candle stick ky topic ko discuss kia ja sakta hy
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	20
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12520586
    How to make successful trade with support and resistence

    Forex member successful trade leny k liay support and resistence ko janena boht zarori hy agr ap market main kamyabi Hasil karna chahte hain to ismein ap ko bhot acha profit milta hai.
    market mein koi trend temporary toor par Reversal hota hy to ham isy Retracement ka naam dety hen. Matlab ye ky market ka trend completely toor par change nahin ho raha hota
    balky market thory time k liye Reversal hoti hy. Es ki tafseel main ap sy chart main share karun gi.Ji to yahan ham bat karain gay keh kis tarah is pattern say ham faidah utha sakty hain
    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	9
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12520587
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to make successful trade with support and resistance

    Support and Resistance


    Introduction:

    Financial market me aksar qeematen aik do sathon (levels) k darmeyan baar baar uper-nechay (up-down) ho rahi hoti hai, uper satah (level) pe jis point ko qeematen chone (touch) karne k baad wapis ati hai, qeematon ka Resistance level kehlata hai, jab k wo point jis pe qeematen nechley position ko cross karne me nakam hoti hai, aur qeematen wapis uper chali jati qeematon ka Support level kehlata hai. Qeematon ka resistance aur support levels hamesha aik jaisa nahi rehta, bulk waqat k sath sath ye market ki hado-hal (situation) k mutabiq up ya down shift hote jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (460).jpeg
Views:	2
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12419302

    Support and Resistance Line Tafseel


    Financial market me support and resistance lines aik behtareen aur umda concept hai, jis ko tamam traders bara ihteram karte hen. Yani traders trading k dowran kabhi bhi support and resistance levels ko nazar andaz nahi kar sakte hen. Aik currency jore me jis me trading ki jati hai, qeematen apas me aik dosre se sakht muqabela karti hai. EUR/USD currency jore me dekh len, k EUR traders currency ko aik semat me khench rahe hote hen, jab k USD traders currency ko dosre taraf le jane me lagay howe hote hen. Qeemat ki semat se pata chalta hai k ye muqabela kon jeet raha hai. Har baar jab qeemat aik khas level tak pohunch jati hai, EUR traders EUR ki value ko wapis lejayengay, aur us ko mazeed gerne se ya downgrade karne se rokengay. Is qisam ki qeemat ki karwaye ko support kaha jata hai, q k EUR k traders EUR ki vlaue ko up karne ki koshash karte hen. Support ki tarah resistance level wo point hai, jis oe sellers qeemat ko control karte hen, aur unhen mazeed uper jane se rokhte hen. Support k level us qeemat ki nishan-dahi karti hai, jahan ziada tar sarmaya karon ki khayal hai, k qeematen ziada hongi, aur resistance level us qeemat ki nishan-dahi karti hai jis par sarmaya karon ki aksareyat mehsos karti hai, k qeematen kam hongi.

    Click image for larger version

Name:	images (798).png
Views:	6
Size:	14.2 کلوبائٹ
ID:	12419303

    Identification of Support and Resistance Levels

    Support and resistance levels ko maloom karne k leye chart par horizontal line khench (draw) kar kia ja sakta hai. Traders k leye ye bohut zarori bhi hai aur acha bhi hai k wo apne currency pair par trading k dowran support aur resistance levels ko maloom kare. Support aur resistance ki development kisi bhi chart par sab se ziada wazih aur baar baar dekhaye dene wala ansar hai. Ye aisi position ho sakti hen, jahan traders take profit ya stop loss ko set karwa sakta hai. Support aur resistance levels pe jitni waqat tak qeematen ziada rehti hai, us munasibat se ye levels bohut zyada aham ho jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (459).jpeg
Views:	1
Size:	37.9 کلوبائٹ
ID:	12419304

    Jab Support Resistance ban jaye aur Resistance Support ban jata hai:

    Jab bhi qeematen resistance levels ko breakout karti hai aur aik new resistance level banati to aksar awqat pechla resistance level support level ban jata hai, isi tarah jab support level breakdown ho jata hai, aur aik new support level ban jata hai, to purana support level new resistance me shamil ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (799).png
Views:	2
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12419301

    Support / Resistance and Trend line

    Jab bhi qeematen baar baar same high and low banati hen to us sorat me hum chart me trend line draw nahi kar sakte ya us ko sideways trend bhi keh sakte hen. Lekin jab bhi qeematen bullish trend pe ya bearish trend pe move kar rahi hoti hai, to us sorat me hum trend line asani se draw kar sakte hen. Jab bhi qeematen bullish move kar rahi hoti hai to trend line qeematon k lower-lows ko mela kar bane gi, lekin bearish trend pe chalne wali qeematon ka trend line higher-high ko mela kar banega. Yani tren line ka support aur resistance k sath bara aham relationship hai.

    Support and Resistance levels pe Trading:

    Support aur resistance levels hamare leye trading me take profit aur stop loss ka kaam karte hen. Support and resistance levels pe wese to scalping trading ki ja sakti hai, lekin baqayeda trading k leye dosre indicators ya chart patterns ka sahara bhi lena parta hai. Support and resistance levels aik technical analysis me aik behtareen tools ka kaam karte hen. Ye levels hum bagher kisi indicator ya oscillator k maloom kar sakte hen, q k ye humen chart me asani se nazar a jate hen.

    Click image for larger version

Name:	grade1-support-resistance-zones.png
Views:	10
Size:	26.3 کلوبائٹ
ID:	12419300

    اب آن لائن

    Working...
    X