What is " up side Tauski Gap Pattern " in forex market .
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is " up side Tauski Gap Pattern " in forex market .
    Salam dear members ji aaj main aapke sath ek bahut important topic share karne ja rahi hun . Trading mein bahut jyada use hone wala topic hai Is Tarah Ham jab forex market mein kam karte Hain To hamen different candlestick patterns ko dekhna hota hai jab tak Ham Kisi pattern ko acchi Tarah understand Nahin karenge study Nahin karenge To Ham kabhi bhi trading mein kam jawab Nahin ho sakte Is Tarah aashiqui topic ka naam hai upside Tauski Gap Pattern bahut hi important hai . Tatas ke bare mein detail se share Karti hun Taki Jin members ko iske bare mein khas knowledge information nahi hai woh bhi apna knowledge gain kar le .

    What is Upside Tauski Gap Pattern .

    G members upside Tauski Gap Patte rn ek family se talluk rakhne wala ek continuation pattern hai yah pattern 3 candles per dependent hota hai . yah pattern teen candle se milkar banta ha . Or ye pattern continuation pattern mein paya jata hai . Is pattern mein two candles hoti hain first candle standard ke bad banne wali second aur third standard banati ha . Ismein second aur third candle takriban sem ek jaisi hoti hain Is Tarah is pattern mein jaruri Nahin ke first standard ho Jo ki long rail body per dependent Hoti hai yah pattern ko advice karta hai aur ismein teen candle hoti hai isliye isko gap up site canvas stick pattern kahate Haini .

    Click image for larger version

Name:	Upside-Tasuki-Gap.jpg
Views:	2
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12520551


    Identification upside Tauski Gap Pattern .

    G members pattern forex market mein gap up site pattern ismein first tu candles upside gap pattern ki Tarah hoti hain aur ek dusre se up side gap mein bhi banti hai pattern ki last candle per ek bar candle bhi Hoti hai jisse Ham ab side gap pattern bullet pattern mein tabdil Kar dete Hain To main aapko iski candle ke bare mein detail se batati hun .

    First Candle G members first candle extra strong real body wali candle Hoti hai yah candle standard mein banti hai aur isko color white green hota hai . yah candle white aur green color mein banti hai .

    Second Candle g members second candle bhi same ISI Tarah banti hai bus iski candles ka color green hota hai .

    Third Candle g members their candle real body wali bearish candle hoti hai . Black red hota hai yeh candle second candle ki closing point per open hoti hai . aur thoda niche se upar body ke sath close Hoti hai yah first candle aur second candles ke center mein banti hai .


    Click image for larger version

Name:	UpsideTasukiGap2-76618387b20d4ee88396db6ce4908a77.png
Views:	5
Size:	164.5 کلوبائٹ
ID:	12520552


    How to trade with upside Tauski Gap Pattern .

    G members forex market mein up side gap point ko pattern method strong reverse karne mein nakam hota hai jisse first price absent mein continuation ka signal deti hai Is Tarah pattern ki third candle open hokar dusri mein hoti hai but gap mein close ho jaati hai agar yah candle gap ka cover bhi Karen lekin jyada niche na jaaye jisse first candidate ho is pattern ko dusree pattern mana jata hai Is Tarah yah pattern Paris candles above cloth hona chahie aur pattern ke stop loss pattern ke sabse down side open position banata hai isase use jagah mein set karna chahie aur hamen stop loss aur take profit ka use karna chahie trading mein .

    Click image for larger version

Name:	tasuki-gap.png
Views:	4
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12520553
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is &quot; up side Tauski Gap Pattern &quot; in forex market .

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Upside Tasuki Gap Candlestick Pattern


    Upside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan upward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur sosri candles bullish hoti hen, jiss k darmeyan upside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k high price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k lower price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Upside tasuki gap candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bullish pattern k aur teesi candle bearish pattern k hote hen. Ye pattern prices main buyers ki mazboti aur upward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (866).png
Views:	16
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12419298

    Candles Formation


    Upside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k doaran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath upper push karte hen, pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (387).jpeg
Views:	23
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12419299

    1. First Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai.

    2. Second Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bullish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k high price se above gap main banti hai. Dosri candle ka low price pehli candle k high price se wazih upside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bullish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    3. Third Candle: Upside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa below banti hai, lekin close gap main ya gap se above honi chaheye. Ye candle prices ko bearish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin buyers ki mazboti prices ko upward move karti hai.

    Explanation

    Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Upside tasuki gap candlestick pattern main bullish trend k dowran do bullish aur aik bearish candles k darmeyan upward side par aik gap banta hai, jo k prices k bullish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k high price aur dosri candle k low prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bearish candle dosri bullish candle k top pe open ho kar gap main ya gap se above close hoti hai. Ye pattern buyers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bullish jane ka aik clear message hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (867).png
Views:	25
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12419297

    Trading

    Upside tasuki gap candlestick pattern prices k uptrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bullish push karegi, jo k resistance level se upward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi resistance line k upward hona chaheye. Confirmation candle real body main bullish candle honi chaheye, jab k bearish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar resistance level se nechay banta hai, to ye bearish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka resistance point k top par hona chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom price se two pips below set laren.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (865).png
Views:	30
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12419296

    اب آن لائن

    Working...
    X