Bearish Engulfing Pattern Interpretation / pehchan
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Engulfing Pattern Interpretation / pehchan
    Is pattern man pehli candle upward momentum buyer k show kerti ha. Aur dusri bearish candle bullish candle sa bari ya barabar hon zaroori ha.
    Bearish candle pattern k ander ham stop lossloss kaisa lagta hai?
    Stop Loss ko ham dono bearish aur bullish candle k High per lagata han.
    Click image for larger version

Name:	images.jpg
Views:	1
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12520516
    Closing blow the bullish candle:
    Dear bearish engulfing candle ki confirmation tab hi hoti hai Jab aapke pass strong bearish candle ki closing previous bullish candle ke Ke Niche Hoti Hai Jab
    Jaaye candle use bullish candle ko totally cover Karegi to aap ismein apna target aasani se select kar sakte hain aur ismein aap apni trade confirmation ke
    bad open kar sakte hain liye aapke pass Ek totally strong bearish engulfing pattern ban raha hota hai jismein aap confidence ke sath apni trade open kar
    sakte hain aur apne capital ke hisab Se Apna target select kar sakte hain.
    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	3
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12520517
    Engulf candle benefits .
    Engulf candle pattern se Ham ose Waqt faida Utha sakte hain Jab Ham market ke andar Jyada time active rehte hain aur Market ko continually dekh rahe hote hain aur jab
    yah Pattern market ke andar banta hai to ose Waqt foren Hamen market Mein entry leni chahie money management ke sath aur lalach bilkul bhi nahin Karni chahie Agar time
    frame Bada Hai Tu Is Tarah Hamen Behter results mil sakte hain Magar Agar engulf candle pattern choty time frame Mein ban raha hai to ose Waqt Bhi Ham is pattern
    se faida Utha Sakte aur ais market Se Achcha profit Le sakte hain .
    Click image for larger version

Name:	download.jpg
Views:	1
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12520518
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bearish Engulfing Pattern Interpretation / pehchan

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Engulfing Candlestick Pattern


    Bearish engulfing candlestick pattern main dosre din ki candle previous din ki candle k top par gap main open ho kar ussi k top par below close hoti hai. Bearish engulfing candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bearish candle pehli din ki bullish candle ko apne andar engulf kar leti hai, ynni bearish candle bullish candle k upper side par gap main khulti hai, jab k close ussi se below bottom par hoti hai. Pattern ki bearish candle bullish candle se size main ziada hoti hai, jo k market main current bullish trend ka khatema karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (862).png
Views:	57
Size:	9.7 کلوبائٹ
ID:	12419334

    Candles Formation


    Bearish engulfing candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bearish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle ko apne andar ger leti hai, jiss ko engulfing kaha jata hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (386).jpeg
Views:	25
Size:	11.9 کلوبائٹ
ID:	12419335

    1. First Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bullish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bullish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.

    2. Second Candle: Bearish engulfing candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main long real body main hoti hai, jo pehli candle k top par open ho kar ussi k bottom par close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ussi k real body k andar honi chaheye.

    Explanation

    Bearish engulfing candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi buyers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bullish trend main ban kar market ka trend bearish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main bari honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main buyers ki prices k top main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat sellers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k top main banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (863).png
Views:	24
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12419333

    Trading

    Bearish engulfing candlestick pattern trading k leye aik strong bearish signal deta hai, jiss se sellers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k bottom par close honi chaheye. Lekin bullish candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se upper position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (864).png
Views:	18
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12419332

    اب آن لائن

    Working...
    X