Assalamu Alaikum Dosto!
Inverted Hammer Candlestick
Inverted hammer candle aik single candle pattern hone ki waja se sab se simple candle pattern hai, jo price chart par aik small lower body k upper side par aik lambey shadow k sath hoti hai. Price chart par aik hi candle ko analysis k leye aur trading k leye istemal kia jata hai, to ye sab se simple candle pattern main shamil hoota hai, jiss main aik wahid candlestick buy aur sell ke waqt ki nishan-dahi karti hai. Single candlestick pattern new traders ya un traders k leye ziada pur-kashish hai, jo abhi candlestick k bare main information hasil karte hen, q k iss main ziada pecheedgeyan nahi hoti hai. Inverted hammer candle iss silsele main bohut information deti hai, jiase traders analysis k dowran bullish trend reversal k leye istemal karte hen.
Candles Formation
Inverted hammer candlestick k leye prices k bottom trend ya bearish trend main hona zarori hai, jab k ye candle bearish trend main akhari candle honi chaheye, jiss ki small real body k sath upper side par aik lamba saya hota hai. Candle ki price chart par darjazel tarah se formation hoti hai;
Inverted Hammer Candle: [/COLOR] Inverted hammer candlestick aik small real body wali long upper shadow ki candle hoti hai. Ye candle prices k bottom par banti hai, jiss se market mumkina tawar par trend tabdeel karti hai. Normal price chart par ye candle aik neutral candle hi tasawar hogi, sewaye prices k bottom par banne k, jahan prices ki demand bohut zyada increase ho chuki hoti hai.
Explanation
Inverted hammer candlestick price chart k sab se bottom ya low price area main paya jata hai. Ye candle aik strong bullish trend reversal ka indication deta hai, jab bhi prices bearish trend main trade kar rahi hoti hai. Ye candle lower side par aik small real body k sath hori hai, jiss se k upper side par aik lamba shadow hota hai. Candle k lower side par shadow nahi hona chaheye, lekin bohut small si wick ban jaye to bhi ye candle inverted hammer hi shumar ki jayegi. Price chart par bearish trend k dowran jab buyers prices ko upward push karte hen, lekin doari taraf selling pressure se prices jab wapis nechay gerti hai, to uss sorat main ye candle tashkeel hoti hai.
Trading
Inverted hammer candlestick par trading bhi sab se easy hai, jiss ko analysis main long timeframe k dowran istemal kia ja sakta hai. Candle k bearish ya low prices area main banne k baad jab candle k baad aik bullish confirmation candle ban jaye aur wo inverted hammer candle k top par close ho jaye to iss se market ka current bullish trend confirm ho jata hai. Jab k candle k baad bearish candle banne par market main trade entry nahi karni chaheye. Trend confirmation indicator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Jab k single candle pattern par stop loss ka istemal zaror karna chaheye. Candle par Stop Loss sab se lower area ya candle k low price se two pips below set kia ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим