Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Counter Attack Line Candlestick Pattern
Bullish counter attack line candlestick pattern price chart par jab bhi hota hai, to market ka trend upward movement karna shoro karta hai. Ye two days ka aik bullish trend reversal hai, jo prices k bottom par ya bearish trend main paya jata hai. Ye pattern market main bulls ka control zahir karta hai, jo bearish trend k baad wo bears se hasil karte hen. Price chart par hamesha se aik khas trend k mutabiq move kar rahi hoti hai, lekin bohut ziada low prices par aksar jab bhi prices ko bullish counter attack line candlestick pattern ka samna karna parh jata hai, to uss k baad prices teezi k sath rise karna shoro hoti hai, jo k aik bullish trend ki alamat hoti hai.
Candles Formation
Bullish counter attack line pattern pehli din ki candle aik bearish candle hoti hai, lekin dosre din ki candle bullish candle k close prices par hone ki bajaye bottom gap main open ho kar same pehli candle k close point par close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle black ya red color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish counter attack line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali strong bullish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k same closing price par hoti hai. Bullish candle k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin candle lazmi real body main honi chaheye.
Explanation
Bullish counter attack line candlestick pattern market main prices ko upward convert karta hai, jo k do candles, bullish aur bearish se mel kar banta hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k bottom ya bearish trend ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body main shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k opposite direction yanni bullish candle hoti hai, jo open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k close price k in-line hoti hai. Ye candle pehli candle se bane gap ko cover bhi karti hai aur sath hi bullish trend reversal ka kaam bhi karti hai. Ye candle lazmi real body main honi chaheye. Pattern k dono candles ka opening price aik dosre k opposite direction main hota hai, jab closing price same point par hota hai.
Trading
Bullish counter attack line candlestick pattern prices k bottom par traders k leye buy ka signal genrate jarta hai, jiss confirmation candle k baad entry ki ja sakti hai. Pattern k baad confirmation candle ka real body main bullish hona bhi zarori hai, jab k dosri candle k top par close hona bhi aham hai. Pattern k baad bearish candle banne se pattern par buy ki entry nahi karni chaheye, jab k trend confirmation indicator jaise CCI, RSI, MACD aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka bhi zaror istemal karen. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим