Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
Bearish abandoned baby candlestick pattern price chart par maojood current trend ko down-trend badalne ka aik strong signal deta hai, jiss se prices main maojood current bullish trend ka khatma ho jata hai. Forex trading market main jab bhi prices aik khas trend k mutabiq movement kar rahi hoti hai, to trader k leye ye janna bohut zyada mushkil hota hai k kis time prices main trend reversal hone wala hai, lekin jab bhi kuch pattern jaise bearish abandoned baby candlestick pattern prices k top ya bullish trend main bante hen, to yahan par traders ko aik signal mel jata hai, k ab yahan se trend reversal hone wala hai. Bearish abandoned baby pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo prices k top ya bullish trend k baad banta hai.
Candles Formation
Bearish abandoned baby candlestick pattern ka shumar bhi bearish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai. Bearish abandoned baby candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.
2. Second Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki dosri candle aik doji candle hoti hai, jo ziada tar doji star candle hoti hai. Ye candle bagher real body k sath small upper aur lower shadow k sath hoti hai. Iss candle kanopen aur close same point par hota hai.
3. Third Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bearish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bearish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye doji candle se above side par gap main banna chaheye.
Explanation
Bearish abandoned baby candlestick pattern prices k top main bullish trend ka khatma karta hai, jo teen mukhtalif patterns k candles par mushtamil aik strong bearish trend reversal pattern hai. Pattern ki pehli candle market main maojod sabeqa bullish trend k mutabiq aik bullish candle hoti hai, jo prices ko nechay ki janib push karne ki koshash karti hai. Ye candle aik strong bullish candle hoti hai, jo market ki maojoda bullish trend ki mazboti dekhati hai. Pattern ki dosri candle aik bagher real body wali candle hoti hai, jo k umoman aik doji-star candle hoti hai. Ye candle prices ko mazeed ooper jane se rokne ka kaam karti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k doji candle k bottom par banti hai. Ye candle trend reversal aur prices ko downward push karti hai, jiss se market ka current trend bearish ho jata hai. Pattern ki pehli aur akhari candle taqreeban parallel hoti hai, jab k center wali candle dono k darmeyan main ooper gap ya gap k bagher ho sakti hai.
Trading
Bearish abandoned baby candlestick pattern main dosri small candle prices ko mazeed ooper jane se rok kar market ki current trend k change hone ka aik signal deta hai, jab k pattern ki last bearish candle current prices ko bearish trend main divert karwati hai. Pattern market main aik strong bearish signal deta hai, jiss par sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern k baad aik bearish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish bhi honi chaheye aur teesri candle k bottom par bhi close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle pattern k asarat ko khatam kar dete hen. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Pattern ka Stop Loss sab upper point ya pattern k dosri candle k top se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим