Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Side by Side White Lines Pattern
Bullish side by side white lines pattern teen bullish candles par mushtamil aik trend continuation pattern hai, jo k prices k top par ya bullish trend main paya jata hai. Pattern main shamil teeno candles real body main hoti hai, yanni candles ka open aur close same point ya price par nahi hota hai. Pattern ki pehli candle aik strong real body main bullish candle hoti hai, jiss ka baad dosri bullish candles pehli candle k top par gap main banti hai, pattern ki teesri candle same dosree candle ki tarah pehli candle se gap main aur dosree candle k open price par open hoti hai, jiss se ye candle dosri candle k parallal ban jati hai.
Candles Formation
Bullish side by side white lines pattern main shamil teeno candles bullish hoti hai, iss waja se ye qisam ka strong bullish continuation pattern ban jata hai. Pattern main shamil teeno bullish candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish side by side white lines pattern main shamil pehli candle bullish hoti hai, ye size main normal ya aik strong bullish candle hoti bai, jiss ka color white ya green hota hai.
2. Second Candle: Bullish side by side white lines pattern ki dosri candle same pehli candle k format ki banti hai, lekin ye candle dosri candle k opening price ki bajaye above gao main banti hai, aur ye candle bhi bullish hoti hai. Dosree candle bhi color main same white ya green hoti hai.
3. Third Candle: Bullish side by side white lines pattern ki teesri candle dosree candle k opening position ki tarah pehli candle se gap main above open hoti hai aur close bhi higher price par hoti hai, jiss candle dosree candle k parallal ban jati hai. Ye candle bhi same pehli candles ki tarah white ya green color main banti hai.
Explaination
Bullish side by side white lines pattern normal pattern ki nisbat bohut kam hi prices main banta hai, q iss pattern ki dosree aur teesri candles pehli candle se above gap main aik dosre k parallal banti hai. Pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k top trend ya bullish action ko zahir karti hai. Pattern ki dosree aur teesri candles pehli candle se top par gap main banti hai, jiss se pattern ka behaviour trend continuation ka ban jata hai. Ye pattern ziada tar market main long timeframes khas kar D1 aur W1 main bante hen, jahan par prices k darmeyan main gap a jata hai.
Trading
Bullish side by side white lines pattern main teeno candles white ya green yanni bullish honne ki waja se pattern trend continuation ka kaam akrta hai. Ye pattern market k top trend ya bullish main banta hai. Lekin agar ye pattern newly bullish trend reversal pattern main banta hai, to ye prices ko bohut teezi k sath bullish le kar jati hai.
Pattern par trading se pehle market ki trend confirmation karna zarori hai, q k ye trend top prices ya bullish trend main banta hai, jahan already prices market k top par trade kar rahi hoti hai. Wese to ye pattern trend reversal pattern ki nisbat ziada reliable hai, q k iss ki success k chances 45 %tak hai.
Bullish side by side white lines pattern k baad agar fourth candle bhi bullish hoti hai to uss sorat main market main buy ki entry ki ja sakti hai. Trend confirmation indicator ki madad se bhi ki ja sakti hai. Stop Loss pattern k sab se lower point par yanni pehli candle k opening point se two pips below lagayen.