Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar
    Bullish Harami Cross


    Introduction


    Bullish Harami Cross pattern "Hamari Pattern" ki aik qisam hai, jo k do candles par mushtamil aaik bullishtrend reversal pattern hai. Bullish harami cross pattern me shamil 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k qeematon k downward trend ko show kar rahi hoti hai. Pattern me 2nd candle aik doji candle banti hai, jis k high aur low 1st black candle k real body k andar hoti hai. Bullish harami cross pattern agar low prices area ya bearish trend main banta hai, to bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (895).jpeg
Views:	7
Size:	10.9 کلوبائٹ
ID:	12519861

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Bullish Harami Cross pattern aik trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
    2. Pattern ki pehli candle aik bari real body wali black candle honi chaheye.
    3. Pattern ki dosri candle aik doji candle honi chaheye (candle k open aur close position lazmi same hone chaheye)
    4. Pattern ki 2nd doji candle k high aur low point (mukamal shadow) black candle k real body se baher nahi hona chaheye.


    Click image for larger version

Name:	images (2421).png
Views:	11
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12519862

    Pattern ki Tafseel


    Bullish Harami Cross pattern bhi same bullish harami pattern jaisa hai, lekin dosri candle bullish hone ki bajaye aik doji candle hoti hai. Ye pattern ziada tar low price area ya bearish trend k baad banta hai, is waja se ye aik trend reversal pattern hai, jis me do candles shamil hoti hai. 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k low qeematon ki tarjumani karti hai. Pattern ki 2nd candle aik doji (candle ki open aur close lazmi same hona chaheye, ziada tar ye star doji candle hoti hai) candle hoti hai. 2nd complete Doji candle ki shadow samet black candle k real body me ban jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2420).png
Views:	24
Size:	2.4 کلوبائٹ
ID:	12519863

    Pattern pe Trading


    Bullish Harami Cross pattern banne se aksar prices bullish trend reversal main badal jati hai, lekin ye pattern zida reliable uss waqat hota hai, jab bhi prices low area ya bearish trend main main hon. Pattern bullish trend k leye buy k signal genrate karta hai, q k ye pattern low price area me banne ki waja se qeematon ko bearish trend se bullish trend me reversal kar deta hai. Pattern ki confirmation k leye 3rd white ya bullish candle ka intezar karna chaheye, jis k baad market me buy ki entry ki ja sakti hai. Stop loss bearish black candle k lower side pe set hoga, jo k ziada losses se mehfoz banata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (896).jpeg
Views:	3
Size:	20.1 کلوبائٹ
ID:	12519860
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me Bullish Harami Cross Pattern par trading ka tareeqay kar

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Harami Pattern



    Bullish Harami cross candlestick pattern "Harami pattern" ki aik qisam hai, jiss main pehli candle aik bearish hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai. Bullish harami cross pattern dekhne main same bullish harami pattern jaisa hi hai, lekin Bullish harami pattern bearish black aur small white candles par mushtamil hota hai, jab k Bullish harami cross pattern bearish aur doji candle par muheet hota hai. Ye pattern bearish trend k baad ya low prices main banta hai, jahan se qeematen reversal hone k ziada chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2422).png
Views:	7
Size:	20.3 کلوبائٹ
ID:	12383759

    Candles Formation



    Bullish harami cross pattern ki main shamil pehli candle aik strong aur real body wali white ya green yanni bearish candle hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai, kiss ka open aur close ya to same hota hai aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Bullish harami cross pattern main shamil candles ki tafseel darjazzel hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (32).jpg
Views:	5
Size:	19.4 کلوبائٹ
ID:	12383760

    1. First Candle: Bullish harami cross candlestick pattern main pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color black ya red hota hai. Ye candle prices k maojooda trend ya bearish trend ko zahir karta hai, jo k market main iss candle se mazzeed strong hota hai.


    2. Second Candle: Bullish harami cross candlestick pattern ki dosri candle doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai, aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Doji candle ki real body na hone ki waja se ye aik cross ki tarah dekhaye deta hai. Doji candle prices main bearish trend k khatme aur prices k trend k change hone ka ishara hota hai. Doji candle chonkeh bagher real body k hoti hai, iss waja se ye colorless candle hoti hai.


    Explaination


    Bullish Harami cross candlestick pattern do candles par mushtamil aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom par ya bearish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main same Bullish harami pattern jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri candle k doji hone ki waja se ye uss se mukhtalif hota hai. Pattern ki pehli candle aik strong real body main bearish candle hoti hai, jo k prices ka Bullish trend ki alamat hoti hai. Dosri doji candle jiss ka open aur close same point par hota hai, se bearish trend ka khatma ho jata hai aur prices Bullish trend main badalne ka ishara deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (897).jpeg
Views:	8
Size:	25.2 کلوبائٹ
ID:	12383761

    Trading


    Bullish harami cross pattern bhi Bullish harami pattern ki tarah trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles ka hota hai, jiss main dosri candle k doji hone ki waja se prices mazzeeed bearish trend main jane se ruk jati hai. Doji candle ki aik khas baat ye hoti hai k ye candle pehli candle k real body k darmeyan main banti hai.
    Pattern par trading karne se pehle trend confirmation ka honna zarori hai, q k reversal pattern trend confirmation k bagher riski hota hai. Pattern k baad agli candle ka Bullish honna zarori hai, jo k market main entry ki position bhi hoti hai. Teesri candle k close price k baad buy k trade entre karen, aur Stop Loss ko pattern k sab se bottom position jo umoman pattern ki pehli candle ka close price ya low price banta hai se aik ya do pips down par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2423).png
Views:	9
Size:	17.9 کلوبائٹ
ID:	12383762

    اب آن لائن

    Working...
    X