What is descent block Candlestick pattern ?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is descent block Candlestick pattern ?
    AoA

    Dear forex user umeed krta Hun ky ap sub kahriyat se ho gy our trading se bhurpoor faiada hasal kr rahey ho gy daily base pr posting kr rahey ho gy.

    DESCENT BLOCK .

    USER
    Descent block candlestick pattern price chart k bottom par banne k bad market inverse movement shoro karta hai, aur ye pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jab k middle wali candlestick pehli candle se size main choti lekin long lower shadow wali hoti hai. Pattern ki last candle aik hanging man candle se melti julti candle hoti hai, jiss k lower side par lamba saya hota hai. Price chart par aapko hirani hogi k jab aap bullish stalled pattern ko bhi same issi pattern se melta julta dekhengay, lekin bullish stalled pattern ki last candle aik small bearish marubozu candle hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	download (40).png
Views:	3
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12519854



    CANDLE FORMATION .


    USER

    Descent block candlestick pattern prices k bottom main assets k support level par banta hai, jahan se prices ne bullish trend reversal main tabdeel hona hota hai. Ye pattern teen lagatar bearish candles ka aik majmoa hai, jiss main teeno candles lower low par close hoti hai, jin ki tafseel darjazel ha




    Click image for larger version

Name:	download (19).jpeg
Views:	1
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12519855




    IDENTIFICATION .

    USER


    1) Descent block candlestick patteren ki pehli candle aik bearish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k downtrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2) Descent block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k lower par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai.

    3) Descent block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar lower par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.


    Click image for larger version

Name:	download (18).jpeg
Views:	2
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12519856




    STOPLOSS TAKE PROFIT .

    USER



    Click image for larger version

Name:	download (41).png
Views:	9
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12519857



    DEAR USER I HOPE YOUR TRADING KNOWLEDGE IS GAIN THROUGH THIS TOPIC THANKS 😊
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is descent block Candlestick pattern ?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Descent Block Candlestick Pattern


    Descent block candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main uss waqat banta jab sellers ki market main ahesta ahesta dilchaspi khatam hoti rehti hai. Ye pattern teen bearish candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle aik strong real body wali hoti hai, jiss ka upper aur lower side par shadows ya wick bohut small hote hen. Pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, jiss ki real body small hoti hai, jab k shadow lamba hota hai. Pattern li last candle aik hammer candle hoti hai. Descent block candlestick pattern prices k top main banne wale advance block pattern ka opposite hota hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220714_145333.png
Views:	1
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12408164

    Candles Formation


    Descent block candlestick pattern teen bearish candles par mushtamil hota hai, jiss ki formation bhi three black crows candlestick pattern se melti julti hai, lekin iss main shamil candles main shadow thora sa ziada hota hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    1. First Candle: Descent block candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle ziada tar bagher wick ya shadow k hoti hai, jo k black ya red color main hoti hai. Pattern prices k pehle se a rahe downtrend trend ki taraf ishara karta hai.

    2. Second Candle: Descent block candlestick pattern ki dosri candle bhi bearish candle hoti hai, lekin ye candle small real body main hoti hai, jiss k sath lamba shadow hota hai. Ye candle prices ko pehli candle ki tarah teezi se bearish push nahi karti hai.

    3. Third Candle: Descent block candlestick pattern ki teesri candle aik hammer candle hoti hai. Ye bhi pehli do candles ki tarah bearish candle hoti hai, lekin ye candle unn ki nisbat bohut small real body main hoti hai. Candle ka shadow lower side par ziada hota hai, lekin small si wick upper side par bhi mumkin hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220714_145320.png
Views:	1
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12408165

    Explanation

    Descent block candlestick pattern prices k bearish ya bottom trend ko bullish trend reversal main badalne ka kaam karta hai. Ye pattern three black crows pattern ki tarah teen bearish candles par mushtamil hota hai, lekin uss k bar aks bullish trend ka kaam karta hai. Descent block candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k ziada tar bagher shadow k ya small wick k sath hoti hai, ye candle prices main bearish trend ki mazboti ka ishara deti hai. Pattern ki dosri candle aik bhi bearish candle hoti hai, lekin pehli candle se size main kam hoti hai. Ye candle shadow k sath hoti hai, jo k ziada tar iss k lower side par banta hai. Pattern ki last candle aik hammer candle banti hai, jiss ka lower side par aik long shadow hota hai, jo k prices k trend reversal ka sabab banti hai.

    Trading

    Descent block candlestick pattern buyers ko market main entry ka moqa deta hai, jiss main wo market main bullish candle k baad entry karte hen. Bullish candle trend confirmation k leye zarori hai, jo k real body main honi chaheye. Pattern ki teesri candle prices ko mazeed bearish jane se reject karti hai, jo k aik small bullish body create karti hai. Ye candle bearish candle hone k bawajood bhi bullish trend reversal ka kaam karti hai. Trade entry CCI indicator aur Stochastic oscillator se bhi confirm ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern k sab se bottom position ya hammer candle k lower price se two pips below par set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (175).png
Views:	29
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12408166

    اب آن لائن

    Working...
    X