Forex Market Oder

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Market Oder
    Introduction to Forex Market Oder:
    1. Assalam-O-alykum dear forum members!
    umeed karta hun aap sb khair khairiat se hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge.
    dear members trading ho ya koe bhi kaam agar isko seekh kr kia jy to kamyabi milti ha.
    forex trading main kaam karny k liay jitna market ko analyse karna zarori hy utna hi money management bhi zarori hy.


    2. forex market main aam taur per 5 qism k order use kiay jaty hain jin ki detail nechy di gai hy.unko samjh k ham trade kar sakty hain

    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	7
Size:	5.6 کلوبائٹ
ID:	12519850
    (a) Market Order

    (b) Limit Order

    (c) Stop Order

    (d) Stop Limit Order

    (e) Trailing Stop Order

    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	1
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12519849
    How to use trading order types


    Neechy di gai image main dekha ja sakta hy kh kaisy order place kia jata hy

    (a) Market Order

    Hamesha apny loss ko cut kar k trade close karni cahey. Na kh kal ka wait karna chaey kh market kal achi ho jaegi. Aur profit bhi decide karna chaey pehly sy

    (b) Limit Order

    Forex Trading main market ko kabhi chase ni karna chaey .always trade with direction of market. Hamesha apna profit aur loss decide kar hi trade leni chaye .how I can epitite the loss.Dear members jb Relative strength index
    (RSI)ki value 70 ya is se oopr hogi to ham isko overbought

    (c) Stop Order

    Stop order Management achi hogi utni hi apki trade successful hogi. money management k sath kam start karna boht zarori hy. Forex trading main money management ko samjhny k liay hamen money mangemnt k rules ko follow karna perta hy
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Market Oder

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Forex Orders



    Forex orders ki bohat si mukhtalif aqsaam hen, jinhein trader apni trading ko munazzam karne ke liye istemaal karte hen. Agar cheh yeh mukhtalif brokers ke darmiyan mukhtalif ho satke hain, lekin forex order ki kayi bunyadi aqsam hoti hain jo tamam brokers istemal karte hain. Yeh janna k forex orders kya hen aur expert traders ko munasib tareeqay se market mein entry karne aur exit hone mein madad mil sakti hai. Main forex trading main do tarah k orders istemal keye jate hen, jiss main aik market order aur dosra pending orders hote hen. Pending orders ko mazeed do hiso main taqseem kia jata hai, jiss ki sari tafseel darjazeel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2425).png
Views:	12
Size:	19.4 کلوبائٹ
ID:	12383770

    MARKET ORDERS


    Market order shayad sab se basic order main se hai aur ye sab se pehla order hota hai, jo ziada tar by-default bhi free selected hota hai. Market order ke naam ka matlab hai, market orders main trading current market mein hoti hai, iss ka matlab hai k agar app market k current position par currency ki buy ya sell karna chahte hen, to ye order istemal kia ja sakta hai.
    Aam tor par, scalpers aur day traders apni hikmat e amli ke mutabiq taizi se market mein entry aur exit hone k liye market orders par inhisaar karte hen. Misal k tawar par agar EUR/USD ki maojoda qeemat 1.1234 hai to trader jab market order put karta hai, to uss ki buy ya sell ki entry EURUSD ki maojoda qeemat yanni 1.1234 k mutabiq hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	forex-order-types_body_2019_02_06_10_53_23_IG_Trading_Platform_Spread_Betting (1).png
Views:	1
Size:	7.4 کلوبائٹ
ID:	12383767

    Pending Orders

    Market order k elawa sab se aam forex order ki qisam pending order hai. Yeh orders is lehaaz se munfarid hain ke inhen mojooda market ki qeematon se kisi aur qeemat par rakha ja sakta hai. Pending order main entry point ko market ki maojoda qeemat k elawa kisi bhi qeemat par set kia ja sakta hai. Jab bhi market ki current qeemat uss value ko touch karti hai, to ye order auto par active ho jata hai. Aam tor par pending orders ko breakout ke liye ya deegar strategies ke sath istemaal kya ja sakta hai, jab qeemat aik khas position k baad trend reversal ya trend continuation ko follow karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (898).jpeg
Views:	1
Size:	28.2 کلوبائٹ
ID:	12383768

    1. Buy Limit Forex trading me buy limit wala option hum us waqat istemal karte hen, jab bhi forex trading market me hum chahte hen k market price downward semat me aik khas position pe pohunch jaye to us waqat buy limit ki trade auto pe open ho jaye. Buy limit trader's us waqat chonte hen jab forex trading market me hum kisi reversal trend ka intezar karte hen k market ki price aik bearish side pe jane k bad reversal ho kar upward (bullish) trend chalay ga. Is waja se hum forex trading market me buy limit ka option lagate hen. Hamen forex trading market me buy limit ko proper technical analysis ka istemal karte howe lagana chaheye. Buy limit k leye zarori hai k hamen market me support levels ka pata ho, k hum asani se buy limit ki position set kar saken.

    2. Sell Limit Forex trading me sell limit ka option aur kaam buy limit k oposite semat pe hoti hai. Forex trading me sell limit ka option traders us waqat chunte hen, jab bhi trader's ko lagta hai k market me trend kuch waqat ya lamhay k leye upward jane k bad reversal ho jayegi aur market me baqi downward (bullish) trend hogi. Sell limit me hamen market ki resistance ka pata hona chaheye, k us k bad market ki movement lazmi reversal ho sakti hai is waja se hamen market me sell limit ka option istemal karte hen.

    3. Sell Stop Forex trading me sell stop us waqat hum istemal karte hen jab market me hum kisi trend ki position dekh rahe hote hen k agar market ki price downside pe support position ko break karta hai to us waqat hamara sell ki lot lag jaye, is option ko jab bhi hum istemal karte hen to is ko sell stop kehte hen. Sell stop ki position future ki position hoti hai aur is me hum jo pending istemal karte hen wo future time k leye hota hai.

    4. Buy Stop Buy stop ki pending order sell stop ki pending order se bulkul opposite hoti hai aur is me hum kisi uptrend side ki prediction pe pending order put karte hen k agar market upside pe aik resistance position ko break karta hai to us waqat hamara buy stop ki position us waqat enter ho jaye. Buy entry hone ki waja se is order ko buy stop kehte hen.

    Pending Order Lagane Ka Tareeqa

    Forex trading market main pending orders bhi market order ki tarah asani se lagaye ja sakte hen. Taqreeban tamam brokers apne apne clients ko aik jaisa mahol faraham karte hen, jab k mt4 aur mt5 plateform main to sare same hi hote hen, pher order open karnw ka procedure darjazel hai;
    1. Kisi bhi currency pair k ooper click karen aur open order wala option choose karlen.
    2. Trade ki simat ka intikhab karen yanni buy ya sell ko muntakhib karen.
    3. Qeemat ki uss level ko mutakhib karen, jiss par order open aur close karna chahte ho, yanni ye position maojoda qeemat se ooper ya nechay ho sakti hai.
    4. Uss k baad lot size aur take profit/stop loss ki position set karen.
    5. Last par order ko Add karen, jiss k baad market ki maojoda qeemat ko apne pending order tak pohunchne ka intezar kare.


    Click image for larger version

Name:	images (899).jpeg
Views:	21
Size:	39.4 کلوبائٹ
ID:	12383769

    اب آن لائن

    Working...
    X