Short term and Long term Trading
Forex Trading ho ya stock trading hamesha aik trader ko ye baat made-nazar rakhni chaheye k trading k kuch basic osolon ko lazmi apnaye aur hamesha apne trading ka dowraneya muntakheb karen. Forex trading market me trading dowraneye ki bohut ziada ahmeyat hai. Lekin is ka inhisar trader ya investor k pas maojood sarmaya par muhasir hai. Forex trading me aam tawar par traders do (two) dowraneyon k hisab se analysis karte hen; short term analysis aur long term analysis.
Short term trading
Short term ki trading me scalping strategies, hedging strategies aur day trading k tareeqay kar shamil hen. Chonkeh ye trading mukhtasir waqfay par muheet hoti hai is waja se is ko short term ki trading kaha jata hai. Short term ki trading me one minute (M1) ki candlestick se hourly (H1) ki candle sticks pattern istemal hoti hai. Short term trading me sarmaya kar kam arsay tak apne sarmaye ko trading me istemal karte hen. Jab in k sarmaye ka hujam bhi aksar kam hota hai. Short term trading me technical analysis, news trading, financial events waghera ka bhi sahara leya jata hai.
Benifits of Short term trading
(1) Short term ki trading me munafa jaldi melta hai.
(2) Short term trading me loss bhi kam hota hai.
(3) Short term trading me ziada sarmaye ki zarorat nahi hoti hai.
(4)Forex ka knowledge kam hone ki sorat me financial events ya news per b trading ki ja sakti hai.
Drawback of Short term trading
(1) Short term trading me risk ziada hai.
(2) Munafa to jaldi melta hai, lekin kam hota hai.
(3) Short term trading k leye knowledge, experience, analysis aur trading skills ki ziada zarorat hoti hai.
Long term trading
Long term trading me ziada sarmaya, ziada waqat aur bari planning darkar hoti hai. Forex trading me long term trading k leye k bare time frame k candle stick istemal hote hen, jin ka dowraneya H4 se W1 tak ho sakta hai. Forex trading me long term trading is waja se bhi aham hai, q k is k kamyabi k chances bhi ziada hote hen aur is ka munafa bhi ziada melta hai.
Benifits of Long term trading
(1) Trading ka dowraneya ziada hone ki waja se kamyabi ka ratio ziada hai.
(2) Bar bar trading techniques nahi badalni parti, q k long term ki technical analysis asan hoti hai, banisbate short term trading k.
(3) Munafa ziada melta hai.
(4) ziada sarmaya hone ki waja se risk kam hoti hai.
Drawbacks of Long term trading
(1) Long term trading k ziada sarmaya chaheye hota hai, jo har kisi k bas me mumkin nahi hai.
(2) Long term trading me risk to kam hota hai, lekin loss ki sorat sarmaya ka nuqsan bhi ziada hota hai.
(3) Munafa k leye bohut ziada intezar karna parta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим