Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Breakaway Candlestick Pattern
Bearish breakaway candlestick pattern price chart par ziada buying k baad resistance level par banta hai, jahan se price iss pattern k mutabiq reversal ho jate hen. Ye pattern prices k top ya uptrend ko bullish trend main badale ka aik strong indication deta hai. Pattern main investor assets k prices ko upward push karne k baad market main dilchaspi kam kar lete hen, jiss se prices top level se rebound ho jate hen. Pattern k aghaz main prices ziada bullish strong reaction deti hai, lekin baad wali candles k small bullish real body uptrend ki kamzori zahir karti hai, jiss se market main sellers active hona shoro ho jate hen, aur trend downtrend reversal ka sabab bante hen. Breakaway (bullish & bearish) pattern ko Greg Morris ne takhleeq kia hai.
Candles Formation
Bearish breakaway candlestick pattern ka shumar panch candlesticks par mushtamil pattern main hota hai, jiss main pehli chaar candles sabeqa ya market k maojoda trend k mutabiq bullish candles hoti hai, jab k last wali candle aik bearish candle hoti hai, jo k trend reversal ka zarya banti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka close open se ooper hota hai. Ye candle long real body main hoti hai, jiss main pattern ki real body shadow k muqabele main ziada hoti hai. Ye candle prices k mojoda bullish trend ki akasi hoti hai.
2. Second Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Ye candle wese to ziada tar bullish hi hoti hai, lekin zarori nahi hai, k aisa hi ho. Pattern ki dosri candle umoman pehli candle k top par banti hai.
3. Third Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki teesi candle bhi dosri candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, lekin aksar ye dosri candle k inverse main banti hai. Ye candle dosri candle k upper ya parallel main banti hai.
4. Fourth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki fourth candle aik ziada tar dosri candle ki tarah hoti hai, jo k same small real body wali candle hoti hai. Ye candle teesri candle k upper par banti hai, lekin aksar ye bullish candle hoti hai, jo k zarori nahi hai, q k ye bearish bhi ho sakti hai.
5. Fifth Candle: Bearish Breakaway candlestick pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k strong real body main banti hai. Ye candle prices main sellers ki mazboti ki akasi karti hai. Ye candle fourth candle k baad banti hai, jo k teeno small real body wali candles ko cover karne k baad pehli aur dosri candle k darmeyan wae gap main close hoti hai. Bearish candle ki strong real body se bullish ka trend khatam ho jata hai, aur market sellers k control main a jata hai.
Explanation
Bearish breakaway candlestick pattern high prices area main banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main ladder top candlestick pattern se mushabehat rakhta hai. Pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur last candles long real body wali candles hoti hai, lekin color main aik dosre se mukhtalef hoti hai. Pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik teen small real body wali bullish candle hoti hai, lekin zarrori nahi hai, q k in mein se kuch bearish bhi ho sakti hai, jo k pehli candle se nechay gap main banti hai. Ye teeno small candles size main taqreeban same hoti hai, jo ziada tar Spinning top candles hoti hai. Pattern ki last candle aik bari real body wali bearish candle hoti hai, jo k small candles k baad khul kar pehli candle k top wale gap main close hoti hai. Ye candle market main sellers ki strong reaction ki waja se banti hai.
Trading
Bearish breakaway candlestick pattern main banne wali pehli bullish candles aik to strong hoti hai, dosra ye candle agle din ki candles ko ooper pusha karti hai, jiss se market par bulls ka strong control show hota hai. Lekin pattern ki baad wali teen small candles ziada strong reaction na dene ki waja se prices ko mazzeed ooper jane ki bajaye hold kar deti hai, aur yahan par bears ki market main wapasi ho jati hai, jo aik long real body wali bullish candle banati hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle h ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur last candle k bottom par close honi chaheye. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se upper position ya teesri small candle k top price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим