Assalamu Alaikum Dosto!
Gravestone Doji CandleStick
Gravestone doji candlestick aik single candle, bagher real body wali bearish trend reversal doji candle hai, jo k prices k top ya bullish trend main banti hai. Ye candle aik to prices k lazmi top ya bullish trend main banni chaheye aur dosra iss candle k open aur close price same aik hi ooint par hone chaheye. Ye candle aik long upper shadow k sath banti hai, jiss k down side par koi shadow nahi banta hai. Candle k nechay side par small wick acceptable hai, lekin ye wick real body se size main bara nahi hona chaheye. Ye candle prices k leye top prices par resistance level ka kaam karti hai, jahan se prices rebound ho jati hai. Jab candle aik timeframe k dowran prices pehle bullish jane k baad wapis bearish jati hai, aur end par apne aghaz ya open price k same price par close hoti hai, jiss se candle ki real body nahi banti hai, bulke prices aik lamba ooper saye k sath close ho jati hai, to ye aik gravestone doji candle banti hai.
Candles Formation
Gravestone doji candlestick candle prices k top main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main bagher kisi color ki banti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Gravestone Doji Candle: Gravestone doji candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices top zone main bearish trend reversal ka kaam karti hai. Candle k upper side par aik long shadow hota hai, jab k lower side par koi shadow nahi banta hai, lekin aik small si wick acceptable hai.
Explanation
Gravestone doji candlestick prices k top par market k rebound hone ka aik strong signal hota hai. Jab bhi kisi assets ki prices trading k dowran bohut ziada bullish move kar jati hai, to resistance zone par aksar kuch candles achanak prices to fall nahi karti hai, lekin prices k downtrend jane k aik ishara zaror deti hai, jiss se analyst faida hasil karte howe market main apne trades ki entry karte hen. Gravestone doji candle prices k top par bagher real body main long upper shadow k sath banti hai, jiss ki open aur close prices same aik hi point par hote hai, jab k sath sath candle ki position bhi bohut ziada important hai. Candle k lower side par shadow nahi hona chaheye, lekin agar banta bhi hai, to shadow ka size bohut ziada lamba nahi hona chaheye.
Trading
Gravestone doji candlestick trading k leye aik strong signals genrate karta hai, agar prices chart pattern par resistance zone par trade kar rahi ho to. Candle par trading se pehle iss ka long timeframes par select hona zarori hai, jab k candle k baad aik bearish confirmation candle ka bhi hona zarori hai. Candle k baad bullish candle banne candle k bearish trend reversal pattern zaya ho jata hia. Bearish candle real body main honi chaheye, jo k gravestone doji candle k bottom par close honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator ka overbought zone main hona zarori hai, jab k candle k leye Stop Loss sab se top position jo k umoman candle ki shadow ka top banta hai, se two pips above set kia ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим