Assalamu Alaikum Dosto!
Dragonfly Doji CandleStick
Dragonfly doji candlestick aik single candle, small real body wali bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom ya bearish trend main banta hai. Pattern ki small real body bullish ya bearish dono tarah se mumkin hai, lekin candle k leye zarori, iss ka prices k bottom par banna hai. Ye candle aik long lower shadow k sath banti hai, jiss k upper side par koi shadow nahi banta hai. Candle k upper side par small wick acceptable hai, lekin ye wick real body se size main bara nahi hona chaheye. Ye candle prices k leye bottom prices par support level ka kaam karti hai, jahan se prices rebound ho jati hai. Jab candle aik timeframe k dowran prices pehle bearish jane k baad wapis bullish jati hai, lekin apne aghaz ya open price k same price par close nahi hoti hai, bulke aik small real body banane k baad, aik long lower shadow k sath close ho jati hai, to ye aik dragonfly doji candle banti hai.
Candles Formation
Dragonfly doji candlestick candle prices k bottom main supply aur demand k up-down k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main bagher kisi color ki banti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Dragonfly doji Candle: Dragonfly doji candlestick aik single candle pattern hai, jiss main aik timeframe k dowran prices bottom zone main bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle k lower side par aik long shadow hota hai, jab k upper side par koi shadow nahi banta hai, lekin aik small si wick acceptable hai.
Explanation
Dragonfly doji candlestick prices k bottom par market k rebound hone ka aik strong signal hota hai. Jab bhi kisi assets ki prices trading k dowran bohut ziada bearish move kar jati hai, to support zone par aksar kuch candles achanak prices to rise nahi karti hai, lekin prices k uptrend jane k aik ishara zaror deti hai, jiss se analyst faida hasil karte howe market main apne trades ki entry karte hen. Dragonfly doji candle prices k bottom par bagher real body main long lower shadow k sath banti hai, jiss ki open aur close prices same aik hi point par hote hai, jab k sath sath candle ki position bhi bohut ziada important hai. Candle k upper side par shadow nahi hona chaheye, lekin agar banta bhi hai, to shadow ka size bohut ziada lamba nahi hona chaheye.
Trading
Dragonfly doji candlestick trading k leye aik strong signals genrate karta hai, agar prices chart pattern par support zone par trade kar rahi ho to. Candle par trading se pehle iss ka long timeframes par select hona zarori hai, jab k candle k baad aik bullish confirmation candle ka bhi hona zarori hai. Candle k baad bearish candle banne candle k bullish trend reversal pattern zaya ho jata hai. Bullish candle real body main honi chaheye, jo k dragonfly doji candle k top par close honi chaheye. Trend confirmation k leye CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator ka oversold zone main hona zarori hai, jab k candle k leye Stop Loss sab se bottom position jo k umoman candle ki shadow ka lower banta hai, se two pips below set kia ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим