Technical analysis kise khte he?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Technical analysis kise khte he?
    INTRODUCTION!

    ASSALAM O ALAKUM! kya hal he ap ka umeed krti ho sb khyrit se ho gy or forex trading me acha profit hasil kr rhe ho gy. Friends aj hm bt kre gy technical analysis k bare me aj me apko btao forex trading me technical analysis ko kase use krna he or hme is se kya faida ho skta he.


    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	6
Size:	10.4 کلوبائٹ
ID:	12519082
    technical analysis kya he.
    takneeki tajzia aik tijarti nazam o zabt hai jo sarmaya kaari ka jaiza lainay aur tijarti sar garmion se jama honay walay shmaryati rujhanaat, jaisay qeemat ki naqal o harkat aur hajam ka tajzia karkay tijarti mawaqay ki nishandahi karne ke liye istemaal kya jata hai. bunyadi tajzia ke bar aks, jo karobari nataij jaisay ke farokht aur kamaai ki bunyaad par security ki qader ka andaza laganay ki koshish karta hai, takneeki tajzia qeemat aur hajam ke mutalea par tawajah markooz karta hai .

    Click image for larger version

Name:	download (17).jpeg
Views:	19
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12519083

    Significance
    takneeki tajzia aik tijarti nazam o zabt hai jo sarmaya kaari ka jaiza lainay aur qeemat ke rujhanaat aur chart par nazar anay walay namonon mein tijarti mawaqay ki nishandahi karne ke liye istemaal kya jata hai. takneeki tajzia karon ka khayaal hai ke maazi ki tijarti sargarmia aur security ki qeematon mein tabdeeli security ki mustaqbil ki qeematon ki naqal o harkat ke qabil qader isharay ho saktay hain. takneeki tajzia bunyadi tajzia se mutsadam ho sakta hai, jo tareekhi qeemat ke namonon ya stock ki bajaye company ke maalyaat par tawajah markooz karta hai .
    What technical analysis do

    takneeki tajzia ke tools ka istemaal un tareeqon ki jaanch partaal ke liye kya jata hai jin se security ki talabb aur rasad qeemat, hajam aur Muzmer utaar charhao mein tabdeelion ko mutasir kere gi. yeh is mafroozay se kaam karta hai ke maazi ki tijarti sargarmia aur security ki qeematon mein tabdeeli security ki mustaqbil ki qeemat ki naqal o harkat ke qabil qader isharay ho sakti hai jab munasib sarmaya kaari ya tijarti qawaid ke sath jora banaya jaye .


    Click image for larger version

Name:	download (18).jpeg
Views:	1
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12519089
    منسلک شدہ فائلیں
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Technical analysis kise khte he?

    Assalamu Alaikum Dosto!



    Technical Analysis


    Forex trading me analysis ko bohut ahmeyat hasil hai aur hum is k bagher aik kamyab trading nahi kar sakte. Forex trading analysis se hi hum kisi pair ki exact movements moloom karne ki koshash karte hen. Aur ye hamen analysis se hi andaza ho jata hai k pair ki next movement same trend me hogi ya revefsal hone k hadsha hai. Forex trading me teen tarah se analysis ki jati hai jab k main is k two parts hi hen jab teesri analysis pehle aur dosre analysis k combination ka natija haim forex trading me sab se ziada mushkil aur knowledge/experience base pe jo analysis hai wo hai Technical Analysis , aur jo hamen beroni anasir se koi analysis karke hasil karte hen aur me sirf news ka hi amal dakhal hota hai to hai Fundamental Analysis aur is ki jo teesri qisam hai jo dono ko combined karke us pe kaam kia jata hai to wo hai, Sentimental Analysis . Hum is topic me Technical analysis pe hi baat karengay:

    Click image for larger version

Name:	images (2) (370).jpeg
Views:	3
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12417088

    Technical Analysis Q Zarori Hai?

    Forex trading me sab se mushkil analysis hai, q k is me hum technical support tools ki madad se kisi pair k trend k bare me information hasil karte hen. Forex trading me tecnical analysis ko hum kisi currency pair ki technical pehlo ko dekhte howe chart pattern ki madad se us ki agli mumkina movement ko find out karne ki koshash karte hen. Forex trading me technical analysis hamen kisi pair ki fast movement k bare me bhi information deti hai k apir agli trend pe teez harkat karegi. Forex trading me umoman technical analysis ko dosri analysis pe ziada tarjeeh de jati hai, aur is waja se hum is ko ziada se ziada seekhne ki koshash karni chaheye. Technical analysis hamare forex trading me currencies pair pe bohut ziada faida deti hai aur is ki maximum movement technical analysis k hi through se hoti hai.

    Technical Analysis main Indicator ka Istemal


    Forex trading me technical analysis hum kisi bhi stocks, commodity, bonds aur currency k movement aur supply aur demand k lehaz se is ko find out karne k leye istemal karte hen. Aam tawar par aik pair ye security ki jo market me supply aur demand hoti hai aur us me jo radubadal hoti hai us ko hum tecnical analysis k through hi malom karte hen. Technical analysis me aik trader ya analyst ko mandazel cheezon ka sahara lena parta hai aik pair ki exact trend ko malom akrne k leye:Price trends, Chart patterns, Volume and momentum indicators, Oscillators, Moving averages aur Support and resistance levels.
    Tchnical analysis kisi waja se nakam bhi ho sakti hai q k hamen exact kisi country ya kisi company k halat ka pata nahi chalta hai. Hum aksar dekhte hen k USA k halat mukhtalif masayel ka ajkal shikar hai to us waja se agar is dowran USA aur China ki trade deal ho jati hai to is se hamare forex trading pe bohut asar par jayega aur dollars ki demand har taraf zyada ho jayegi aur us se gold, silver oil waghera ya currencies ki demand me kami waqea ho jayegi. Ia waja se hamare technical analysis aise moqay pe fail ho sakti hai. Hamen lazmi kisi analysis se pehle us country k news pe focus hona chaheye, q k hamari analysis fundamental analysis se loss me ja sakti hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X