What is Money Management? How we use it forex trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Money Management? How we use it forex trading.
    INTRODUCTION:


    Dear Forex members Amit karta Hun ki aap sab khairiyat se honge aur Forex se mere ke aur Forex se mere ke basis per acchi aadmi kar rahe honge dear voice members risky business hai jismein hamen profit ke sath sath loss bhi ho jata hai isliye isliye important hai ke Ham trading ke bare mein knowledge hasil Karen Nahin to jyada loss ka samna karna pad sakta hai bahut sare pattern use hote Hain jinki help se Ham successful trading kar sakte hain aaj main aapse many management ke bare mein apna knowledge share karunga.



    MONEY MANAGEMENT:


    Dear forex members jis Tarah ek kamyab trader ke liye strategy strategy aham hai. ISI Tarah trading mein Mani management bhi ek bahut kam kardar Ada karti hai. Money Management ka Idea management ke sath bahut hi gehra relation hota hai. Kyunki trading ke dauran sare tamam risk ko Maine measurement ketamam risk ko Maine measurement ke sath jora jata hai. Mani management se Ham Apne account ka loss pay kam karApne account ka loss pay kam kar sakte aur yah loss khatm karne mein bahut jyada aham roll play karta hai. Isliye koi bhi trade open karne seIsliye koi bhi trade open karne se pahle hamen hamen management ko mind mein rakhna chahie kyunki Forex se hamara maksad Paisa kamana hai na ki loss hamara maksad Paisa kamana hai na ki loss karna.








    MONEY MANAGEMENT RULES:

    Dear forex members money Management ka asool trading statrgy or account k mutabiq hony chshye. Risk or account ma direct deal krty hain aj ma al sy kuch poi ts share ktn ga jo k ye hain.







    RISK PAR TRADE:


    Dear forex members ek trader ko ek baat Apne mind mein rakhni chahie ki jitni bhi trade lagani hai uska ek hissa risk mein Dal Dena chahie trader to percent 2% trading karta hai to iska half percent risk mein Dal Dena chahie aur agar vah 1000% trading karta hai to uska 20% risk mein Dal Dena chahie. Kuchh traders traders karne ke dauran apna laut size ko Aage Piche karte Hain ya FIR size ko Aage Piche karte Hain. Jise Ham Apne loss ko kam kar sakte hain. Forex ek jiski business hai isliye koi bhi tray Lene se pahle thoda bahut risky nalaj mein hota hai kyunki hamen market ke moment ka jyada andaza Nahin hota ki market kis taraf comment karti hai.



    RISK AND REWARD RATIO:



    Dear forex members trades ko jeetny waly trader ki ratio harny waly traders ki nisbat zayda hotu hai. Agr auk trader ny aony liye 1:1 ka intahab kiya hai yo usmein se 6 traders message 10 traders lasmi win karenge agr us ny 3:1 ki ratioo rakhu ga ti tb chota trader win kry ga.



    Click image for larger version

Name:	images - 2022-03-31T232955.836.png
Views:	10
Size:	22.4 کلوبائٹ
ID:	12519008



    STOP LOSS TAKE PROFIT:


    Dear Forex members co-preet ki entry Lene se pahle hamen stop loss aur take profit ko mind mein rakhna chahie kyunki trading ke dauran ine donon ki bahut jarurat Hoti hai kyunki yah hamara account bhi wash hone se bachate hain aur hamari trade bi safe rahti hai aur hamara time bhi West Nahin hota isliye important hai ki ham DP aur FL ko class mein set Karen Taki jyada loss se Bach saken aur hamari trading successful ho sake.


    Click image for larger version

Name:	images - 2022-03-31T233134.463.png
Views:	1
Size:	3.3 کلوبائٹ
ID:	12519009




  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Money Management? How we use it forex trading.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Money Management


    Forex trading main money management tradesbk leye account ki safety aur uss k trading manafay main aik khas tareeqay se izafay ka zarya hai. Jiss tarah se aik trader k leye aik kamyab forex trading strategy aham hai, ussi tarah se forex trading ki achih trading management bhi trader ki kamyabi k leye zarori hai. Money management ka idea risk management se gehra taluq rakhta hai, q k trading k dowran tamam risk money k sath jora jata hai, bas uss se thora sa mukhtalif hai.
    Forex trading k money management se murad apney account k gher zarori risk main daley bagher apney pesey ko kese istemal karna hai. Forex money management ka taluq trading k dawran money loss ko kam karne ka intezam hai. Chonekh hum sab insan hen aur trading k dowran hone wali ghaltion sab ko hoti hai, to iss se bachna chaheye. Kamyab trader trading ko karobar k tawar par sochte hen. Forex trading me karobar ka maqsad pese kamana hai, pese khona nahi hai. Lehaza isse khone se bachney k jo iqdamat hote hen, wo money management main ata hai.
    Forex trading main taqreeban 90 se 95% tak k traders loss utate hen, q iss business main risk itna ziada hai, k iss main trader apni sari amdani kho sakta hai, aur kuch hi lamho main apna account wash ho sakta hai. Iss waja se jiss business main bohut ziada risk hota hai, to traders ki ziada se ziada koshash honi chaheye k wo karobar main risk ko kam se kam karne ki koshash karen. Bohut sari aisi forex trading strategies maojood hai, k jinn ko apnane se trader ziada munafa kama sakta hai aur loss kam kar sakta hai, lekin ye tareeqay kar losses ka sabab nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (828).jpeg
Views:	1
Size:	71.9 کلوبائٹ
ID:	12382970

    Money Management se Trading karne k Tareeqay


    Money management k hawale se darjazzel main kuch ossool hen jinn ko apnane se forex trading k money management k system ko behtar kia ja sakta hai. Ziada tar ye osol huemn market main apne sarmaye k risk k mutaleq hote hen;

    1. Trading Risk

    Trading k dowran kabhi bhi trading risk ko nazar andaz na karen, aik trader ko ye khayal rakhna chaheye k kisi aik trade par apne account ka sirf aik chota sa hisa risk main dalna chaheye. Analysts trading par 2% risk ka ziada tar kehte hen, jiss main aik trader apne trades par 2% tak ki risk lena chaheye. Jaisa k $1000 trading account par trader ko $20 ka risk lena chaheye.
    Kuch traders trades size main tabdeeli karte hen, jaisa k "Anti-martingale money management method" k mutabiq jab bhi trades munafa main hon to uss k lot size main izzafa kia jata hai, jab k loss ki sorat main lot size ko kam kia jata hai. Iss amal se trading risk kam se kam kia ja sakta hai.
    Forex trading ki aik behtareen trading strategy aur risk management plan waqat k sath sath trader ki madad karni chaheye, lekin aap ko hargez ye baat 100% confirm nahi hoti k agle trade main ya agle 10 trades main kia ho sakta hai. Agle trade k nuqsan k risk ko kam karne k leye, forex trader ko trading account k size k muqabele main trade ka size nisbatan small rakhna chaheye. Trading main experience se apne kaam ko mazeed behtar banaya ja sakta hai.

    2. Trading par Drawdown ko Set Karna

    Forex trading k dowran apney trading history ko bhi nazar andaz na karen aur iss se aap ko trading drawdown ki sahi information melti hai. Drawdown se murad trading account k prices main wo faraq hai jo k account ka pehla balance hota hai aur trades k loss k baad account ka jo balance hota hai. Drawdown jitna ziada hoga jeetne wale trades k sath account balance ko recover karna utna hi mushkil hoga. Misal k tawar par agar aik trader k account main $10,000 hai, aur trades ko $500 dollar ka loss hota hai, to ye 5% ka drawdown hai (10,000 ka 5% 500 k barabar hai).

    3. Trading Profit and Loss Risk


    Forex trading main money management ka zarori hesa take profit aur stop loss ki sahi risk rakhna bhi zarori hai, bulkeh ye money management k leyw bhi bohut ziada zaroei hai. Take profit aur stop loss ka na sirf istemal bohut aham hai, bulkeh uss k sath sath iss ka sahi istemal bhi trading k leye utna hi aham hai. Take profit jahan tak hamare account k target had ko par munafa ko mehfoz banate hen, ussi tarah se stop loss ziada loss se har sorat humen shield faraham karta hai, jo k aik achah aqdam hai.
    Forex trading main investors k jeetne wale trades ka ratio harne wale trades ki nisbat ziada honna chaheye. Agar aik trader ne risk reward ratio k mutabiq apne leye 1:1 ka intekhab kia hai, to uss k leye usse har 10 traders main se 6 lazmi win karne hongay. Aur agar uss ne 3:1 ka ratio rakha ho to uss sorat main har chota trade ka win honna zarori hai.

    4. Mind Set-Up


    Business ka hamesha aik osol hota hai, k profit k sath sath loss bhi iss ka aik aham hisa hai. Humen trading k dowran apne jazbat ya emotions aur lalach ko hamesha aik side par rakh kar trading karni chaheye. Forex trading me emotions bulkul bhi kaam nahi karte hen, k agar aik trade loss main jaye to hum uss ko recover karne ya loss ko kam karne k leye mazzeed ussi semat main trades open akrte hen ya trading par ghusa karne ki koshash main hum mazzeed trades laga kar loss uthana shoro karte hen, iss se huemn ziada se ziadda loss hasil hoga.

    اب آن لائن

    Working...
    X