Doji-Star Candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji-Star Candlestick
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Doji star Candlestick Pattern


    Japanese candlesticks baar chart ki nisbat iss waja se ziada pasand ki jati hai, q k ye candles un ki nisbat bohut ziada information reakhti hai. Baar chart aik timeframe ka open, close, low aur high prices dekhate hen, jab k candlestick open, close, low, high, bullish, bearish aur neutral values bhi dekhate hen. Candlesticks chahay single hon ya tadad main ziada hon, innki information ziada reliable hoti hai, jiss ko analyst ziada pasand karte hen. Doji star candle bhi aik single candle hoti hai, jo k umoman aik neutral candle tasawar ki jati hai. Ye candle bagher real body main hoti hai, jiss ka upper aur lower sides par small equal length k shadows hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2278).png
Views:	8
Size:	8.2 کلوبائٹ
ID:	12519000

    Candles Formation


    Doji star candles umoman prices main ziada tar dekhaye dete hen, q k ye aik neutral candle shumar hoti hai. Ye candle aik hi waqat main market main buyers aur sellers ki equal taqat ki akasi karti hai, jo prices ko aik khas position par mustehkam rakhti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (6).jpg
Views:	2
Size:	15.5 کلوبائٹ
ID:	12519001

    Doji Star Candle: Doji star candlestick prices k darmeyan main ziada tar neutral hoti hai, jab k bottom aur top prices par trend reversal ki salaheyat rakhti hai. Ye candle aik bagher real body main hoti hai, jab k ye candle single hone ki waja se bullish aur bearish dono tarah ka kaam kar sakti hai. Candle k upper aur lower sides par shadow hota hai, jo k dono sides par size main equal hota hai.

    Explanation

    Doji star candlestick aik bagher real body main upper aur lower sides par small shadow ki hoti hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, jab k candle ki oper aur close price k upper aur lower sides par equally small shadows hote hen. Jab bhi stock ki prices par selected timeframe k mutabiq pehle aik side se ziada pressure par jata hai aur baad main dosri taraf se same pressure parta hai, to uss sorat main Doji star candle banti hai, lekin buyers aur sellers ki market main equal pressure ki waja se candle ki dono taraf shadow ban same ban jata hai. Doji star candle dekhne main same Long-legged candle jaise hoti hai, lekin iss k upper aur lower sides ka shadow length main kam hota hai, jiss se dono candles k darmeyan bohut wazih faraq a jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2277).png
Views:	18
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12519004

    Trading

    Doji star candlestick single candle pattern honne ki waja se traders k leye wazih signal nahi deta hai, aur khas kar sideways market main to ye invalid ya neutral candle hoti hai. Ye candle prices k top ya bottom main main thori bohut moasar ho sakti hai, lekin uss k leye bhi confirmation ka hona zarori hai. Candle ki trading se pehle market main long term ki timeframe select karne k baad prices k top ya bottom position dekh len. Uss k baad kuch indicators jaise CCI indicator aur stochastic oscillator par value dekh len jo k overbought ya oversold zone main hona zarori hai. Candle par trading ziada riski hai, iss waja se Stop Loss candle k bottom ya top se two pips below ya above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (823).jpeg
Views:	1
Size:	22.7 کلوبائٹ
ID:	12519002
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Doji-Star Candlestick

    Doji Star Candlestick Pattern


    Doji star candlestick pattern ziada tar trend reversal candlestick patterns hen, jo k prices k sab se top ya low area me bante dekhe gaye hen, ye pattern aggar prices k lower area me paye jate hen, to ye bullish trend reversal jab k prices k top par banne ki waja se bearish trend reversal pattern ka kaam karte hen. Star candlestick ko teen candles par mushtamil hote hen, jiss me sides wale candles long real body k hote hen, jab k darmeyan main aik small real body wali black or white candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2280).png
Views:	1
Size:	2.1 کلوبائٹ
ID:	12382940

    Star Candlestick Pattern Types

    Prices chart me star candlestick patterns ki chaar aqsaam hen, jinn me se do bullish trend reversal pattern hai, jab k baqi do bearish trend reversal pattern ka kaam karte hen, star candlestick patterns ki tafseel darjazel hai;

    1. Morning Star Candlestick Pattern
    2. Morning Doji-Star Candlestick Pattern
    3. Evening Star Candlestick Pattern
    4. Evening Doji-Star Candlestick Pattern


    Click image for larger version

Name:	images (824).jpeg
Views:	1
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12382941Click image for larger version

Name:	images (2281).png
Views:	1
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12382942

    1. Morning Star Candlestick Pattern


    Morning star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottoms ya bearish trend k baad banta hai. Ye pattern teen candles black, small candle aur white candles par mushtamil pattern hai. Pattern main shamil star candle bearish candle se nechay gap me banti hai, jiss ka color koi bhi ho sakta hai.
    Morning star candlestick pattern bearish trend ya low price area main hone ki waja bullish trend reversal hai, jiss par trader market main buy ki entry karte hen. Ye pattern long timeframes main banne ki waja se strong buy signal detta hai.

    2. Morning Doji-Star Candlestick Pattern


    Morning Doji-Star Candlestick Pattern dekhne me same "Morning Star Candlestick Pattern" jaisa hi hai, lekin 2nd doji candle ki waja se ye pattern thora sa mukhtalif ho jata hai. Is pattern main bhi same pehle aik bari black candle hoti hai, jiss k darmeyan aik doji candle banti hai aur last ya 3rd pe aik white candle hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal ki alamat hoti hai.
    Morning Doji-Star Candlestick Pattern par trading k leye zarori hai, k pattern prices k bottom main bana ho aur iss ki 3rd candle k baad aik bullish ya white candle trend confirmation k leye zaror banna chaheye, jo k prices par trade karne k leye buy ka signal peda karta hai.

    3. Evening Star Candlestick Pattern


    Evening star candlestick pattern jo k "Morning Star Candlestick Pattern" ka opposite direction me banta hai, teen candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top ye bullish trend k baad banta hai. Ye pattern teen candles white, small candle aur black candles par mushtamil pattern hai. Pattern main shamil star candle bullish candle se above gap me banti hai, jiss ka color koi bhi ho sakta hai.
    Evening star candlestick pattern bullish trend ya high price area main hone ki waja bearish trend reversal hai, jiss par trader market main sell ki entry karte hen. Ye banne k baad traders confirmation candle k baad market main sell ki trades se entry karte hen,jo k pattern k mutabiq hota hai.

    4. Morning Doji-Star Candlestick Pattern


    Evening Doji-Star Candlestick Pattern "Morning Doji-Star Candlestick Pattern" k opposite direction me banta hai, jo dekhne me same "Evening Star Candlestick Pattern" jaisa hi hai, lekin 2nd doji candle ki waja se ye pattern thora sa mukhtalif ho jata hai. Is pattern me bhi same pehle aik bari white candle hoti hai, jiss k darmeyan aik doji candle banti hai aur last ya 3rd pe aik black candle hoti hai, jo k prices k bearish trend reversal ki alamat hoti hai.
    Evening Doji-Star Candlestick Pattern par trading k leye zarori hai, k pattern prices k top main bana ho aur iss ki 3rd candle k baad aik bearish ya black candle trend confirmation k leye zaror banna chaheye, jo k prices par trade karne k leye sell ka signal peda karta hai, jo k pattern k rules k mutabiq hota hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X