Currency Pairs
Forex Trading me currencies ka hawala hamesha joron (pairs) ki shakal me deya jata hai. Is ki waja ye hai k trading k dowran agar aik currency ko khareeda ja raha ho to usi waqat dosri currency ko ferokht kia jata hai.
Misal k tawar par, jab bhi hum kisi currency jore, jaise;EUR/USD ko buy karengay to is ka matlab hoga k hum Euro ko khareed rahen hen aur is ki nisbat USD ko sell kar rahen hen. EUR/USD ko jab sell karengay to is ka matlab hoga k EUR ko sell kar rahen hen aur us k badle me USD ko buy kar rahe hen.
Base Currency aur Quote Currency
Currency jore me jo pehli currency hogi us ko "Base currency" kaha jayega, q k is currency jore k buy aur sell ka daro-madar pehli currency pe hota hai. Base currency pair me left side pe hoti hai. Jab k pair me mojood dosre currency ko "Quote currency" kaha jata hai. Quote currency jore me right side pe hoti bai.
Currency Jore
Forex trading market me sab se ziada trade hone wale currency jore darja-zel hai;
1. EUR/USD
EUR/USD currency jore me EUR base currency hai, aur is jore k buy/sell ka daro-madar bhi EUR pe hota hai. Jab bhi European Economy mazbot hogi to ye currency jora bhi bullish move karega, lekin kamzor economy ki sorat me bearish ayega. Lekin USD ki mazboti aur kamzori se jore pe alag asar hoga, yani jab bhi USA ki economy strong hogi to pair downward jayega aur kamzor economy se currency jora bullish movement karega.
2. GBP/JPY
GBP/JPY currency jore me base currency GBP hai, jo currency jore k buy aur sell ki zemadar hogi, aur JPY qoute currency hai. UK ki economy strong hone se jora bullish jaye ga jab k Japanese economy strong hone se currency jora bearish move karega.
AUD/NZD
AUD/NZD currency jore AUD base currency hai, jab k NZD qoute currency k tawar par kaam karti hai. Currency jore ki buy aur sell ka daro-madar AUD pe hoga. Jis k mazbot hone se currency jora bullish move karega jab k NZD k mazboti se currency jora bearish ayega.
Major Currency Jore
Forex trading me shamil 8 currencies, jin k sath trading me agar USD shamil ho ko major currencies pair kaha jayega. Major currencies forex trading me sab se ziada trade hone wale currency jore hen, jin ki rozana k bunyad pe billions of dollars me trade hote hen. Major currencies jore ye hen; EUR/USD, GBP/USD, USD/JPY, USD/CAD, AUD/USD, NZD/USD, USD/CHF.
Cross / Minor Currency Jore
Cross currency pairs me bhi forex k sab se ziada trade hone wale pair shamil hote hen, lekin in pairs me USD nahi hai. Cross pairs ko minor currency pair bhi kaha jata hai, jis me doare currencies USD k bagher hi trading karte hen. Forex trading me ziadatar istemal hone wale kuch cross pairs ye hen; EUR/GBP, GBP/JPY, AUD/NZD, UR/CHF, GBP/CAD, NZD/JPY, etc.
Exotic Currency Jore
Exotic currency jore wo hote hen, jis me USD aur dosre bare currency k sath dosre currency (kam trade karne wale currencies) hote hen. Exotic currency joron k spread bohut zyada hote hen, q k ye jore aik to trade kam hi hote hen, dosra is ki liquidity bohut kam hoti hai. Exotic currency pair ki misalen ye zel hen; USD/ZAR, USD/TRY,EUR/HRK, USD/SEK, USD/DKK, USD/SGD, EUR/NOK, etc.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим