Assalamu Alaikum Dosto!
Three Inside Up Candlestick Pattern
Three inside up candlestick pattern main dosre din ki small real body wali bullish candle previous din ki bearish candle k real body main open ho kar ussi k same real body main close hoti hai, aur teesre din ki aik bullish candle pehle din ki bearish candle se top par close hoti hai. Three inside up candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k dosre din ki candle aik small real body wali bullish candle hoti hai. Pattern ki dosre din ki bullish candle pehli din ki bearish candle k andar banti hai, jiss tarah se bullish harami candlestick pattern main hota hai, yanni bearish candle bearish candle k high aur low k inside main open aur close hoti hai. Pattern ki last candle aik bullish candle hoti hai, jo k real body main bari banti hai, jo pehli candle k top par close hoti hai.
Candles Formation
Three inside up candlestick pattern main shamil candles bearish aur bullish pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k andar banti hai, jab k last wali candle pehli candle k top par close hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Three inside up candlestick pattern ki pehli candle market k current trend k mutabiq aik bearish trend hoti hai, jiss ka close price open price k se ooper hota hai. Bearish candle shadow samet ya uss k bagher ho sakti hai, jo k real body main hoti hai.
2. Second Candle: Three inside up candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k muqabele main small real body main hoti hai, jo pehli candle k bottom se se above open ho kar ussi k top se nechay close hoti hai. Dosri candle lazmi real body main main honi chaheye aur pehli candle ki real body k andar banni chaheye.
3. Third Candle: Three inside up candlestick pattern ki last ya teesri candle bhi aik bullish candle hoti hai, jo k small bullish candle k upside par open ho kar, aik bari real body banane k baad pehli candle k top par close hoti hai. Ye candle trend reversal ka kaam karti hai, jo k dosri candle se lazmi size main bari honi chaheye.
Explanation
Three inside up candlestick pattern price chart par uss waqat banti hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil teeno candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se size main kam honi chaheye. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main sellers ki prices k bottom main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat buyers market main ziada active ho jate hen. Baaz dafa ye pattern koi strong news release hone k baad prices k bottom main banta hai.
Trading
Three inside up candlestick pattern trading k leye aik strong bullish signal deta hai, jiss se buyers market main entry karte hen. Pattern ki k baad aik bullish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath teesri candle k top par close honi chaheye. Lekin bearish candle banne ki sorat main trade entry karne se parhez karen. Trend confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern par stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k close price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим