Assalamu Alaikum Dosto!
Evening Star Candlestick Pattern
Evening star candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k intehaye top position ya bullish trend k baad bantta hai. Ye pattern aik unique qissam ka hai, jo bohut kam hi prices main nazar ata hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai. Jiss main pehli candle aik strong bullish trend ki alamat hotti hai, aur dosri candle aik small real body candle (umoman Spinning top candle hoti hai, lekin zarori nahi hai) hotti hai, jo k bearish candle se gap main open aur close hotti hai. Last candle aik bearish candle hotti hai, jo k Spinning top candle se below gap main open aur close hoti hai aur taqreeban pehlee candle k midpoint se ziadda ya bearish candle k open price k barabar hotti hai.
Candles Formation
Jaisa k uper battaya gaya k evening star candlestick pattern ek bearish trend reversal pattern hai, aur low prices area main bhi banta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehlee bullish candle, dosree Spinning top candle aur teesri aik bearish candle hotti hai, aur ye candles darrjazel format main honi chaheye;
1. First Candle: Evening star candlestick pattern main pehlee candle aik strong aur long real body wali white ya green yanni bullish candle hotti hai, jo k market k bullish trend ki mazzboti ki tarraf ishara kartti hai.
2. Second Candle: Evening star candlestick pattern main dosree candle aik small real body candle bannti hai, jo umoman ya zidar tar Spinning top candle hotti hai. Iss candle ki opening aur closing price same hi hotti hai. Ye candle pehli candle se gap main open aur close hotti hai.
3. Third Candle: Evening star candlestick pattern ki teesri candle aik strong aur long real body wali bearish candle hotti hai, jo k dosri candle se gap main below open hotti hai, jab k close bullish candle k body ya bottom par hotti hai.
Explanation
Evening star candlestick pattern aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k dekhne main bulkul bearish abandoned baby candlestick pattern ki tarah hotta hai, lekin Spinning top candle k difference ki waja se ye pattern "Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern" se bohut mukhtalif ban jatta hai. Ye pattern prices k uptrend ya high price area main banta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam karta hia. Evening star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle color main white ya green yanni bullish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bullish trend ki mazboti ki alamat hotti hai. Dosre din ki candle aik small real body candle hoti hai, jo k prices ko temporary pause kar deti hai aur iss candle ka opening aur closing price aik dosre k qareeb hotta hai. Ye candle pehlee candle se gap main ooper ki tarraf bantti hai. Pattern ki teesri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k dosri candle se gap main open hotti hai aur close bullish candle main ya uss se nechay ja k hotti hai. Ye candle prices k bearish trend reversal ka sabbab bantte hen.
Trading
Evening star candlestick pattern par trading karne k leye market aap ko sell ki entry karni paregi, lekin pattern par bagher trend confirmation k trade lagana bohut ziada riski hai. Ye pattern banta to bullish trend main hai lekin ye zarori nahi k prices lazmi bearish reversal hongi. Pattern par trade se pehle dosre technical indicators se market ki trend confirmation karlen, agar market ki confirmation price action jaise pattern k baad aggli candle bhi bearish banti hai to ye trend confirmation ho jatti hai. Confirmation candle k baad market main sell ki entry karen aur Stop Loss k leye market ka sab se ooper position, jo k umoman Spinning top candle ka upper position banega se two pips above par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим