Forex Trading Analysis
Forex trading market main currencies pairs ki prices high aur low low zone k darmeyan updown move karti rehti hai. Ye values aik khas position par ja kar wahan se wapis rebound hoti hai. Forex trading market market traders currencies pairs ki movement ki semat malom karne k leye analysis karte rehte hen. Analysis forex trading me aik trader ki kamyabi k leye aham role ada karti hai. Agar traders apne trading se pehle proper analysis se kaam karta hai to trade k loss me jane k chances kam hote hen. Forex trading me humen teen qisam ki analysis karni parti hai, jis ka tareeqa kar aik dosre se thora mukhtalif hai. Forex trading ki ye teeno qisam ki analysis market main traders ko trading k dowran prices k direction ko malom karne madad faraham karti hai.
Types of Analysis
1. Technical Analysis
2. Fundamental Analysis
3. Sentimental Analysis
1. Technical Analysis
Forex trading ki technical analysis do hiso par mushtamil hoti hai, jiss main chart patterns aur technical tools shamil hen. Technical analysis me technical indicators ya oscillators ka istemal ziada hota hai. Ye indicators aur oscillator humen market me pehle qeematon ki mathematical calculation faraham karti hai, jis k bina pe hum technical analysis hoti hai. Technical indicators aur oscillators k elawa candle sticks aur chart patterns bhi technical analysis me istemal hote hen. Forex trading me technical analysis sab se mushkil analysis aur sab se ziada kamyab analysis hai.
Technical analysis me chart pattern k leye mukhtalif qisam k timeframes select keye jate hen. Technical analysis me timeframe ka aik aham role hai, jitna hum bari timeframe ka istemal karengy, utni hi humari analysis achi hogi. Technical analysis short term aur long term dono tarah ki hoti hai. Short term analysis me kam timeframe aur kam volume ka capital hota hai, jab k long term analysis k leye ziada capital aur bare timeframe darkar hote hen. Technical analysis k technical indicators me RSI, CCI, MACD, Moving Average waghera istemal hote hen, jab k chart pattern me head and shoulders pattern, flag pattern, peanut pattern, double bottom ya double top pattern ka istemal hota hai. Chart pattern k sath sath candlesticks patterns jaise, doji candles, shooting star, hammer candles waghera bhi bohut aham hen.
2. Fundamental Analysis
Fundamental analysis long term ki trading k leyw bohut aham hai, jiss me trader market k mustaqbil ki soratehal ze bakhabar hona zarori hai. Ye analysis financial market me ziada waqfay k leye asar andaz hone wale wo elements hote hen, jin pe technical analysis ka asar nahi hota hai. Fundamental analysis k asar ziada tar commodities jaise metal aur energies pe ziada hote hen, jab k currencies pe ye ziada effective nahi hote hen. Fundamental analysis market ka semat bulkul mukhtalif semat me move kararta hai, jis ko aam tawar par traders ko tawaqa nahi hoti hai. Fundamental analysis me Corona waba, America China trade war waghera jese masayel shamil hen.
3. Sentimental Analysis
Forex trading market ki teesri analysis, jo dosre analysis k muqabele me riski bhi hai, ko sentimental analysis kaha jata hai. Sentimental analysis ka istemal dosre analysis se mukhtalif hai, is analysis me traders mind setup se ziada kaam leta hai. sentimental analysis me traders market me dosre elements jese trading calendar, ya events aur technical indicators ka combination result apply karte hen. Sentimental analysis aam twar par technical aur fundamental analysis ka mixup bhi ho sakta hai, jahan markrt ka behaviour bohut mukhtalif hota hai. Aksar aik currency technical analysis k mutabiq strong ho rahi hoti hai lekin financial events release hone se aksar wo weak behave karti hai, to ye anasir sentimental analysis k zarye se dekhey jate hen. Jab k dosre analysis ko sirf technical ya fundamental behaviour se dekha jata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим