Leading and Lagging Indicators

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Leading and Lagging Indicators
    Assalamu Alaikum Dosto!



    Leading aur Lagging Indicators

    Leading indicators trend k breakout ya reversal jane se pehle uss ki identification karte hen, jab k iss k bar akas lagging indicators trend k breakout ya reversal hone k baad uss ki information deta hai.
    Forex trading main day trading k leye aik aham indicator ka intekhab karna bohut ziada ghawar talab kaam hai. Aik indicator sirf ya nahi batata k kia honne wala hai, bulkeh ye bhi zarori hota hai k kab hone wala hai.
    Forex trading main stock, commodities aur currencies par trading k leye dono tarah k indicators aynni leading indicators aur Lagging Indicators ka istemal kia jata hai. Technical analysis main ye dono tarah k indicators kese kaam karte hen, aur un ko sahi position par istemal kese kia jata hai, iss ki tafseel darjazzel hai.

    Click image for larger version

Name:	images (759).jpeg
Views:	2
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12518599

    Lagging Indicators

    Ye baat bulkul thek hai k lagging indicators delay signal deta hai. Aggar cheh ye apke strategy se thora sa mukhtalif ho sakta hai, lekin haqqiqat main aisa nahi hai. Lagging indicators trend ki sahi tareeqay se janchne k baad signal deta hai. Lagging indicators moving averages k buyad par kaam karte hen. Bohut sare indicators moving averages ka formula istemal karte hen; jaise MACD jo k "moving average convergence divergence" ka abbreviation hai, Bollinger band indicator jiss ka centre band "Simple moving average" ka istemal karta hai.
    Scalping traders k leyw lagging indicators ziada kar amad nahi hote. Lekin swing trading strategy istemal karne wale trader k leye jahan uss ka hadaf 50 se 60pips tak hota hai, main agar 5 se 10 pips ghayeb ho jaye to ye ziada loss nahi hai, lekin agar signal reliable mele to.
    Lagging indicators sirf trend ki tasdeeq karne main madad-gar sabit nahi hote, bulkeh wo iss sorat main bhi achahy hote jab trend reversal honne k shanakht main bhi madad dete hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2190).png
Views:	3
Size:	12.0 کلوبائٹ
ID:	12518601

    Leading Indicators


    Leading indicators trend k reversal hone se pehle signal deta hai. Agar cheh ye bohut achay indicators lagte hen, lekin ye aksar false ya ghalat signal bhi de jate hen. Ye indicators risk management k tekht hi istemal hote hen, aur iss ki strategies ko kamyabi se istemal kia jata hai. Agar inn main chand aik single ghalat bhi ho tab bhi ye kamyab indicator hote hen. MT4 ya MT5 main istemal hone wale Relative Strength Index, Stochastics Oscillator waghera iss indicator main shamil hen.
    Leading indicators k leye ye zarori nahi hai k sara tawjah iss bat par ki jaye k aik achah trend line kese khencha jaye, bulkeh iss main ziada tar inhisar market ki indication par hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (758).jpeg
Views:	4
Size:	26.9 کلوبائٹ
ID:	12518600

    Leading Indicators vs Lagging Indicators

    Aam tawar par leading indicators lagging indicators ki nisbat ziada signals deta hai. Dono indicators ka ekhata istemal karna ziada maozon nahi hai, k agar leading indicators signal de aur aap lagging indicators se uss ki confirmation karna chahey to uss sorat main aksar signal mutasir-kun nahi rehta.
    Forex trading mai kaam k hawale se aap ko thore se sakht faisele lene parte hen, aur dono indicators main se kisi aik ka intekhab karna parta hai, jab k sirf aik indicator ka akele istemal bhi ziada faidamand nahi rehta hai.
    Traders ko trading k dowran bohut ziada indicators ka istemal nahi karna chaheye, q k kabhi bhi sare indicator aik jaise signal nahi deta hai. Ziada indicators se kabhi bhi signal ki tasdeeq nahi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (760).jpeg
Views:	1
Size:	10.6 کلوبائٹ
ID:	12518602
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Leading and Lagging Indicators

    Explanation of Indicators ;-

    Forex trading may boht sary indicators available hain. Trader apni pasand kay hesab say kio bhi indicator use kar sakty hain. Trader k liye indicator ko use karna zaruri is liye hai k trader ko market ki boht sari information in say mel jati hai. Jo trader indicator ko use nahi karta woh market ki sab information ko hasil nahi kar pata is liye trades ko achy point par open karna bhot mushkil ho jata hay. But seniors hamesha yeh bhi kehty hain k trader ko kbi indicators ko aankhain band kar k follow nahi karna chahiye kyun k ye aksar fake signal produce karty hain jin ko use kar kay traders market may Fail ho jaty hain.

    Click image for larger version

Name:	images (3).jpeg
Views:	1
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12382480

    Lagging indicator vs Leading indicator ;-

    Lagging indicator woh indicator hoty hain jo market ki past price ko use kar kay market future ko predict karty hain but in indicator ka side effect yeh hai k is time par signal dety hain jab market woh movement start kar chuki hoti hai or traders ko is k bad enter hony say kio khatir khawah benefit nahi hota. But in indicators ka advantage yeh hai k yeh zeyada tar accurate signa ko provide karty hain or trader ko agr profit na ho to loss bhi ni hota.

    Click image for larger version

Name:	images (2).jpeg
Views:	2
Size:	21.1 کلوبائٹ
ID:	12382483

    Leading indicators ;-

    Leading indicator bhi market ki past information ko use karty hain or aisa signal generate karty hain jo market adopt karny wali hoti hai. Yani yeh advance may traders ko market ki movement k bary may bata dety hain. In ka side effect yeh hota hai k trader aksar time sy pehle hi market may in ho jaty hain or loss ka shikar ho jaty hain. But is ka advantage yeh hai k trader ko agr acha trading signal hasil ho jaey to un ko big profit hasil karny may bhot asani hoti hai or in kay account may acha profit plus ho jata hay. So trader ko aik hi time may both indicators ko use karna chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (1).png
Views:	7
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12382484

    Legging indicator ;-

    Legging indicator yeh market may ek baot hi useful indicator hota hai Jis ko traders apni trade ke liye use karte hain market Main legging indicators aap ki trade Main strategy or aap ki efforts ke final score ko show Karte Hain Jab traders apni trade Main legging indicator ko use karte hain to usi Waqt yeh directly move karta hai market Mein Jab leging indicators outputs result provide Karte Hain legging indicators market main yeh indicators aap ki organisational activity ke bary main directly output information provide karta hay.

    اب آن لائن

    Working...
    X