Assalamu Alaikum Dosto!
Gravestone Doji Candlestick
Gravestone doji candlestick aik long Upper tail k sath bagher real body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik hi point ya price par hona chaheye. Ye candle dekhne main small real wali candles ki tarah lagti hai, lekin small real body wali candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai. Gravestone doji candlestick ki aik long upper tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick gravestone doji banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Gravestone doji candlestick main candle ka open, close aur low same point par hota hai. Candle market aur prices k ziada upper area main hone ki waja se ye bearish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.
Candles Formation
Gravestone doji candlestick candle prices k top main kam supply aur ziada demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Gravestone Doji Candle: Gravestone doji candlestick agar prices k top main banti hai, to iss candle ki open aur vlose price same aik hi line main hoti hai, ye candle aik bearish candle hi tasawar ki jati hai, high price trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k lower side par koi wick ya shadow nahi hota, jab k upper side par aik lamba saya banta hai.
Explanation
Gravestone doji candlestick price chart par aksar top ya bottom prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath upward rise karne k baad wapis apne lower open price par ja kar close hoti hai. Ye candle aik long upper shadow k sath hoti hai. Candle k lower side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jaye hai. Candle ki real body na hone ki waja se ye candle ka koi khas color bhi nahi hota hai, jiss se candle top prices par banne wali shooting star candle se mushabehat rakhti hai, jab k bottom price par banne wali dragonfly doji candle k opposite direction main banti hai.
Trading
Gravestone doji candlestick prices k top main ziada bullish pressure parne par banti hai, jiss se aik candle bagher real body ki candle k upper side par aik lamba saya hota hai. Ye candle aik strong bearish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad sell ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona zarori hai, jab k bullish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya candle k shadow k upper side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим