On-Neck Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    On-Neck Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    On-Neck Candlestick Pattern


    On-neck candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jo k lower trend k baad banta hai. Pattern aik bearish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bullish candle pechli bearish candle k nechay gap main open ho kar bullish real body banane k baad bhi pehli candle k close price se thora sa nechay close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same to nahi hota hai, lekin aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k darmeyan aik wazih gap ban jata hai. Pattern k mutabiq bulls market k control ko hasil karne main nakam hote hen, jiss se prices same bearish trend ko hi follow karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi gap hona chaheye, basorat degar ye pattern bullish meeting line pattern ban sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2093).png
Views:	4
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12516615

    Candles Formation


    On-neck candlestick pattern ki dosri candle k bullish hone k bawajood bhi market main investor ziada mutasir nahi hote hen. Jiss se prices same sabeqa trend k mutabiq bearish hi follow kia jata hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:

    Click image for larger version

Name:	images (2092).png
Views:	5
Size:	468 بائٹ
ID:	12516616

    1. First Candle: On-neck candlestick pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.

    2. Second Candle: On-neck candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body se nechay hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ka khatam karne ki nakami ki sorat me bearish trend continuation ka sabab banti hai.

    Explanation

    On-neck pattern ko bearish continuation patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal neechay ki janib harkat ka ishara karta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bulls market mein wapasi ki koshash karte hen, lekin trend ko bearish se bullish mein tabdeel karne mein nakam hote hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se nechay gap main ho kar bullish real body banane k baad bhi pehli candle k nechay close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bears market main control hasil karne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control dobara hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (724).jpeg
Views:	6
Size:	10.8 کلوبائٹ
ID:	12516617

    Trading

    On-neck candlestick pattern prices main bulls ki nakam koshash ko zahir karti hai, jiss se prices same bearish trend ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k darmeyan lazmi gap banna chaheye, q k ye gap market main buyers k control ka nakam koshash hoti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value 50 zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2094).png
Views:	4
Size:	18.0 کلوبائٹ
ID:	12516614
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: On-Neck Candlestick Pattern

    On-Neck Bearish Pattern


    On-Neck bearish pattern aik bearish trend continuation pattern jo k qeematon k lower side pe ya bearish trend me paya jata hai. Pattern do mukhalif colour ki candles par mushtamil hota hai, jis me pehli candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jis k baad banni wali 2nd white candle hoti hai. Ye pattern waqti tawar par qeematon k lower side pe tezi ko rokh leti hai, lekin trend ko reversal nahi kara sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2101).png
Views:	6
Size:	6.1 کلوبائٹ
ID:	12380384

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. On-Neck bearish pattern k leye qeematon ka pehle se bearish trend me hona zarori hai, q k ye aik trend continuation pattern hai.
    2. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle black aur 2nd candle white hoti hai.
    3. Pattern ki 1st black candle aik bari real body wali black candle hoti hai.
    4. Pattern ki 2nd white candle black candle se gap me open hoti hai, jab k close pe lower side pe hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	images (2092).png
Views:	5
Size:	468 بائٹ
ID:	12380386

    Pattern ki Tafseel


    On-Neck bearish pattern do candles par mushtamil aik trend bearish continuation pattern, jis me 1st candle aik bari real body wali black hoti hai, jis ko aik white candle follow karti hai. Pattern ki 1st black candle k baad white candle lower side pe gap se open hoti hai, jab
    k close black candle k wick (ya lower price) k nechay hoti hai. On-Neck bearish Pattern "Piercing Line aur Thrusting Line Patterns" ka aik na-mukamal version hai, jo k bearish trend k baad banta hai. Ye pattern "In-Neck pattern aur Meeting Lines Pattern" se melta julta hai, lekin trend continuation ki waja se aur 2nd candle ki format ki waja se un se mukhtalif hai.

    Click image for larger version

Name:	images (727).jpeg
Views:	1
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12380385

    On-Neck Pattern Pe Trading


    On On-Neck bearish pattern qeematon k lower side pe banne k bawajood bhi bearish trend continuation pattern hai. Pattern ki 2nd white candle k black candle se lower pe close hona market me khareedaron ki aam-dilchaspi dekhati hai. Bearish trend confirmation k leye 3rd black candle ka intezar karna zarori hai, agar wo candle black banti hai, to ye sell ka signal hoga. Stop loss 1st black candle k top price pe set hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (2100).png
Views:	18
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12380383

    اب آن لائن

    Working...
    X