Introduction.
Dear friends Forex trading me money management ka hona bohut aham is waja se hai, q k is ka taluq hamare account ki safety se hai. Forex Trading me money management bohut zyada zarori hai. Hamen agar is pe amal karte hen to is tarah se hum bohut bare nuqsan se mehfoz reh sakte hen. Forex trading me money management is waja se bohut zyada zarori hai. Q k is me hum aone account ko wash hone se bachate hen. Aur agar hamari money management acha ho to hamara account bhi mehfooz hota hai. Money management kuch is tarah se karen k trade lagane se pehle us k nuqsan ka bhi tehmeena lagaye k agar nuqsan hota hai to mera account kitna bardasht karega.
Risk management in trading.
Dear friends Forex trading me hamare account ka balance 100$ ahi to hamen kabhi bhi apne account me 2% se ziada ka risk nahi lena chaheye. Is se forex trading me hamara account bohut had tak safe hota hai. 100$ k account pe 2% risk se murad ye hai k agar hamen forex trading me profit melta hai to wo bhi 2$ ka ho aur agar loss bhi ho to bhi hanen 2$ se zuada na ho. Is se kam az kam hamara account 98$ tak barqarar rehta hai. Lekin agar hum ziada risk lete hen aur 10% lete hen, jis me agar hamen loss bhi 10$ ka hota hai aur 10$ profit bhi hota hai. Forex trading me is zyada risk lene se hamara account unsafe hota hai. Is waja se hamen hamare account ko safe karne k leye money management ka sahi istemal karna chaheye.
Use of Stop Loss is Mandatory.
Dear friends trading main stop loss tool ka use krna chahye oska yah faida hota hai k humain loss bhi kam hota hai or humara account bhi secure rahta hai es liye humain apni trading main kamyab hona hai or money management qaim rakhni hai tu osk liye zarori hai k hum apni trade main stop loss ka use karen jis k bad hum apni rade main apny account ko sae rakh skty hain or os main achi earning kar skty hain or secure trading kar k acha munfa qama skty hain.
Points to be remember for money management.
Dear friends Jab ham trading plan bana rahy hon to is main jahan baqi planning kar ray hoty hain wahan per ye bhi decide kar rahy hoty hain ke hamara capital kitna hay aur ham nay kis pair main trading karni hay, is pair ka lowest lot use karny per kitna required margin hay aur is pair ki volatility, daily volume aur mojuda trend kia hay. Ye sab kuch hamain money management kay liye required hota hay.
Importance of Money management.
Dear friends Money management kay bad hamain jahan analysis kay bad trading start karny kay liye trend mil jata hay, wahi per hamain trend kay mutabiq safe trading ka moqa mil jata hay. Is tarah hamain lot size select karny, spread jan'ny, broker ka spread jan'ny aur pairs kay mojuda trend kay mutabiq he money management karna parti hay. Is tarah money management kay through ham earning bhi kar laity hain aur ager loss ho jaye to is loss ki bad main recovery bhi easy ho jati hay. Laikin jab ham money management kay baghair trading order open karty hain to is say kabhi kabhi earning to ho jati hay laikin is trading main ager loss ho jaye to kabhi kabhi account bhi wash ho jata hay.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим