Rising Window Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Rising Window Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Rising Window Candlestick Pattern


    Rising window patteren aik bullish trend continuation pattern hai, lekin baaz dafa ye double market sentiment analysis k leye bhi jani jati hai, pehli aik bullish impulsive lehar hai, aur doosri bearish price ki trend reversal hai. Yeh pattern aam tawar par supply and demand mein bullish trend ka tasalsul pattern hai. Rising window patteren main do bullish candlestick is baat ki numaindagi karte hen k buyers walay market k ooper mukammal control mein hen, jiss se price ki qader mein musalsal izzafa waqea hota rehta hai. Prices ka wese bhi bhi basic trend bullish ka hota hai, jo higher high levels ko tashkeel deta hai. Rising window patteren k leye prices ka bullish trend ka hona aham hai, q k ye prices ko mazeed ooper ki taraf push karta hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2061).png
Views:	2
Size:	12.7 کلوبائٹ
ID:	12516446

    Candles Formation


    Rising window pattern k leye prices ko upward semat ka hona zarori hai. Ye pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main dono candles bullish hoti hai, jo k bullish trend ya high prices ki alamat hoti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2060).png
Views:	3
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12516447

    1. First Candle: Rising window pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k normal real body main banti hai. Ye candle prices ka bullish trend ko zahir karti hai. Ye candle shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin lazmi bullish candle honi chaheye.

    2. Second Candle: Rising window pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle se ooper gap main banti hai. Candle ka close open price se lazmi ooper hona chaheye, jab k iss ka gap bhi pehli candle se wazih aur clear hona chaheye. Yani dono candles k wicks ya shadows candles k darmeyan main banne wale gap main ana chaheye.

    Explanation

    Rising window pattern prices main buyers ki market main strong hold ki sorat main banta hai, jiss main prices bullish trend k tasalsul ko barqarar rakhti hai. Pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil dono candles bullish hoti hai. Bullish candles k darmeyan upnside par aik wazih gap hota hai, jo k aik qisam ka bullish candles ka kicking pattern dekhaye deta hai. Pattern ki dono bullish candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k darmeyan banne waley gap ko koi candle (bashamole shadow) cover na kare. Bullish candles aksar market k darmeyan banne wale waqfay main banta hai, jiss me fundamental asarat ki waja se prices mazeed bullish jane ki koshash main hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2063).png
Views:	2
Size:	16.3 کلوبائٹ
ID:	12516449

    Trading

    Rising window pattern prices ko mazeed ooper push karne k leye jana jata hai, q k ye aik bullish trend continuation pattern hai, jo trend reversal pattern se ziada reliable aur accurate signals deta hai. Pattern ki dosri bullish candle ziada strong aur gap main banti hai, jiss se market main trend continuation ziada strong hoti hai. Pattern par trade entry karne se pehle aik bullish confirmation candle ki zarorat hoti hai, jo k real body honi chaheye. Jab k pattern k baad bearish candle banne par pattern ka tasur khatam hoga. CCI indicator aur stochastic oscillator par reading 50% se above honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower position ya pehli candle k bottom se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2062).png
Views:	5
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12516448
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Rising Window Candlestick Pattern

    Assalamu alaikum forex member ummid hai aap sab theek honge aaj ka hamara topic hai rising window candlestick pattern kya hai aur yah kis tarike se kaam karta hai is per Ham baat karte hain.

    Rising window candlestick pattern:

    Rising window can stick pattern ko Ham bahut jyada acche tarike se agar analyse karte Hain to pata chalta hai yah window hoti hai aur isko Ham dekhte hue rice karte hain up site per dobara jisko Ham rising window chemistry Patrick ke simple signals ko imagenery taur per Naam dete Hain aur iski pictures ko fall window ke tarike se dekhte hue iski help se dekhte hue simply taur per side build karte Hain jisko depend karta hai ki Ham rising window can stick pattern ko coverage Karke basic Ritu per message de Taki learn kar sake message ko aur isko support signals Ko dekhe jisko Ham score down kar sake.


    Click image for larger version

Name:	download (13).png
Views:	15
Size:	3.7 کلوبائٹ
ID:	12380216


    Formation:

    format ko window ko dekhte hue rising aur falling mein dekha jata hai jisse aapko bahut jaruri space ke through between real body mein show Kiya jata hai isase aapko do bodies ki candles ka pata chalta hai iske facts ka pata chalta hai window ko dekhte hue isko Shadow ko dekhte hue aap bahut acche tarike se overlap karte hain rising window ki price ke gap ko pharming ki during ab trend mein dekha jata hai aur dusra iski gap ko ab train mein dekhte hue raili taur per refer Kiya jata hai gap Apne aur iski rising window ko bahut acche tarike se appear Kiya jata hai price ki consultancy ko dekhte hue rising karte hain aur uske view ko police signal mein dekha jata hai aur isko bilkul bhi surprise Nahin Hota jab yah dekha jata hai rising window ki vecancy ko chart ke through longer time scale mein aur isko continuously pattern mein dekhte hue basically taur per Ham isko bahut acche tarike se insure karte hain pattern ko aur iske through aur isko understand Kiya jata hai aur TRAI Kiya jata hai ki isko jaan sake jisse kuchh small details ka pata chalta hai nind pata chalta hai aur finally delete kar chuke hote hain iske pattern ko aur isko Don gap mein likha jata hai aur usko easily support Kiya jata hai easily understand Kiya ja sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	download (14).png
Views:	1
Size:	6.5 کلوبائٹ
ID:	12380217

    اب آن لائن

    Working...
    X