Factors Including In "Technical Analysis" In Forex Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Factors Including In "Technical Analysis" In Forex Trading
    Assalam Alakium Dear members Technical analysis ko complete karna aapk liye most important hota hai. kyunk technical analysis market ki movement ko judge karny k liye perfect ho sakta hai. Successful trading karny k liye aapko hamesha kuch important factors aur techniques ko apni trading activities mein zaroor shamil karna hota hai. kun k jab tak ap trading ko properly study nai karty hai aur aur aik acchi entry ko find out nai karty hain, technical analysis ko perfect banana most important hota hai, to aap us waqt tak effective trading nai kar sakty hain. Successful trading karny k liye aapko following mentioned technique kafi zyada helpful ho sakti hain.

    Click image for larger version

Name:	IMG-20220325-WA0092.jpg
Views:	5
Size:	139.9 کلوبائٹ
ID:	12516438




    Market Trend :



    Market mein upward and downwards ka trend hota hai. Dear members Forex trading market main trend aapka friend ho sakta hai. kyunk agar aap trading karty huye trend ko focus aur calculate nai karty hain to aap kabhi bhi successful trading nai kar sakty hain. Isliye aapko market trend ki identification karny k liye important points ko apny mind mein rakhna hota hai.



    Resistance Level :



    Upward Trend k bad selling opportunity available ho sakti hai. Resistance level aik bahut hi strong level hota hai. Is level ko market touch kar k rebounce hoti hai. Jab aapko strong resistance level per aik reversal candlestick pattern ya phr Koi powerful bearish Pattern milta hai to aap market mein selling entry Ly kar bahut achcha profit hasil kar sakty hain.



    Support Level :



    Downtrend k bad aapko support sy acchi entries mil sakti hain. Jab aap Forex trading market mein enter hona chahty hain to aapko support level per bahut acchi buying opportunity available ho sakti hai. Lekin jab tak support level per aapko Koi reversal candlestick pattern ya koi bullish Candlestick pattern dekhny ko milta hai to aapko market mein buying trade Ly leni chahie. No doubt yah aik bahut acchi techniques hoti hai jo successful trading k liye helpful ho sakti hai.



    Fibbonacci Level :



    Fibbonacci Retracement indicator k different levels bhi aapk liye helpful ho sakty hain. Dear member jab aap technical analysis complete karty huye aik acchi position per Fibbonacci retracement indicator ko apply karty hain to aisi situation mein iski Golden Ratio ky level kafi strong hoty hain. Fibbonacci retracement indicator ky level ki market kafi respect karti hai, isliye aapko in level ki identification karni chahie.



    Formation Of Channel & Wedges :



    Dear members aapko forex market mein successful trading karny k liye aapko hamesha channel formation process or rising falling wedge pattern ko acchi tarah understand karna hota hai. kyunk channel formation process aur isk breakout per aapko bahut acchi confirm entry milti hai. Eisi situation main aapko bahut zyada profit mil sakta hai.



    Median Line :



    Channel aur wedge mein jab ap channel formation process ko learn karty hain to channel kay mid point ko median line kahaty hain. Yah level bhi kafi strong level hota hai jiski market respect karti hai.



    Discussion Results :



    Forex members, above-mentioned trading strategy ki base per aap achcha profit hassil kar sakty hain. Lekin jab aap market mein enter hoty hain to fundamental analysis ko bhi zarur carefully focus karna hota hai. kyunk aapki aik choti se mistake aapk liye bahut zyada dangerous hai aur aapko bahut zyada problem ho sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Factors Including In &quot;Technical Analysis&quot; In Forex Trading

    Technical Analysis


    Technical analysis is baat ka mutalea hai ke azadana tor par trading ki jane wali markets mein qeematein financial tools mein qeematon ki naqal o harkat ki recording ke zariye, aam tor par graph shakal mein kaisay bartao karti hain. Yeh un qeematon ke dhanchay ke andar duhrai jane wali charts aur patterns ko pehchanney ka fun bhi hai jin ki numaindagi chart ke zariye ki jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (616).jpeg
Views:	12
Size:	34.4 کلوبائٹ
ID:	12380196

    Technical Analysis k Rules

    1. Technical analysis k leye forex trading main sirf technical tools ka hi istemal kia jata hai, jo k technical indicators, charts pattern aur candlestick patterns par mushtamil hota hai.
    2. Technical analysis main lagging aur leading indicators hote hen, jese trader apni marzi k mutabiq adjust kar sakte hen.
    3. Technical tools 100% exactly ya to the point indication nahi deta hai, ye sirf traders ko markets ki fast calculation ka result muhaya karta hai.
    4. Sirf aik indicator par market main buy ya sell nahi karna chaheye, bulkeh aik sath do ya teen indicators ka istemal karna chaheye.
    5. Lagging aur leading indicators ka istemal aik sath nahi kia jata, q k is se achah result mushkil se hasil hota hai.


    Pattern ki Tafseel


    Technical analysis us nazriya par mabni hai ke markeets afra-tafri ka shikaar hain ( koi bhi yakeeni tor par nahi jaanta ke agay kya hoga ), lekin is ke sath hi, qeemat ki karwai mukammal tor par be tarteeb nahi hai. Dosray lafzon mein, mathematically afra-tafri ka nazriya saabit karta hai ke afra-tafri ki haalat mein qabil shanakht patterns hotay hain jo dohratay hain.
    Is qisam ke afra-tafri ka rawayya fitrat mein mausam ki passion goi ki soorat mein dekha jata hai. Misaal ke tor par, ziyada tar trader tasleem karen ge ke jab qeemat ki durust harkat ki passion goi karne ki baat aati hai to is mein koi yaqeen nahi hai. Nateejay ke tor par, kamyaab trading sahih ya ghalat honay ke baray mein nahi hai : yeh sab imkanaat ka taayun karne aur tijarat karne ke baray mein hai jab mushkilaat aap ke haq mein hon. Imkanaat ka taayun karne ke aik hissay mein market ki semat aur kab / kahan position mein enter hona hai is ki passion goi karna shaamil hai, lekin itna hi ahem aap ke khatray se inaam ke tanasub ka taayun karna hai.
    Yaad rakhen, technical indicators ka koi jaadoyi majmoa nahi hai jo kisi qisam ki khufia trading hikmat e amli ko khol day ga. Kamyaab trading ka raaz acha risk managment, nazam o zabt aur –apne jazbaat par qaboo panay ki salahiyat hai. koi bhi sahih andaza laga sakta hai aur har aik waqt mein jeet sakta hai, lekin risk managment ke baghair waqt ke sath munafe bakhash rehna amli tor par namumkin hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X