Pivot point ...
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pivot point ...
    [B]Aslam o alikum [/B]

    Introduction

    Dear members umeed krta hu k ap sab khairiyat se honge aur apna Kam samajhdar hi ke sath successfully kar rahe honge aj ka hamara topic hai pivot point in forex trading ..

    Pivot point

    Pivot point technique support or resistance levels ka ta'ayun karny ka tareeka kaar hai. Ye amoomoi tor par day traders es tareeky ko istemaal karty hain. Pivot point technique ka istemaal kar ka day traders daily market price ke range ka andaza lagaty hain. Ye technique ess liey bhe use ke jaayi hai kay ess sy breakout confirmation ka bhe pata chalta hai.

    Pivot point us level ke numaindge karta hay jahan market ke direction change hoti hay ya change ho rahi hoti hai. Sada see calculations jesy High, Low aur pichle din ke close price sy aap chand points nikaal sakte hain. Aur jo points aap nikaalty hain wo points mumkina torrvpar crucial support aur resistance levels bann sakty hain. Aur jo points hum calculate karte hain enko ko pivot point levels bhe kehty hain.

    Koi bhe trading kay din trader apni marzi kay din select kar kay us din kay market ke price kay high, low, open aur close price ke ko select karta hai phir es data ko pivot points ko calculate karney kay liey istemaal kiya jaata hai. Kun kay pivot points easily calculate ho jaaty hain esi liey es liey ye kafi zaida traders main maqbool hua hai. Ab main aap kay sath pivot points ko calculate kafny ka formula share karta hun.

    How To Calculate Pivot Points

    Bahut saary traders pivot points par kaam karte hain jo ess baat ka saboot hain kay market pivot points ko follow karti hai. Pivot Points sy traders ko market main enter hony kay liey bhetar mawaky milty hain. Agar koi trader khud sy pivot points nikaalnaa chahy to eska formula mandarja zail hai

    Pivot Point = (High + Low + Close) / 3
    Resistance 3 = High + 2×(Pivot - Low)
    Resistance 2 = Pivot + (R1 - S1)
    Resistance 1 = 2 × (Pivot - Low)
    Support 1 = 2 × (Pivot - High)
    Support 2 = Pivot - (R1 - S1)
    Support 3 = Low - 2 × (High - Pivot)
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Pivot point ...

    Pivot Point


    Pivot point mukhtalif timeframes ka istemal karte howe price points par mabni qeematon ki agli movement batata (prediction) karta hai. Pivot point intehaye ziada ya kam (extreme high or low) qeemat hoti hai, jo trend k leye aik nehayat aham mor (turning point) sabit hoti hai. Pivot point k leye qeematon ka wazih hona aur chart pe numaya pe numaya dekhna chaheye. Kisi bhi timeframe me qeematon ki agli mutawaqa (projected) sab se kam ya sab se ziada qeematen pivot point hoti hai. Pivot point trading system ko as a indicator hum short aur long term ki dono trading me istemal kar sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2047).png
Views:	6
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12380113

    Pivot Point ki Mutawaqa Qeemat Malom karna


    Pivot point k mutawaqa qeematon ko malom karne k leye panch (5) marahel (steps) hen;
    1. Pehle aaj ki average price malom karen (A), pehle, aaj ki sab se ziada qeemat, aaj ki sab se kam qeemat aur aaj ki close qeemat ko jama (+ or pkus) karen, pher is ko teen pe taqseem (÷ or divided) karen
      A = (H + L + C) / 3
    2. Agli mutawaqa High qeemat jo "A" (aaj ki average price) k dugne se aaj ki low qeemat ko mnafi kia jayega,
      2A - L
    3. Agli mutawaqa Low qeemat jo "A" (aaj ki average price) k dugne se aaj aaj ki high qeemat ko manfi kia jayega,
      2A - H
    4. Agli aaj ki mutawaqa sab se intehaye ziada (high) average price (A) plus aaj ki actual price range,
      A + (H - L)
    5. Agli aaj ki mutawaqa sab se intehaye kam (low) average price (A) minus aaj ki actual price range,
      A - (H - L)


    Pivot Point aur Reverse Trading


    Pivot point trading system ka istemal minor trend semat ko malom karne k leye bohut asaan hai. Top Pivot point us waqat high hoga jab qeematen pechle high point aur agli mutawaqa high point se ziada hon. Isi tarah Bottom Pivot point us waqat low tasawar hoga, jab market ki qeematen pechli low point aur agli mutawaqa low point se kam hongi. In pivot points me se koi aik mamoli trend semat me reverse jane ka signals deta hai. Market ki closing price trend reverse ki confirmation k system ko behtar banati hai.

    Pivot Point pe Trading


    Pivot point market me qeematon k agli mumkina high aur low positions batati hai, is waja se traders na sirf pivot point ko as a trend identify indicator (trend continuation & reversal) istemal karte hen, bulke ye humen qeematon k support aur resistance levels k bare me bhi mukamal tafseel muhaya karta hai. Pivot point ki mumkina high price ko hum resistance levels k tawar par jab k low price ko support levels k tawar par istemal kar sakte hen.
    Pivot point ka istemal short term aur long term ki trading k leye to same hoga lekin timeframe ya short time k leye market me entry ki waja se dono me thora sa faraq a jata hai. Pivot point aur fabonacci retracement ki formation taqreeban same hai, q k dono horizontally market me lines draw karti hai, lekin fabonacci retracement me mukhtalif levels hote hen, jab k pivot point me aisa nahi hota hai. Is me agar top point se qeematen breakdown karke lower ati hai, to yahan pe sell ki entry hogi, same procedure buy trade k keye bhi hoga, agar qeematen support level ko breakout karke upper ki taraf jati hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X