Trade with Support and Resistance Levels

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trade with Support and Resistance Levels
    What is Support & Resistance in Forex

    Support aur resistnace market ki movement per create hony waly levels hoty hain jo ky market aik fix time main maximum aur minimum level tak movement ker rehi hoti hai ky jab market dobara wahan per ponchti hai tou reversal ky bhi bahot zyada chances hoty hain agar ham forex market main trade kerty hain tou hamain pata hona chahiay ky support aur resistance kia hain aur yeh kitni important hain ky ham in ko apni trading main use kerty huey kesy faida hasil ker sakty hain tou support market ki movement main create hony wali aesi position hai ky jab market downtrend main movement ker rehi hoti hai aur kisi point sy bar bar retracement ly ker upward movement shoru ker deti hai tou aesy point ko support kehty hain ky market jab bhi same point per jati hai tou reversal ky bahot zyada chances hoty hain isi terha jab market uptrend main movement kerty huey kisi aik point sy bar bar reverse ho rehi hoti hai tou same point ko resistance kehty hain ky jab bhi market movement kerty huey same point per ponchti hai tou reversal ky chances bahot zyada hoty hain jis per ham trade ker ky profit hasil ker sakty hain

    Click image for larger version

Name:	1.jpeg
Views:	15
Size:	42.9 کلوبائٹ
ID:	12516283

    Levels of Support & Resistance in Forex

    Jab market open hoti hai tou woh kisi aik direction main movement ker rehi hoti hai jo upward direction main movement bhi ho sakti hai aur downward bhi tou same movement jis direction main ho rehi hoti hai usi direction main market ki movement ko market ka trend kehty hain ky agar market bar bar downward retracement ly ker overall movement uptrend main ker rehi hoti hai tou woh bar bar kuch resistances ko break ker rehi hoti hai aur downtrend main movement kerty huey market bar bar small supports ko break ker rehi hoti hai tou yeh small supports and resistances ky levels hoty hain jin ko market break kerty huey apni maximum support ya resistance per ponchti hai aur jahan sy market ka reverse hona ya trend ka change hona confirm hota hai ky jab market maximum support ya resistance per ponchti hai tou zarur retracement leti hai aur trend change ho jata hai

    Click image for larger version

Name:	level.png
Views:	12
Size:	166.7 کلوبائٹ
ID:	12516284

    How to Trade with Support & Resistance

    Forex market main short term traders ya scalpers support aur resistance ko bahot zyada importance dety hain ky market jab support per hoti hai tou buy main trade open ker lety hain aur jab resistance per hoti hai tou sell main trade open kerty hain aur bahot kam time main bahot achi earning ker lety hain lekin long term traders just market ky trend ko follow kerty huey trade open and continue kerty hain so agar support aur resistance per reverse order main trade open ki jaey tou same support aur resistance ky breakout per stoploss lagana bahot zaruri hota hai ky agar support ya resistance break hoti hai tou phir market same order main next support ya resistance tak zarur movement kerti hai tou trade open rehny ka loss ho sakta hai so breakout per stoploss hit hony ky bahd same forward order main trade open ker ky next support ya resistance tak continue ki ja sakti hai

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	1
Size:	11.2 کلوبائٹ
ID:	12516285

    Recommendations for Successful Trade with Support & Resistance

    Jahan ham forex market main support aur resistance sy reverse direction main intant orders open kerty hain wahan pending orders ko bhi use kerty huey apni trade continue kerty hain tou isky liay support aur resistance bahot zyada importance rakhti hain ky agar ham limits main pending orders apply kerna chahty hain tou same support aur resistance sy reverse order main ham limit pending orders set ker dety hain jabky agar ham stops pending orders set kerna chahty hain tou hamain same stops orders forex market main support aur resistance ky breakout per set kerny hoty hain ky agar market support ya resistance sy reverse hoti hai tou wahan per limit orders hamain profit dety hain jabky agar market kisi support ya resistance ko break kerti hai tou wahan per stops pending orders hamain profit dety hain ky breakout kerty hi hamari trade open hony ky bahd market ki same order main hony wali movement perh hamain bahot achi earning ho jati hai lekin her pending order ko bhi her surat main limit kerna chahiay ky hamain same order main bhi stop loss aur take profit set kerni chahiay ky agar koi pending order active ho jata hai tou aesa na ho ky kuch time ky liay hamari favor main market movement kery aur phir reverse ho ker market hamary account ko hi wash ker dy

    Click image for larger version

Name:	trade.png
Views:	20
Size:	371.3 کلوبائٹ
ID:	12516286
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Trade with Support and Resistance Levels

    Support and Resistance


    Technical analysis market main stock ki musttaqil ki qeemmat ka tayyun karne k leye bohut sare tasawaraat ya concepts ka istemal karte hen. Jab bhi stock ki qeemat pehlle se tay shudda qeemat k points se takra jatti hai, to wo ruk jatti hai, aur pher mukhalif semmat main harkat karnne lagtti hai.
    Support level: Ye wo satah hai jiss par stock ki qeemat mazzeed nechay nahi atti hai. Yahan se qeemat k bounce back ya bullish janne ka imkaan hai. Ye aik aisee satah hai jahan buyers ki demand sellers ki nisbbat bohut ziadda honne ki ummeed hai.
    Resistance level: Ye satah support level ki opposite kaam karta hai, jisbmain qeemat aik khas upper had se mazzeed upper nahi jatti hai. Stock ki qeemat k is point par buyers ki jagah sellers se market main ziadda dilchaspi ki tawaqqa hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2026).png
Views:	6
Size:	14.2 کلوبائٹ
ID:	12380004

    Support Level Kia hai?


    Candlesticks Pattern par support aur resistance levels ki nishan-dahi karnne se aap market main buy aur sell trades k leye apnna haddaf muqarrar kar sakte hen. Support price wo qeemat hotti hai, jiss par aap sellers ki nisbbat market main bayers ki ziadda dislchaspee dekh saktte hen. Support levels par trades ki market main stock k leye demand barh jatti hai, jiss se prices ki wapis morne ki tawaqqa hotti hai. Support levels par stocks ki qeematen gerr jatti hai, jiss se market main is ki demand main izzafa hotta hai.

    Resistance level kia hai?


    Candlesticks chart pattern par resistance wo satah hotti hai, jahan par buyers ki jaggah sellers market main ziadda mutaharek ho jatte hen. Ye market main qeemat ko mazzeed upper janne se roktti hai, aur us stock k leye ziadda se ziadda demand peda kartti hai, jiss se market main selling pressure par jatta hai. Resistance level se upper par ye selling indicator k tawar par kaam kartta hai. Resistance level support k opposite par prices k top area main trading kartti hai.

    Breakout in levels


    Support aur resistance levels trader ko market mein kisi stock ki qeemat ki up down harkat ka aik idea detta hai. Lekin ye zarrori nahi hai, k qeematen sirf inhen do levels ki darmeyyan hi upper nechay hongi, bulkeh ye levels breakout bhi ho saktti hai. Jab bhi aisa hotta hai, yanni support aur resistance levels breakout ho jatti hai, to aik nayye support aur resistance levels bantti hai.
    Jab bhi support level breakout ho jatti hai, to qeematen uss waqqat tak downward harkat kar rahee hotti hai, jab tak wo aik naye support level na banna de. Isis tarah se jab bhi resistance level breakout hotti hai, to qeematen uss waqqat tak blish ya uptrend par chal rahee hotti hai, jab tak k wo aik nayye resistance level na banna de.

    Click image for larger version

Name:	images (678).jpeg
Views:	8
Size:	49.4 کلوبائٹ
ID:	12380005

    Reliability of Support & Resistance


    Support aur resistance levels prices k leye buy aur sell k indicator ka kaam kartte hen, lekin app ko iss par mukamal inhissar nahi karnna chaheye. Dosree taraf wo sirf indicators hen, aur koi bhi indicator 100% reliable nahi hotta hai. Support aur resistance ko buy aur sell k leye istemal karnne se pehle market ki achi tarah se confirmation kar leyya karren.

    Use in Technical Analysis


    Forex trading market main aik trader k leyye stock ki aggli mumkina qeemat maloon karna technical analysis main sab se aham aur mushkil kaam hai. Financial markets main ye mumkinn nahi hai k har daffa hi humari high ya low prices k bare main analysis perfect hon. Is waja se support aur resistance ka concept qeemat k movement k barre main kaffi achih malomat faraham kartta hai. Support aur resistance k levels traders k leye trends ki nishan-dahi karnne aur trade entry main maddad kartti hai.
    Aggar trader dekhtta hai k aik khas stock support level par a gayya hai, to wo market main buy ki entry kar saktta hai. Is ki waja ye hai k matlobba stock ki demand main izzafa mumkin ho saktta hai, jiss se us ki value main izzafa ho saktta hai. Isi tarah jaise jaise stock resistance level ki tarraf ki taraf barhta hai, to traders sell karne se faida hasil kar saktta hai.
    Jab bhi stock ki qeematen support aur resistance levels tak pohunchi hai to us waqqat bohut ziadda muhtat rahen q k in levels par volitilety bohut ziadda ho jatti hai. Support aur resistance level traders ko trend ki nishan-dahi aur is se faida hasil karnne ka muqqa faraham kartta hai. Ye baat zehen nasheen karr len k stock aggar in levels tak pohunchti hai to is ka matlab ye nahi hai k wo lazzmi reversal jayegi, bulke ye breakout bhi ho saktti hai, is waja se analyst k tawar par aap ko sirf in levels par mukamal inhisar nahi karna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	images (677).jpeg
Views:	3
Size:	47.5 کلوبائٹ
ID:	12380006
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Trade with Support and Resistance Levels

      Assalamu Alaikum! Dear seniers and juniers, umeed ha k ap sab kheriat sa hon ga or forex pa a6a quality work kr k forex market sa daily basis per ak acha gain kr raha hon ga.or meri duva ha k ap forec market sa a6a gain karan or success hasal karan ap ki success sa forex market or forex members 2no ko bht fida hasal hoga.


      Click image for larger version

Name:	How-to-Trade-with-Support-and-Resistance-Levels-.png
Views:	15
Size:	302.8 کلوبائٹ
ID:	12380010support level

      Jab qeematein girty hain to, simt tabdeel hoti hain, aur izafah hona shuru hota hai to madad millti hai. . support ko aksar" farsh" ke tor par dekha jata hai jo qeematon ki himayat karta hai, ya usay rokta hai.

      Click image for larger version

Name:	Bearish-Mat-hold.png
Views:	7
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12380008
      Resistance level

      muzahmat qeemat ki satah hai jahan barhti hui qeematein ruk jati hain, simt tabdeel hoti hain aur girna shuru hojati hain. .


      Click image for larger version

Name:	support-and-resistance-level-flat-icon-vector-26458459.jpg
Views:	4
Size:	70.0 کلوبائٹ
ID:	12380009Support level or resistance kevel ka istemaal .

      muawnat aur muzahmat kaleedi tasawurat hain jo taajiron ko maliyati mandiyon mein chart ke namonon ko samajhney, tajzia karne aur un par amal karne mein madad dete hain. . support qeemat ki satah ki wazahat karti hai jahan asasa mein izafay ki maang ki wajah se aik ڈاونٹرینڈ ruk jata hai, jabkay muzahmat is satah se morad hoti hai jahan farokht ka amal hota hai. .
      bunyadi tasawwur .
      tijarti satah ki himayat aur muzahmat ke tasawurat bilashuba takneeki tajzia ki intehai zair behas do khususiyaat hain. . chart ke namonon ka tajzia karne ka aik hissa, yeh sharait taajiron ke zareya chart par qeemat ki satah ka hawala dainay ke liye istemaal ki jati hain jo rukawaton ki hesiyat se kaam karti hain, aur kisi asasa ki qeemat ko kisi khaas simt mein dhakelnay se rokti hain. .

      pehlay to, un sthon ki nishandahi karne ke peechay wazahat aur khayaal aasaan maloom hota hai, lekin jaisa ke aap ko pata chal jaye ga, himayat aur muzahmat mukhtalif shaklon mein askati hai, aur is tasawwur ko pehlay zahir honay se kahin ziyada mahaarat haasil karna mushkil hai. .
      ghair mulki currency ki himayat aur muzahmat f x taajiron ko behtar tor par samajhney ki ijazat deti hai ke tijarat mein kahan daakhil hon aur bahar nikleen, un ke khatray ki numayesh ko kam karen aur inaam ke tanasub ke mawafiq khatrah se faida uthayen. . nazriya ko amli jama pehnanay ke liye himayat aur muzahmat ke sath tijarat par mazeed parheen. .


      kaleedi teekay .
      takneeki tajzia car kisi chart par qeemat ke maqamat ki nishandahi karne ke liye muawnat aur muzahmat ki satah ka istemaal karte hain jahan imkanaat aik waqfay ya murawaja rujhan ke ulat jane ke haq mein hain. .
      himayat is waqt hoti hai jahan maang ki hirasati ki wajah se kami ki tawaqqa ki jati hai. .
      muzahmat is waqt hoti hai jahan supply mein hirasati ki wajah se, اپٹرینڈ se earzi tor par ruknay ki tawaqqa ki jati hai. .
      market ki nafsiat aik ahem kirdaar ada karti hai kyunkay taajiron aur sarmaya karon ne maazi ko yaad kya aur mustaqbil ki market ki naqal o harkat ki tawaqqa ke l- conditions halaat ko tabdeel karne par radd amal zahir kya. .
      trained lines aur chalti ost ka istemaal karte hue chart par support aur muzahmat walay ilaqon ki nishandahi ki ja sakti hai. .

      اب آن لائن

      Working...
      X