Bollinger bands Studies
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bollinger bands Studies
    Explanation.

    Friends Bollinger bands aik asa Indicator hy jis sy hamen trend ko analyse krne me bht faida ho sakta hai but hamen completely indicators pe depends nhi rehna chahiye q k jab ham completely indicators pe depends rhen ge to ham kabhi bhi kamyab nhi ho saken ge Is liye hamen khud se apme experience aur skills se trend ko analyse krna chahiye ta k ham kamyab ho saken bollinger band main trade lagana chahte hai to aus k liay hum ko ais mai sabse phly to dekha chaye k hum jo short term trading k liay use kar rahy hai ais mai hum ne time frame kon sa use karna hai aus k baad hum ko ye dekhna chaye k hum ne ais mai simple scalping trade hi lagani hai ye ni hai k trade laga k beth hi jaye aor baad mai hum wo trade phansa k beth jaye agar hum ne ais strategy k hisab se entry leni hai to jab bhi bollinger band upper band ko touch kare to hum ko sell laga deni chaye aor jab market center band ko touch kary to ap ko ya to trade close kar deni chahiye ya phir ap ko trade ka stop loss entry point par laga dena chahiye ais se ye ho ga k ap ki trade secure ho jaye gi ais se apka account slow slow growth hota jayega agar hum ais mai entry lety hai to hum ko ais mai sath to aor sl lagana chahiye kun k ais mai ye hai k hum ko ais mai tp aor sl lazmi lagana chahiye kyunki ais mai agar market ais ko break kar deti hai aor ap ki trade loss mai jana start ho jati hai to aus mai ap ko trade time k sath close ho jaye to faida hota hai. ais mai agar ap ne sell wali trade lagai hai to ap ais mai sl bollinger band k bahir lagana chaye aor tp1 center band k sath lagana chahiye aor tp2 lower band k sath lagana chahiye.

    Click image for larger version

Name:	BollingerBandsESbasics.gif
Views:	11
Size:	29.7 کلوبائٹ
ID:	12516153

    Helps in finding trend.

    Bollinger band indicator famous indicator hai Ham market Mein trend ko find karne ke liye is indicator ko use karte hain bollinger band indicator ko Hamen easily samajh sakte hain ya koi difficult indicator Nahin Hai Hamen isko achi tarike se samajhna chahiye Hame Aisi indicator ke bare mein Achcha experience knowledge Hona chahie Agar market Mein bollinger Band indicator close ho to yah market ki Low volatility Ko show karta hai.

    Bollinger Bands Indicator.

    Bollinger bands market price ka ak envelope hota ha jis man market price move kerti ha. Bollinger Bands indicators ko Bollinger na develop kia han. Bollinger Bands indicator man upper aur lower levels hota hai jo k positive aur negative standard deviation hoti ha aur central level "simple moving average" jo past 20 period ki price ka average batati ha.

    1. Jab b market price upper ya lower band ko touch karti ha to ye pher dosra band ki taraf move kerna start kerti ha. Market price ki bands k dermiyan movements ki swings per trading ker k ak acha gain hasil kar sakta ha. Is swing ko scalping strategy man use kar k trader bhot acha gain hasil kerta han. Is liye Bollinger bands indicators Scalper ka favorite indicator ha jo un ko ameer kar deta ha. Bollinger bands indicators man swing per short term trading kerta han.

    Click image for larger version

Name:	bollinger-bands-strategy.jpg
Views:	4
Size:	210.8 کلوبائٹ
ID:	12516154

    2. Bollinger bands indicator k bands k darmiyan distance ager normal sa berh raha ho to iska matlab ha k market ka cuurent trend reverse hona lagaha aur is per trade long term ki trader ker sakta ha.

    3. Ager market price Bands ko move-out kara to iska matlab ha k market price ka current trend further continue raha ha ga aur ye market trend ki continuation ka signal hota ha.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bollinger bands Studies

    Bollinger Band Indicator


    Bollinger band indicator ko John Bollinger ne tayar kia tha, aur pehle is ko Bollinger on Bollinger ka naam deya gaya tha. Bollinger band indicator k technique me teen band (lines) ko bunyadi security (currencies, stocks, commodities) k OHLC (open-high-low-close chart) baar chart (ya candlestick chart) k oper (on top) charaya (overlaying kia) jata hai.
    Bollinger band ka darmeyana (central) band (line) trader ki muntakhib karda moving average index ka rozana (daily) band (close) hone ki aik sada (simple) calculated moving average hai. Bollinger band ka uper (top) aur necahy (bottom) band (line) central moving average k oper (on top) aur nechay (lower) chalne wale standard diviation hen. Chonkeh standard diviation uttar-charao (up and down) ka aik pemana hai, lehaza bands (lines) khud ko adjust karte hen. Bands tez market (volitile or fast market) me phel (wide spread) jate hen jab k mandi k dowran qareeb ho jate hen. Bollinger band indicator short-term trading k leye 10-days, medium ya darmeyana mudat k leye 20-days aur long-term trading k leye 50-days tak achay natayej deta hai. Ye dowraneya stocks aur bonds k leye hen, commodities aur currencies k leye is ko mazeed kam rakha jayega.
    Bollinger band ko do (2) mukhtalif muntakhib karta trader k variable input ki zarorat hoti hai; moving average index me dino (days) ki tadad aur standard deviations ki tadad ki jo k moving average k oper (on top) aur nechay (lower) plot keye jate hen. Rozana ki bunyad per din k akhtetam par taqreeban 95% trades in teen (three) standard deviation k daryan hoti hen. Dosre parameter ki aam value 1.5 se 2.5 standard deviation tak hoti hai.
    Jaisa k moving averages aik envelopes banati hai, Bollinger band indicator ka basic tareeqaykar ye hai k qeematen uper aur lower band k darmeyan ya andar rehti hai. Bollinger band indicator ki aik khas hososeyat ye hai k qeematon k utaar-charo ki bunyad par band k darmeyana faisla mukhtalif hota hai. Qeematon me bohut ziada utaar-charo (fast volitilety) k dowran, band ziada qeematon ko apne andar samane k leye wasee ho jata hai. Market ki mustahkam qeematon (kam volitilety) k dowran bands qeematon par qabo pane k leye tang (narrow) ho jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (694).jpeg
Views:	2
Size:	33.3 کلوبائٹ
ID:	12380122

    Bollinger Band Indicator ki Hososeyat

    1. Band k tang (narrow) hone k bad qeematon me shadeed tabdeeli hoti hai, q k utaar-charo (volitilety) kam ho jati hai.
    2. Jab qeematen bands se bahir nikalti hai, to ye mojoda trend k tasalsul (continuation) ko zahir karti hai.
    3. Bands k bahir wale bottom aur tops (necahy - uper) ko agar band me maojood bottom aur tops follow karte hen to ye trend k wapasi (reversal) ko zahir karte hen.
    4. Aik aisi qeemat jo aik band se shoro hota hai aur dosre band pe ja k jati hai, qeemat ki matloba hadaf k leye ye mushahida (observation) bohut kar-amad (useful) hai.


    Click image for larger version

Name:	images (695).jpeg
Views:	20
Size:	33.0 کلوبائٹ
ID:	12380123

    Bollinger Band ka dosre indicators k sath istemal


    Bollinger band indicator khud se khareedo-ferokht (buy or sell) k signal tayar nahi karta hai. Is ko dosre indicators k sath istemal karna chaheye, aam tawar par Relative Strength Index (RSI) indicator k sath. Is ki waja ye hai k jab qeemat kisi aik band ko choti (touch) karti ahi to ye do (two) cheezon me se kisi aik cheez ki nishan-dahi karti hai; trend ka tasalsul (continuation) ya trend ki wapasi (yani rade-amal). Bollinger band indicator ka akele (themselves) istemal traders ki zaroreyat ko pora nahi kar sakta, kab k kab khareedo-ferokht (buy or sell) karna hai. MACD indicator ko Bollinger band aur RSI k sath istemal kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2048).png
Views:	5
Size:	12.4 کلوبائٹ
ID:	12380124

    اب آن لائن

    Working...
    X