Assalamu Alaikum Dosto!
PIPs
Forex trading me pips se murad wo value hai jo kisi pair ki movement k dowran changes ko zahir karti hai. Jab bhi market me kisi pair ki movement hoti hai to is se murad pips ki changing hoti hai. Agar market ki aik pair ki pips ki movement positive hoti hai to us se murad hota hai k ye pair ki uptrend hai aur market ki movement downward hoti hai to pips pair ki kam hoti hai. Jitni ziada pips ki movement hoti hai utni hi ziada market ki up down movement ki teezi show karti hai. Forex trading market me buy aur sell k darmeyan jo difference hota hai jis ko spreads kaha jata hai wo pips ki sorat me hi hota hai.
Pips ki Identification
Financial market ya forex trading main pips ko malom karna aik asan sa tareeqa ye hai, k jo value aik currency jore ki di gaye hoti hai, uss main point ya ishare k baad chotha ya fourth digit uss currency pair ka single pip hota hai. Misal k tawar par agar aik currency pair EURUSD ki maojoda value 1.1531 hai, to iss main point k baad banne wala 1 ka digit aik single pip hai, jab k iss k baad 3 ka digit pip ka multiplier by ×10 hota hai, yanni ye 30 pips k barabar hai. Agar hum complete EURUSD ki 1.1531 ki value ki baat karen to ye pora 11531 pips k barabar banta hai.
PIPs aur Lots Size
Forex trading market me lot size se pips ka bara taluq hota hai, jitna hum lot size ko increase karte hen to is se pips ki value increase hoti hai jis se murad hai k aik bare lot size se pips strong hota hai aur jab k small lot size pips ki weak hota hai. Agar incase hamara lot size 1 ho to aik pip ki movement se 10$ ki difference ata hai lekin agar market me lot size hum 0.001 (jo sab se small lot size hai) ka istemal karte hen to aik pip ki movement se account me 0.01$ ki faraq ata hai.
Pips aur Spreads ka Rishta
Forex trading market pips ka har aik pair me mukhtalif movement hoti hai, kisi pair me ye movement 3 digits pe hota hai aur kisis me ye pair 6 digits pe bhi hota hai. Forex trading me pair ki movement se lot size ki movement se hota hai. Spreads ziada hone se pips ki ziada faraq hota hai jo k hamare leye nuqsan deh hai. Pips ko sahi andaza hona chaheye, ta keh hamare pair jis pe trade karte hen us se hamen faida mel jaye.
Pips ka Trading main Istemal
Forex trading main pips ka trading k leye aik aham juzz tasawar kia jata hai, q k iss ki hi ki madad se during trading hum apne trades k take profit aur stop loss ka intekhab karte hen. Pips ki calculation aik aham hisa hai, ye humen kuch sites ya apps main bana banaya bhi mel jata hai, jab k hum khud bhi apne trading manage aur risk management k hisab se iss ko tarteeb de sakte hen. Pips ki movement asal main trend ki movement hoti hai, ye bullish ya positive jane se assets ki value main izzafay ka bahis hoti hai, jab k negative ya bearish ki alamat downward ka signal hota hai.