How to Trade with RSI Technical Indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to Trade with RSI Technical Indicator
    Trading Indicators In Forex

    Forex market hamesha kisi na kisi rule ko follow kerty huey movement ker rehi hoti hai lekin same rules ko samajhny ky liay hamain kisi aik indicator ki zarurat hoti hai jo hamain market ki current position per jo rule follow ho raha hota hai usky bary main inform kerta hai aur hamain agar same rule ka knowledge ho tou ham same rule ky mutabiq market ki movement ki prediction kerty huey trade open kerty hain aur acha profit hasil ker lety hain lekin same indicator jo hamain rules ky bary main indication deta hai usko technical indicator kehty hain jo forex market main bahot sary technical indicators use ho rehy hain jinka hamain agar pata ho ky konsa indicator zyada successful hai tou ham same indicator ko use kerty huey trade continue ker ky profit hasil ker sakty hain jesy ky RSI in sab main best technical indicator hai jis per trade kerna bahot easy hai jis ko ham following paras main detail main discuss kerain gy

    Click image for larger version

Name:	indicators.jpg
Views:	11
Size:	311.1 کلوبائٹ
ID:	12516007

    Relative Strength Index (RSI) Technical Indicator

    Forex market ky main chart main hamain relative strength index by default set milta hai ky agar ham same indicator ko customize nehi kerty tou default main iski setting 30 aur 70 per hoti hai jo risk ky level ko bahot kam ker deta hai ky agar market 70 sy above ho tou sell main trade open kerny per market ki reversal per profit hasil ho jata hai isi terha agar market 30 sy below ho tou same time per buy main open ki jany wali trade main profit hasil hota hai lekin agar ham risk ky level ko zyada kam kerna chahty hain tou relative strength index ki setting ko 20 aur 80 per adjust ker dety hain jabky agar ham risk free trade kerna chahty hain tou ham same indicator main setting 00 to 100 ker dety hain ky jab market 00 per ho tou buy main open ki jany wali trade main her surat profit hasil hota hai aur jab 100 per ho tou sell main open ki jany wali trade main profit hasil hota hai kyun ky RSI ki indications main hamain sure ho jata hai ky agar market oversold ya overbought ho chuki hai tou reverse direction main bhi lazmi movement kery gi jis per trade open kerny per profit hasil kia ja sakta hai

    Click image for larger version

Name:	rsi.jpeg
Views:	12
Size:	18.8 کلوبائٹ
ID:	12516008

    Trade with RSI Indicator

    Relative strength index main jab market oversold ya overbought ho jati hai tou market ki reverse direction main movement confirm hoti hai jab market main same indicator overbought show ker raha ho tou hamain sell main trade open kerny sy jab market overbought ki position sy normal ki taraf movement kerti hai tou profit hasil ho jata hai isi terha jab indicator main oversold ki position create ho jaey tou hamain same time per buy main trade open ker leni chahiay ky jab market oversold sy normal ki taraf movement kerti hai tou buy main open ki gai trade main profit hasil ho jata hai hamain just market per nazar rakhni hoti hai ky jesy hi market main oversold ya overbought ki position create ho jaey tab ham reverse order main trade open ker ky required profit target tak trade ko continue ker sakty hain ky same open ki jany wali trade main hamain bahot achi earning hasil ho sakti hai

    Click image for larger version

Name:	tradewithrsi.jpg
Views:	22
Size:	76.3 کلوبائٹ
ID:	12516009

    Recommendations for Successful Trading with RSI

    Agar ham forex market main RSI ky sath trade ker rehy hain tou hamain profit tou hasil ho raha hota hai lekin agar ham RSI ky sath aik aur technical indicator stochastic Oscillator ko combine ker ky collective indication per trade kerty hain tou hamary profit ky chances increase ho jaty hain kyun ky stochastic oscillator bhi relative strength index ki terha aik momentum indicator hai lekin jis terha relative strength index market ki movement ko follow kerta hai tou stochastic oscillator market ki movement ko lead kerta hai jis ko leading indicator bhi kehty hain tou agar ham dono ki combine indications sy market main trade kerty hain tou ham market main minimum risk per trade ker sakty hain so hamain jab overbought ya oversold ki position dono indicators main show ho rehi ho tab ham agar trade reversal order main open kerty hain tou hamain her surat profit hasil hota hai jo single indicator ki indication sy possible nehi hota isliay dono indicators ko combine use ker ky ham forex market main successful trading ker sakty hain aur acha profit bana sakty hain

    Click image for larger version

Name:	recommendations.jpg
Views:	15
Size:	100.4 کلوبائٹ
ID:	12516010
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to Trade with RSI Technical Indicator

    RSI Divergence


    RSI indicator ko 1978 me J. Welles Wilder ne banaya tha. Ye aik momentum oscillator hai jo upper aur lower harkaton ka muazena karke qeematon k raftar aur semat (velocity aur magnitude) ki pemayesh karta hai. Forex k successful traders k mutabiq RSI divergence technical strategies me sab se kamyab strategy hai. Is ki waja ye hai k ye strategy na sirf chart par maojood malomat ka istemal karti hai, bulke un candlesticks ka bare me bhi wazeh malomat farahm karte hen, k buyers aur sellers market me kia karte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (1964).png
Views:	5
Size:	16.8 کلوبائٹ
ID:	12379766

    Aisi soratehal jahan candlestick k top ya bottom indicators ki signal line k mutaleqa tops ya bottom se mukhtalif semat ki taraf signal dete hen, is ko divergence kaha jata hai. RSI Divergence se murad qeematon ki semat k mutabiq RSI ki semat ko badal dena hai. RSI Divergence bar ka colour divergence k lehaz se badal deta hai. Financial market RSI indicator k do atarh k divergence ho sakte hen aik bullish divergence aur dosra bearish divergence . Agar RSI indicator ki value barh (increase) rahi ho aur qeematen kam (decrease) ho rahi ho to to aik bullish divergence ho jata hai. Lekin agar RSI ki value kam (decrease) ho rahi ho aur qeematen barh (increase) ho to ye bearish divergence k zemre me ayega.

    RSI Divergence


    Bullish divergence me oscillator higher lows banati hai, jab k us k bar-aks qeematen price chart me lower lows banati howi chalti hai. Bullish divergence me RSI indicators do (two) low dekhata hai, jo higher lows k level banata hai, jab k qeematen lower lows dekhati hai. RSI leading indicator k tawar par apni values ko naye semat ki taraf ishara karti hai, jab k qeematen indicator k semat k faraq ko sahi karne k leye baad me usi semat me ati hai.
    Price chart pattern me jab bhi qeematon k candlestick higher high banti hai, aur indicator ki vlaue us ki bar-aks lower banati hai, jo baad me qeematen ki semat ki tabdeeli ka zarya banti hai, aik bearish divergence hota hai. RSI indicators ki value agar downward semat me ja rahi ho aur qeematen higher high k candles bana rahe ho, to bearish divergence k mutabiq qeematen is faraq ko khatam karne k leye indicator ki semat ko baad me follow karti hai.
    Hidden Bullish divergence us waqat banta hai, jab indicator lower lows bana raha ho aur sui waqat qeematen higher lows banati hai. Ye aksar us waqat ho raha hota hai, jab qeematen sideways trend pe a arahi ho ya uptrend se qeematen wapis ho rahi ho, is waja se ye set up is baat ki nishan-dahi karta hai k qeematon me abhi bhi uptrend k asaar hen. Aisi soratehal me qeematen bohut kam hi sellers k control me ati hai, aur ye position market me buyers ki mazboti ki waja se hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (650).jpeg
Views:	4
Size:	29.4 کلوبائٹ
ID:	12379767

    Trading on RSI


    RSI Divergence trading k leye aik behtar strategy sabit ho sakti hai, lekin ye baat hamesha se zehen me rehni chaheye k RSI indicator aik trend reversal indicator k tawar par ziada kaam karta hai, agar kahi se qeematen indicator k bar-aks chalna shoro karti hai, to us k leye stop loss ka zaror istemal karen. RSI Divergence market k lower ya higher point pe ziada behtar result deta hai. Trend market me trend ko hamesha follow karen.

    Click image for larger version

Name:	images (1965).png
Views:	29
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12379765

    اب آن لائن

    Working...
    X