Explain of Volume Spread Analysis..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Explain of Volume Spread Analysis..
    Volume Spread Analysis:

    Dear forex trader ko pata hota hai k market supply or demand ki ratio sy chalti hai. Jb market ma buyer zayada ho jaty hain to us pair ya commodity ki price barh jati hai or resultly market up trend ma move kar jati hai. Ese tarha market ma jb seller ki ratio barh jati hai to pair ya commodity ki demand kam ho jati hai or wo market ko bear ma move karwany ma kamyab ho jaty hain. So hamy es sy ye pata chala k market ma uptrend us waqat hota hai jb market ma buyer ki ratio seller ki ratio sy zayada hoti hai. Uptrend k lae buy k order ka zayada hona zaruri hai balky seller k orders ka kam hona zaruri hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-27T223523.345.png
Views:	7
Size:	31.2 کلوبائٹ
ID:	12515782

    Volume Spread Analysis Working Strategy:

    VSA hamy sekhata hai k market ki power bearish candle sy show hoti hai or bullish candle sy b but market ki weaknes hamesa bullish candlestick ki sorat ma show hoti hai. Ek sorat loss sy bachny ki ye b hai k hamesa us taraf trade open karni chahe jis side par kam trader hon. VSA supply or demand k difference ko measure karny k lae use hota hai. Forex trading ma supply or demand k difference ko find karny k lae VSA 3 vairable ka forex chart par interaction compare karta hai. 1. Price bar k uper volume ki quantity ketni hai. 2. Ye price variation yani market ka high or low point ko b es purpose k lae use karta hai. 3. Third factor jo vsa measure karta hai wo ha closing price.

    VSA Demand and Supply Control:

    Volume Spread Analysis ma ham market ma kisi pair ki supply or demand ko observe karty hain. Rates high ho jaty hain jb market ma demand barh jati hai or ese tarha rate kam ho jaty hain jb market ma supply barh jati hai. Supply or demand k difference ko measure karny k lae vsa bhot sary factors ko use karta hai. Pehle step ma ya dekha jata hai k candlestick ma volume ki ratio ketni hai. Second step ma eski high or low range ko measure kiya jata hai or last ma closing price ko value ko judgr kiya jata hai. Es principle k bena par jb market ma buyinf selling sy zayada hoti hai to market up chali jati hai or jb market ma selling buying sy zayada hoti hai to market fall kar jati hai. Kuch cases ma trader ko majority sy dor rehna chahe. Kiu k aksar ye b dakhny ma aya hai k market us side par ni jati jis taraf majority of trader hoty hain. So trader ko hamesa apna experince sarh use kar k he decision making karni chahe...

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-02-27T223515.074.png
Views:	20
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12515783
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Explain of Volume Spread Analysis..

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Volume Spread Analysis (VSA)



    Financial market me VSA (Volume Spread Analysis) trading se murad market me price ko demand aur supply se zahir karna hota hai. Market me technical base pe supply aur demand ki ratio k mutabiq jo trading ki jati hai wo market ki VSA (Volume Spread Analysis) hai. VSA (Volume Spread Analysis) forex trading me bohut ziada importance rakhti hai. Q k jab bhi market me demand ya supply increases hoti hai to market ki movement achhanak yak semat ho jati hai. Is se forex trading market me bohut ziada uchha a jati hai aur market ki price bohut volitile hoti hai. Jab bhi forex trading market me movement yak semat hoti hai to ye aksar forex trading me VSA (Volume Spread Analysis) ki waja se hi hoti hai.
    Forex trading market me ho ya financial market me ho jab bhi market me supply ziada ho jati hai to is se market ki movement bohut down semat chaln ashoro hoti hai. Market ki price ki ye movement bearish hoti hai. Aur is se market me demand kam hoti hai aur chart pattern jo banta hai wo trend down semat hota hai. Aur jab bhi market me demand ziada ho jati hai to is se market me supply pe asar hota hai agr supply kam na bhi ho to isbse market me price ki movement upward hoti hai, q k ziada demand se market me upward bohut zyada teezi ati hai jis se market me trend bullish ban jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (604).jpeg
Views:	1
Size:	30.3 کلوبائٹ
ID:	12379341

    Spoting VSA


    Volum spread analysis ki analysis karte waqt aap ko kayi iqdamaat karne ki zaroorat hai. sab se pehlay, aap ko yeh yakeeni banana hoga ke aap trading ke liye candlestick ka istemaal karna hoga, q k chart ki doosri aqsam jaisay line, bar, aur renko charts istemaal karne wale trader k leye ye achi terhan se kaam nahi karta hai.
    Dosra, aap ko yeh yakeeni banana hoga ke broker qabil aetmaad volum paish karta hai. Aakhir mein, aap ko chart ke timeframe par poori tawajah deeni chahiye. Small timeframes wale chart pattern jaise, one minute, five minutes, ya 15 minutes pe iss ka istemal karna ziada kamyab nahi rehta hai, iss waja se jitna ho sakta hai, long timeframes jaise D1, W1 ya monthly timeframes ka istemal karna chaheye, takeh nateejahez result hasil ho. Sab se last par aik tajweez ye hai, traders ko lazmi trend ko follow karte rehna chaheye jiss market ki asal soratehal ki akasi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1878).png
Views:	14
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12379344

    Explanation

    Volum ya hujam aik kisi bhi assets ki raqam hai, jo aik muqarara waqt mein trade ki ja rahi hoti hai. Misaal ke tor par, agar company Apple ke 10,000 shares aik makhsoos din mein buy aur sell jatay hain, to usay valum ya hajam kaha jata hai. Agar aglay din hajam 8,000 tak gir jata hai, to aap keh satke hain ke volum ya hajam kam ho gaya hai. Aik spread doosri taraf, do cheezon ke darmiyan faraq hai. Forex trading mein spread ki aik aam tareef bid aur ask ki qeemat ke darmiyan farq hai. Misal ke tor par, agar AUD/CAD ki bid 0.91420 hai aur ask 0.92426 hai to spread taqreeban 20 hai. spread ki bohat si misalein hain. misaal ke tor par, agar Brent oil ki qeemat $85 par trade kar rahi hai aur WTI $80 par trade kar rahi hai, to spread $5 ka hai. Volum ya hajam spread ka analysis ka aik analysis ka tareeqa hai, jo qeemat ki simat ka taayun karne ke liye candlesticks aur per candle ke valum ko daikhta hai. Yeh per candle volume ki miqdaar, range spread, aur ikhtitami qeemat ko daikhta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1877).png
Views:	1
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12379342

    Basic Volume Spread Analysis principles

    Har market players ki taraf se peda kardah supply aur demand ki bunyaad par movement karti hai. Agar selling se ziyada buying ho to market oopar jati hai, lekin agar buying se ziyada selling hoti hai to market neechay jati hai. Amli tor par, financial markets ko parhna itna aasaan nahi hai, prices ki fast par ghhor karne ke liye kaafi maloomat bhi mojood hen, jiss ko aksar un-experienced ya new trader nazar andaaz kar dete hain. Oopar bayan kardah bunyadi usool durust hai, lekin dar haqeeqat financial markets mein supply aur demand mukhtalif tareeqay se kaam karti hai. market ko oopar ki taraf trend karne ke liye, wahan selling se ziyada buying honi chahiye.
    Ziyada tar trader is baat se poori terhan be khabar hen, k market main aksar buying ziada tar low volum par hota hai, market players ki taraf se yeh buying darasal aik chart par volum mein izafay ke sath bearish candlestick ke tor par zahir hoti hai. VSA batata hai ke market ki taaqat ko bearish candlestick mein dekhaya jata hai, aur is ke bar-aks, market ki kamzoree ko bullish candlestick mein dekhaya jata hai. Expert trader selling ke douran buying karte hen, jo aksar kharab economic news k elanaat ka nateeja hota hai. Aisi bad news awam ko selling ki targheeb deti hai ( taqreeban hamesha nuqsaan mein ), lehaza expert afraad ki taraf se buying downtrend ya neechay ki taraf candlestick par hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1879).png
Views:	4
Size:	13.6 کلوبائٹ
ID:	12379343
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Explain of Volume Spread Analysis..

      What is Volume Spread Analysis (VSA)

      Dear friends VSA ya volume spread analysis aik aesi trading technique hai jis main market kisi bhi aik direction main movement kerty huey maximum ya minimum price per ponchti hai tou aesy main market ky volume ka kafi bara span ban jata hai ky market ki maximum aur minimum limits ko show ker raha hota hai tou aesy time per market main bari movement ho chuki hoti hai jis ky bahd market ki reverse order main movement expected hoti hai tou ham aesy time per agar reverse direction main trade open kerty hain tou aesy trade open kerny per profit ky chances bahot zyada hoty hain hamain aesi position main reverse order main trade zarur open kerni chahiay ky jab market main volume spread bahot bara Ho chuka ho ky usky bahd market ki same direction main movement ki gunjaesh na ho tou phir reverse hona zaruri ho jata hai tou wahan per trade open kerny ka acha chance hota hai

      Click image for larger version

Name:	images (66).png
Views:	20
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12379378

      Purpose and it's Strategy

      Jab market kisi aik direction main continue movement ker rehi ho lekin agar volume spread bara nehi ban raha tou aesy time per bhi hamain kisi surat bhi reverse order main trade open nehi kerni chahiay ky maximum traders isi terha market main trade open ker ky lose kerty hain ky market ki aik direction main bari movement hony ky bahd reversal expect ker ky trade open kerty hain lekin volume spread analysis nehi kerty tou trade open kerty hi loss hona shoru ho jata hai phir samajh ati hai ky baghair volume spread analysis ky trade open nehi kerni chahiay thi lekin tab tak bahot bara loss ho chuka hota hai hamain aesi position complete hony ka wait kerna chahiay jab ham market ki big movement ky bahd reverse order main trade open kerna chahty hain tou hamain baghair sochy samjhy trade open nehi kerni chahiay balky wait kerna chahiay ky jab big volume spread creat ho chuka ho tab reverse direction main trade open ki jaey tou phir profit hasil hona yaqeeni hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (68).jpeg
Views:	2
Size:	59.2 کلوبائٹ
ID:	12379379

      Volume Spread Analysis Using Stock Trading.

      Jahan per stock ki price bhut kam ho, Or buyer ka jahan interest na ho,Idr smart money apny share ki buying stat krti hai,Iss mai jo share lyny hoty hain wo bhut fair price per lyny hoty hain.Jahan per demand bilkul nhi hai wahan smart money slow slow stock ko accumulate krna shuru kr dyti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (69).jpeg
Views:	2
Size:	38.3 کلوبائٹ
ID:	12379380

      Accumulation Phase of VSA

      Aik bar jab Accumulation phase complete hota hai,us ky bad breakout hota hai us faze ko hum Markup faze kehty hain.Iss markup faze mai jab breakout ho ga tu aik dum breakout hota hai or aik dum breakout hota hai or aik acha up moment show ho ga.Ager Risk ki bat kren tu Risk ratio bhut acha hota hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X