Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Doji-Star Candlestick Pattern
Morning doji-star candlestick pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hotta hai. Morning doji-star candlestick pattern main pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik doji candle hoti hai, jiss k baad aik long real body main bullish candle banti hai. Ye pattern dekhne main same bulkul "Bullish abandoned baby candlestick pattern" aur "Morning Star candlestick pattern" jaisa hi hai, lekin bearish aur bullish candle k darmeyan main banne wali candle aik doji candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main below banti hai, aur dosre candlestick ka low doji candle k high ko touch karti hai.
Candles Formation
Morning doji-star candlestick pattern main shamil teeno candles aik dosre se mukhtalif color aur formate main banti hai, ye candle apas main gap banati hai, jiss se market bearish trend se bullish trend main badal jata hai. Morning doji-star candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish Morning doji-star candlestick pattern main shamil pehli candle bearish trend wali hoti hai, jiss ka color black ya red hotta hai, ye candle normal real body ki candle hoti hai. Jis ka close price open price se kam hota hai.
2. Doji-Star Candle: Morning doji-star candlestick pattern ki dosree candle aik doji candle hoti hai, jo k bagher real body main hoti hai. Ye candle pehli bearish candle se below gap main banti hai, jo k ziada tar aik doji star candle hoti hai.
3. Third Candle: Bullish Morning doji-star candlestick pattern ki teesri aur last candle aik real body long size ki bullish candle hoti hai, jo k dosree candle se above banti hai. Ye candle size main taqreeban pehli bearish candle k barabar ya uss k size k 50% se ziada bari ho sakti hai.
Explanation
Morning doji-star candlestick pattern trading k dowran strong bullish trend reversal ka signal deta hai, agar ye pattern low prices ya downtrend main banta hai. Pattern teen mukhtalif qisam k candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main bulkul " Bullish Abandoned Baby candlestick pattern" ya "Morning Star candlestick pattern" jaisa hota hai, lekin darmeyan main doji candle ka pehle candle se gap main banne ki waja se ye unn pattern se mukhtalif ho jata hai. Pattern ki pehli candle bearish hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main aik doji star candle banti hai, jis ka open aur close bearish candle se below gap main hota hai. Last par aik bullish candle hoti hai, jo k bearish candle k parallel aur doji candle se above main banti hai. Ye candle prices k trend reversal main aham kiradar ada karti hai.
Trading
Morning doji-star candlestick pattern market main bearish trend main banne ki waja se strong bullish trend reversal ka signal deta hai, jo k trader k leye market main buy ki entry ki opportunity peda karti hai. Pattern k leye zarori hai k prices low price ya downtrend main ho. Pattern par market main entry karnne se pehle trend confirmation candle ya kisi reliable indicator ka istemal zarror karen. Aggar teesri bullish candle k baad aik aur bullish candle banti hai to ye area market main buy ki entry ka signal deta hai. Stop Loss pattern k sab se lowest position ya doji candle k low price se aik do point lower par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим