Indicators RSI
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Indicators RSI
    Introduction:

    Aslamulikum Umeed karta hu sub thek ho gye hariyaat sy ho gaye jaisa k hum janta hain daily basis per kafi log forex business ko join toh karta hain but iss main mostly log loss karwana k bad gaib ho jatye hain humain aisa kabhi be nahi karna chaiye forex business main hum agr kamiyaab hona chatye hain toh mehnaat karye aisa mahyoos nahi hona chaiye humain.


    RSI:


    Jaisa k hum bhot sy indicator use karta hai joh humain market ko indicate karta han humain buy yeh sell kah signals provide karta hain lakin inn ki accuracy 60 to 70% hoti hain Yeh humain complete and confirm signal nahi provide karta hain humain agr iss main Confirm and complete signal chahiye toh humein market main mehnaat karni ho gaye humain iss main proper tarika sy working karni ho gaye tabhi hum iss main aik acha trader ban sakta hain Forex Market aik bhot bari market hain RSL k saat humain baki be indicators kah use karna chaiye joh humain mazeed acha signals provide kar sakiye Bhot sy log Indicators main Diveragen per kam karta han hum be partices kar k diveragen per kam kar sakta hain or mazeed achi achi trader utaa kar iss main or be agye bar sakta hain learning karna sy he knowledge and experiences gain hota hain jis k nisbaat hum iss main agye bar sakta hain or iss business main success pah sakta hain bhot sy log iss business main atye hain but kamyab koi koi he hota hain joh dil laga kar mehnat karta hai


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Indicators RSI

    Relative Strength Index (RSI):
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	28
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12379087

    Relative Strength Index (RSI) indicator ko J. Welles Wilder ne design kia ha jo k basically aik oscillator hai. RSI indicator kisi khas value ki technical strength ya weakness ko malom karne k leye istemal kia jata hai. RSI (Relative Strength Index) aik technical movement indicator k tawar par bhi kaam karta hai, jab over-bought ya over-sold soratehal me kisi security ki haleya (recent) profit ko us ki haleya nuqsan k sath muwazena (compare) karane ki koshash karta hai.
    RSI indicator ko trader ya analyst k trading, pasand ya analysis k mutabiq kisi bhi timeframe me tarjeehi base par kisi bhi dino k number me calculate kia ja sakta hai. RSI indicator me sab se ziada istemal hone wala aur jo by-default setting bhi hai wo 14-days ka simple moving a verage hai. Baaz short term traders apne analysis k leye 5-day, 7-day aur 9-day ka RSI bhi istemal karte hen. RSI indicator ka istemal karne wale traders ko is baat ka ilam zaror hona chaheye k jab bhi market me qeematen bohut ziada upward ya downward ati hai to us waqat qeematen is indicator ko mutasir karti hai, jis se ye indicator false buy ya sell k signals genrate karta hai. RSI k natayej ko behtar banane k leye is ko dosre bare stock indicators k sath istemal kia ja sakta hai.
    RSI oscillator k tawar par qeematon ki raftaar (momentum) ko follow karne k leye design kia gaya hai, jis ki range 0 se 100 k darmeyan hoti hai. RSI indicator me divergence ka istemal kia jata hai.
    RSI indicator chaar (four) qisam k trading signal deta hai; divergences, charting patterns, RSI levels aur overbought / oversold.

    (i) Divergences


    Bullish Divergences Give Buy Signals

    Bullish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik neye (new) nechli level tak ger (fall) jati hai lekin RSI apni pechli kami k muqablay me kam nechay level par ata hai.

    Trading ka osool:

    Jaise hi RSI apne dosre low position se uper ata hai, to yahan pe buy ki entry karen aur latest low price k nechay stop loss laga den.

    Bearish Divergences Give Sell Signals:

    Bearish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik new up position pe chali jati hai lekin RSI indicator apne pechle high k muqabele me kam upward jata hai.

    Trading ka Osool:

    Jaise hi RSI dosre high position se low ata hai, to yahan pe sell ki entry karen, latest high price k uper stop loss ki position set karen.

    (ii) Charting Pattern:

    Jab RSI indicator apne down trend line ko break karta hai, to uper ki qeemat ki trend line se uper buy ki entry karen, takeh aik upward breakout ko pakra ja sake.
    Jab RSI indicator apne uptrend line ko break karta hai, to nechay ki qeemat ki trend line se nechay sell ka order put karen, isi tarah se downward breakdown ko pakra ja sakta hai.


    (iii) RSI Levels :

    Jab bhi RSI indicator apne lower reference line se nechay chali jati hai aur baad me wapis bullish move karna shoro ho jaye, to yahan pe buy ki entry karen.
    Jab bhi RSI apne upper reference line se above chali aur baad me wapis nechay a jaye to yahan pe sell ki trade open karen.


    (iv) Overbought / Oversold:

    Wese to RSI indicator me traders ya analyst apni marzi k mutabiq levels ki setting kar sakta hai, lekin is me jo by-default setting howe hen wo hai, 30 se 70 k darmeyan. RSI k 30 se below area ko overbought zone jab k 70 se above area ko oversold zone kaha jata hai.
    Aam tawar par agar RSI 25 pe gerne k baad 30 se uper barhta hai, to is ko bullish reversal ya bullish trend tasawar kia jayega.
    Is k bar-aks agar RSI 80-90 pe jane k baad 70 level se nechay a jata hai to ye humen bearish reversal ya bearish trend k bare me batata hai.

    Kuch traders market ki qeematon k pehle long term ki trend malom karne k baad hi entry karte hen. RSI ka istemal dosre indicator k sath karna ziada faida mand sabit ho sakta hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X