Assalamu Alaikum Dosto!
Descent Block Candlestick Pattern
Descent block candlestick patteren bullish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh downtrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Descent block candlestick patteren ki tashkeel teen bearish ya black candles par mushtamil hai aur jo price chart par k top par banne wale three black crows pattern se mushabihat rakhta hai. Descent block candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik lambi bearish candle hai, jis ka upper ya lower side par shadow bohat kam banta hai. Pattern ki dosri aur teesri candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, lekin lower side par shadow bohut lamba hota hai. Pattern ki dosri aur teesi candle pehli candle k real body main open hoti hai.
Candles Formation
Descent block candlestick patteren prices k bottom main zuada selling k baad market k mumkina bullish trend reversal ka ishara deta hai, jo k teen musalsal bearish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern bearish candles ka hone k bawajood bhi bearish trend confirmation k muqabele main prices ko uptrend ka rasta deti hai. Pattern main candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Descent block candlestick patteren ki pehli candle aik bearish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k downtrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.
2. Second Candle: Descent block candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k lower par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai.
3. Third Candle: Descent block candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar lower par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k lower side par aik lamba shadow hota hai, jo k umoman real body se size main ziada hota hai.
Explanation
Descent block candlestick patteren chart par teen lagatar bearish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka bottma area hona zarori hai. Ye pattern teen bearish candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bullish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same three black crows pattern jaisa hai, q k teeno candles bearish hone k sath sath lower low par close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish Marubozu candle hoti hai, jab k baad wali dono candles lower shadow k sath hoti hai, jiss ki real body pehli candle ki nisbat kam hoti hai.
Trading
Descent block candlestick patteren main pehli candle strong bearish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri aur teesri candles market main bears ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki teeno candles ka bearish hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur last bearish candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se lower ya teesri bearish candle k low price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим