Fibonacci retracement indecator in fore x trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fibonacci retracement indecator in fore x trading
    AOA
    INTRODUCATION
    Friends ap sub theak hon gy Allahky karam sy Fibonacci retracement indecator ko hum read karty hn or ye indecator hum ko retracement ky bary mein kia bata hy
    DEFINITION OF FIBONACCI RETRACEMENT INDECATOR
    Resistance ky satah, woh qeemat hai jis par kisi asasay ki qeemat baichnay walon ki barhti hui tadaad ke ubharnay se jo is qeemat par farokht karna chahtay hain, dabao ko poora karti hai. muzahmat ki satah qaleel almdt ho sakti hai agar nai maloomat samnay aati hain jo asasa ke baray mein market ke majmoi rawayya ko tabdeel karti hain, ya woh dairpa ho sakti hain. takneeki tajzia ke lehaaz se, saada muzahmati satah ko zair ghhor waqt ke liye sab se ziyada bulandiyon ke sath aik lakeer khech kar chart kya ja sakta hai. muzahmat ka muqaabla himayat se kya ja sakta hai .
    qeemat ki karwai par munhasir hai, yeh line flat ya tirchi ho sakti hai. taham, bindz, trained lines, aur moving average ko shaamil karte hue muzahmat ki nishandahi karne ke mazeed jadeed tareeqay mojood hain .

    KEYS TAKEWAY

    Fibonacci tasalsul se nikaltay hain — ufuqi lakerain hain jo is baat ki nishandahi karti hain ke support aur muzahmat kahan waqay ho sakti hai .

    har satah aik feesad se wabasta hai. fi sad yeh hai ke qeemat ne kitni pehlay harkat ki hai. fibonacci retracement ki sthin 23. 6 %, 38. 2 %, 61. 8 %, aur 78. 6 % hain. agarchay sarkari tor par fibonacci tanasub nahi hai, 50 % bhi istemaal hota hai .
    isharay kaar amad hai kyunkay usay kisi bhi do ahem qeemat points ke darmiyan khincha ja sakta hai, jaisay ke ziyada aur kam. isharay phir un do points ke darmiyan level banaye ga .
    un sthon par khusoosi tor par inhisaar nahi kya jana chahiye, is liye yeh farz karna khatarnaak hai ke kisi makhsoos fibonacci satah ko maarny ke baad qeemat ulat jaye gi .
    Fabonacci numbers aur tarteeb sab se pehlay hindustani rayazi daano ne lyonardo fibonacci se sadiiyon pehlay istemaal ki thi .

    FORMULATION OF FIBONACCI RETRACEMENT levels

    ki sthon mein formulay nahi hotay hain. jab yeh isharay kisi chart par laago hotay hain, to Sarif do points ka intikhab karta hai. aik baar jab woh do nakaat muntakhib ho jatay hain, lakerain is harkat ke feesad par khenchi jati hain .
    farz karen ke qeemat $ 10 se $ 15 tak barh jati hai, aur qeemat ki yeh do sthin woh points hain jo fibonacci retracement indecator ko khenchnay ke liye istemaal hotay hain. phir, 23. 6 % ki satah $ 13. 82 ( $ 15 - ( $ 5 x 0. 236 ) = $ 13. 82 ) par hogi. 50 % ki satah $ 12.50 ( $ 15 - ( $ 5 x 0. 5 ) = $ 12.50 ) par hogi .

    QHAT DO FIBONACCI RETRACEMENT TELL US

    ka istemaal indraaj ke order dainay, stap loss ki satah ka taayun karne, ya qeemat ke ahdaaf muqarrar karne ke liye kya ja sakta hai. misaal ke tor par, aik tajir stock ko ouncha dekh sakta hai. aik qadam oopar jane ke baad, yeh 61. 8 feesad ki satah par wapas chala jata hai. phir, yeh dobarah oopar jana shuru hota hai. chunkay bounce aik up trained ke douran satah par sun-hwa hai, tajir kharidne ka faisla karta hai. tajir 61. 8 % ki satah par stap las set kar sakta hai, kyunkay is satah se neechay wapsi is baat ki nishandahi kar sakti hai ke really nakaam ho gayi hai .
    Fibonacciky satah takneeki tajzia ke andar dosray tareeqon se bhi peda hoti hai. misaal ke tor par, woh patteren aur aylit view theory mein raaij hain. qeemat ke oopar ya neechay ki numaya harkat ke baad, takneeki tajzia ki un shaklon se pata chalta hai ke ulat phair kuch fibonacci sthon ke qareeb waqay hoti hai .





  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Fibonacci retracement indecator in fore x trading

    Dear forex members ap ki ais baat se agree krta hun market mai jab moment ho rahe hoti hai to aus time market waves bana k moment kar rahe hoti hai jin ko dekh k hum ais market mai trade laga sakty hain magar market mai wave par trade lagany k liay humy ais market mai entry point find karna hota hai jis k liay different method hai humy ais market mai achy tareeky se kaam karna hota hai, fibonacci indicator humri ais entry ko find karny mai help karta hai hum market mai fibonacci indicator use kar k trade laga sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	images (18).png
Views:	36
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12378969

    Fibonacci indicators ki different khubian hai jin ko hum use kr sakty hain.

    1: Fibonacci Extension
    2: Fibonacci Retracement
    3: Fibonacci Arcs
    4: Fibonacci Fan
    5: Fibonacci Time Zones
    6: Fibonacci Channel

    Dear forex members Market mai hum ne fibonacci use karna hai to aus k liay humy ye pata hona chaye k hum ne ais ko kaisy use karna hai kun k jab chart par koi high point aor aus k baad market aik lower high lagati hai to aus time hum ais market mai uper high se lower high to fibonacci ko draw karty hai jis k baad humy ye pata chal jata hai k market ne kon se level se swing banana hai jab bhi fibonacci k major levels par koi reversal candle banti hai to humy confirmation mil jati hain jaisy fibonacci k major levels 38%, 50% & 61% levels hai jin ki market maximum time respect karti hai ain levels par hum asani k sath trade laga sakty hai aisy hi market mai extension k liay major level 1.271% & 1.161% level use hoty hai jaha tak market hum ko target deti hai. Humy apni trade laga k target set kar dena chaye kun k ais mai humri trade ka stop loss bahot kam hota hai magar take profit kafi zayda hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (22).jpeg
Views:	38
Size:	42.4 کلوبائٹ
ID:	12378970

    Fibonacci Retracement Level:

    Dear forex members market mai jab aik swing banti hai to aus k baad market apny swing ki retracement leti hai hum ais swing k start mai fibonacci retracement use kar k trade laga sakty hain, Market mai swing 50% aor 61% se kafi acha result deta hai kun k jb ain levels se market swing banati hai to aus k baad market kafi zayda moment hoti hai. Market mai ap koi bhi moment dekhty hai to aus mai ap ko ye pata chal jata hai k market jab aik taraf moment krti hai to aus k baad kuch Retracement le k apny trend mai moment continue krti hai ais market mai trend mai moment ko catch krny k liay Retracement ka wait krna hota hai jab market Retracement leti hai to hum market mai entry laga lety hain.

    Click image for larger version

Name:	images (19).png
Views:	7
Size:	27.3 کلوبائٹ
ID:	12378971

    Fibonacci Expansion Level:

    Dear forex members humy ais market mai trade ka target set karny k liay fibonacci expansion tool use krna hota hai kun k jab hum ais market mai aik swing point se entry lety hai to hum ko apni target ka target set karny k liay Expansion tool se pata chal jata hai k market kon se level tak next swing bana k retracement le sakti hai humy ais market mai expansion level 127% and 161% help karty hai apna target set karny k liay, humy market mai trading strategy bana leni chaye jis mai humy ye pata ho k hum ne kon se time par fibonacci expansion tool use karna hai. Market mai jab aik high level ya low level break hota hai aus k sath market structure ban rha hota hai ais mai humy ye to time se hi pata chal jata hai k market abi previous moment k lehaz se new high lagye gi magar ais k liay Fibonacci expansion level use krty hai ais se humy ye pata chal jata hai k market mai kaha tak moment ho sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (23).jpeg
Views:	3
Size:	43.3 کلوبائٹ
ID:	12378972
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Fibonacci retracement indecator in fore x trading

      Fibonacci Retracement



      Fibonacci ratio dar-asal tadad ki aik series hai, jo neutral qeemato me izafay ko bayan karne me madad deti hai. Ye number aik riazidan (mathematician) Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye. Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai.
      Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levels ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai. Fibonacci retracement dar-asal pora aik forex trading ka package hai jis se trading analysis me madad li ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (557).jpeg
Views:	1
Size:	20.0 کلوبائٹ
ID:	12379018

      Fabonacci Retracement ki Aham Nukaat:

      1. Fabonacci retracement technical analysis me humen qeematon k support aur resistance ko malom karke trading k dowran take profit aur stop loss ki entry asani se kar sakte hen.
      2. Fabonacci retracement har tarah k timeframe me istemal kia ja sakta hai, yani short term traders bhi same faida hasil kar sakta hai, jo long term k traders lete hen.
      3. Fabonacci retracement ka samjhna aur is pe trading karna sab se asan hai, q k is pattern ki values ki calculation pehle se ho chuki hoti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (1801).png
Views:	15
Size:	27.5 کلوبائٹ
ID:	12379019

      Fabonacci Retracement ki Tafseel


      Fabonacci retracement ya levels ko hum wese bayan nahi kar sakte, is k leye zaroei hai k misal se wazahat karen. Mandarja-zel misal se wazih hota hai k fabonacci retracement ka concept kis tarah istemal kia jata hai. USD/CAD currency jore ka daily chart nechay deya gaya hai, chart ko dekhte howe andaza ho sakta hai k kam changes 0.9799 aur zida badlao 1.0313 par hai.

      Click image for larger version

Name:	USDCAD_2022-03-07_18-51-27-637822975001979668.png
Views:	1
Size:	58.7 کلوبائٹ
ID:	12379020

      Chart k mutabiq USD/CAD ki darja-zel levels hen:

      1.0116 (0.382 or 38.20%)
      1.0056 (0.500 or 50.00%)
      0.9996 (0.618 or 61.80%)


      USD/CAD k Mandarja-bala chart bullish trend par hai lekin currency jore ne nechay (downward) side pe movement shoro ki hai q k 1.0313 currency jore ki peak point hai. Traders is intezar me hai k currency jore ki ye qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par ruk jati hai to wo is pe apna reaction dengay. Aur jab bhi qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par pohunch jayegi to wo aik long-term trade (buy) open karengay, jahan se un ko bara munafa mel sakta hai. Aam tawar par qeematen in levels me se kisi aik par ruk jayegi, q k ferokht (sell) k orders qeematon k leye kafi madad peda karti hai. Agar volatility ki waja se qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) k level ko thorne (break karne) me kamyab ho jati hai, pher traders 0.50 (50.00%) k level ka intezar karengay k aya ye level breakout hota hai k nahi. Agar nahi to traders yahan pe market me lambi entry le sakte hen, warna breakout ki sorat me un ko fabonacci retracement k agle 0.618 (61.80%) tak intezar karna parega, aur agar wo bhi breakout hota hai to ye market mazeed nechay jayegi.

      Click image for larger version

Name:	images (1802).png
Views:	17
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12379017

      اب آن لائن

      Working...
      X