Assalamu Alaikum Dosto!
Inverted Hammer Candle
Inverted Hammer candle "Inverted Umbrella Candle" family ki ek candle hai, jo k prices k downtrend ya lower side par paye jatti hai. Inverted Hammer candle ki banne ki wajja ye hotti hai, k bearish trend k baad qeematen bearish trend ko khtam karne k chakkar main temporary upward par challi to jatti hai, lekin wo is tasalsul timeframe k duration k khatme tak barqarrar nahi rakh patti hai, jis ki waja se candle k upper side par aik bara "tail" "shadow" ya "wick" ban jatti hai. Inverted hammer candle main shadow candle k body k upper side pe bantta hai, jab k normal "Hammer Candle" main shadow candle k body k lower side par hotta hai. Candle k shadow upward honne ki wajja se candle ki shap "ulatt hathore (hammer)" jaise dekhaye detti hai.
Candle Formation
Inverted Hammer candle do hisson par mushtamil aik single candle hotti hai, jis main aik candle ki "body" ya "real body" hotti hai, jab dosrra hissa upside par candle ki "shadow" ya "wick" hotti hai. Candle ki real body size main small hotti hai, jab k shadow taqreeban is ka double bannta hai. Candle ki formation darjazel tarah se hoti hai;
Inverted Hammer Candle: Inverted hammer candlestick prices k lower side par kisi bhi color ki ho saktti hai. Ye candle aggar black/red main bantti hai, to ye bearish candle hogi, jab k white/green main banne par candle bullish hoggi. Prices ka downtrend honne ki wajja se candle jiss color main bhi bantti hai, is ki hasseyyat bullish candle ki hi hoggi.
Explaination
Inverted Hammer candle aik single pattern candle hai, jo k prices k downtrend main banne par bullish trend reversal ki hosseyyat rakhtti hai. Ye candle "Inverted Umbrella Candle" family se talluq rakhtti hai, jiss main candle ki small real body k sath upward side par candle ki aik barri shadow ya wick hotti hai. Inverted hammer candle aggar prices k top par bannti hai to ye "Shooting Star Candle" kehllati hai, aur is ki hasseyat bearish trend ki hotti hai.
Aggar inverted hammer candle prices k top trend main bantti hai to ye shooting star candle kehlayyegi aur is ki hasseyyat bhi bearish ho jatti hai. Candle k lower side par banne ki waja se ye kisi bhi color ki ho saktti hai, lekin hasseyat bullish wali hoggi.
Inverted Hammer candle ka sayya ya shadow candle k real body k top par honne ki waja se candle "hammer candle" se mukhatleff dekhaye detti hai.
Trading
Inverted hammer candle bhi single candle par mushtamil pattern hai, jo bullish trend reversal k leye estemal hotti hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur lower prices main bantti hai, to candle aik strong bullish signal genrate kartta hai. Candle ki shadow prices ko bullish side par rejection to dekhatti hai, lekin sath hi sath market main buyers ki dilchaspi bhi batatti hai.
Inverted hammer single candle honne ki waja se trend k leye akelle kaffi nahi hai, jab tak is k baad aik strong bullish candle nahi bamnti hai. Inverted hammer k baad banne wali bullish candle par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Stop Loss inverted hammer k shadow k last par ya prices k lower side par set hogga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим