Bullish Belt-Hold Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish Belt-Hold Pattern
    Introduction;


    umeed karta ho ke ap bhi bilkul thek ho ge aj me apse bullish belt hold pattern ke bare me Koch

    information



    Share Karna Chahta ho or me umeed karta ho ke mere ye information apke knowledge or experience me zaror izafa kare ge.

    Tareef


    Patteren is waqt bantaa hai jab, mandi ki tijarat ke baad, aik taizi ya safaid candle stick hoti hai. iftitahi qeemat, jo din ke liye kam ho jati hai, pichlle din ke band honay se kam hai. is ke baad stak ki qeemat din bhar barhti rehti hai, jis ke nateejay mein aik lambi safaid mom batii banti hai jis ka oopri saya chhota hota hai aur neechay ka saya nahi hota ha




    Ehmiyt


    Aik blush belt hold aik aisa namona hai jo sarmaya car ke jazbaat mein mandi se taizi ki taraf ulat jane ka ishara day sakta hai. blush belt holds ko talaash karna aasaan hai, lekin signals ki tasdeeq honi chahiye. agar yeh support level ke qareeb bantaa hai to is ki weshonitia mein izafah hota hai. blush belt hold tamam time framo mein paaya ja sakta hai lekin rozana aur hafta waar charts mein sab se ziyada mufeed hai .

    Wazaht dena


    Candle jo ke safaid marobozo ki terhan dikhayi deti hai, muddat ke nichale hissay mein khulti hai aur is ke baad apni oonchai ke qareeb band honay ke liye release karti hai, jis se mom batii ke oopar aik chhota sa saya reh jata hai. neechay ke rujhaan mein bearish candle sticks ke phelao ke baad patteren samnay aata hai. mom batii ki khilnay ki qeemat pichlle din ki kam qeemat se numaya tor par kam hai. patteren pichli mom batii ke jism mein achi terhan se band ho jata hai, qeemat ko mazeed girnay se rokta hai, is liye is ka naam" belt hold" rakha gaya hai .
    Bullish belt hold, jisay japani me uracary kaha jata hai, aksar sarmaya karon ke jazbaat mein mandi se taizi ki taraf tabdeeli ka ishara deta hai. yeh candle stuck patteren kasrat se hota hai aur security ki mustaqbil ki qeemat ki pishin goi karne mein miley jalay nataij dekhata hai. candle stuck ki taaqat barh jati hai agar yeh support level ke qareeb banti hai, jaisay ke trained line, moving average, ya market pivot points par .
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish Belt-Hold Pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Belt-Hold Line Candlestick Pattern


    Bullish belt-hold line candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bearish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se low area ya bearish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main sellers prices ko aik khas level tak nechay push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bullish belt-hold line pattern bhi shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (763).png
Views:	5
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12416662

    Candles Formation


    Bullish belt-hold line candlestick pattern prices k downtrend ya lower par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (352).jpeg
Views:	37
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12416663

    1. First Candle: Bullish belt-hold line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko downtrend ya bearish trend ki akasi karti hai. Ye candle bearish trend ko mazeed nechay ki taraf push karti hai, aur market main low demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

    2. Second Candle: Bullish belt-hold line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k bottom par gap main open hoti hai, jab k close ussi candle k real body k midpoint se thora sa ooper hoti hai. Ye candle bearish trend k khatme ka bahis banti hai. Pattern ki dosri candle ka open side par koi shadow ya wick nahi honi chaheye.

    Explanation

    Bullish belt-hold line candlestick pattern prices main bearish trend k dowran ban kar prices ko mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k prices k bearish ya downward trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jiss k open side par koi shadow ya wick nahi hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko nechay jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed down-fall ruk ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se bottom par gap main hota hai, jab k close pehli candle k real body main darmeyan se ooper hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (762).png
Views:	44
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12416664

    Trading

    Bullish belt-hold line candlestick pattern prices k bottom main banne ki waja se aik bullish signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value oversold zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya dosri candle k open price se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (3) (764).png
Views:	40
Size:	26.9 کلوبائٹ
ID:	12416665

    اب آن لائن

    Working...
    X