Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Counterattack Line Pattern
Price chart par jab prices buyers k bohut ziada pressure ki waja se bullish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo prices ko teezi k sath bearish push karti hen jaise, bearish counterattack line line pattern karta hai. Bearish counterattack line candlestick pattern prices k top par ya bullish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jiss k baad aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle close point se gap main open hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k ooper gap main open ho kar ussi k close par close hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bullish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik bearish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai.
Candles Formation
Bearish counterattack line candlestick pattern prices k top par do mukhtalif candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices k top par ya bullish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle white ya green color ki candle hoti hai.
2. Second Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price k line main hoti hai. Bearish candle black ya red color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bullish bhi jane se rokti hai aur trend reversal ka sabab bhi banti hai.
Explanation
Bearish counterattack line candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k top ya bullish trend main banne ki waja se prices ko mazeed ooper jane se rokti hai. Ye pattern dekhne main "Bearish Belt-Hold Line Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body k upper side par bhi wick ya shadow banti hai, jab k prices pehli candle k close point se below bhi nahi jati hai. Bearish counterattack line pattern ki dosri candle aik bari real body wali bearish candle hoti hai, jiss k close price pehli candle k close price se nechay close nahi hona chaheye. Bearish counterattack line pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Trading

Bearish counterattack line candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main sell ki entry karte hen. Pattern k top par sellers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bearish ya black candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open point se two pips above select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим